d
ukh dard k maron say mera zikr mat karna
ghar jao t
u yaro se mera zikar mat karna
wo zabt na kar payengay ankhon k samnd
ur
t
um rah g
uzaron say mera zikar mat karna
pholon k nasheman mein raha h
un sada say
dekho kabhi khazaroon say mera zikar mat karna
shayed yeh andheray he m
ujhay rah dikhein
ab chand sitaron say mera zikar mat karna
wo meri kahani ko ghalat rang na dey dein
afsana nigaron say mera zikar mat karna
shaid wo meray haal pey besakhta rodein
is bar baharon say mera zikar mat karna
lay jayngay gehrai mein t
um ko baha kar
darya k kinaron say mera zikar mat karna
who shaks milay t
u ussay har bat bata dena
t
um sirf esharon say mera zikar mat karna