tarha SMS Messages212 messages

kuch iss tarha se woh mery zindagi main jo shamil hui
apney wajood k lye hum he ajnabi or woh k malik hui
Mohabbat Say, Inayat Say, Wafa Say Chot Lagti Hai,,Bikherta Phool Houn Mujh Ko Hawa Say Chot Lagti Hai,Meri Aankhon Main Aansoo Ki tarha Ek Baar Aa Jao,Takaluf Say, Banawat Say, Aada Say Chot Lagti Hai,Main Shabnum Ki Zuban Say Phool Ki Aawaz Sunta Houn,Ajab Ahsaas Hai Apni Sada Say Chot Lagti Hai,Tujhe Khud Apni Majburi Ka Andaza Naheen Shayad,Na Ker Ahed-E-Wafa, Ahed-E-Wafa Say Chot Lagti Hai...!!!
***ADA E ISHQ***
Har lamhay ko is tarhaa main taay kar jaoon gi
Har ik pal mai tujhay apnay qareeb laoon gi

Mehsoos bhi na ker paiy ga tu mujhay humdum
Main teri sanss mai iss tarhaa bass jaoon gi

Guzarty hovey lamhoon ko ik yaad banatay huwey
Main teray her pal ko is tarhaa mehakaoon gi

Gar bhool na chahay bhi tu mujhay aaiy humnasheen
Jatay huwey teray chehray pay apna akass chor jaoon gi

Zindagi mein aisa lamha bhi hoga socha na tha
Paa ker uss ko main haadh se hi guzar jaoon gi.
Lafzoon Ki Haira Pehri Main Kuch Faida Nahi
Jab Dil He Rayga Hai To Kuch Rayga Nahi

Kehnay Ko Kitni Batain Hain Karnay K Wastay
Kuch Lafaz Ki Kami Hai Kuch Hoosla Nahi

Dayta Hai Baat Kar Kay Kuch is tarhaan Zakham
Jaysay is Maseha Ka Koyee Chara Gar Nahi
Bettha Hai Aab Woh Mujh Say Baat Karnay Ko...
Jab In Tamam Batoon Ka Koyee Faida Nahi
hijr mujhay raas ana hi tha,
kisi tarha sahi usay bhulana hi tha!
door tak chahe thay badal or kahin saya na tha
is tarhan barsath ka moasam kabhi aaya na tha

kya mila aakhir tujhe saayon k peechay bhaag kar
aay dil-e-nadaan, tujhe kya humne samjhaya na tha

uff ye sannata k aahat tak na ho jis mai mukhal
zindagi mai is qadar humne sukoon paya na tha

khoob roye chipak k ghar ki chaar diwari mai hum
haal-e-dil kehnay k qabil koi humsaya na tha
Aur kya kahooN kya hey uska mujh sey parda karna
wo jaanti hey mujh pey kayaamatoN ko barpa karna

uski soorat rahey aaNkhoN meiN aur dekhooN meiN
us ki kurbat meiN ajeeb tarz sy dil ka dharrka karna

hy munkashif mujh pey usey khaab meiN dekhoN to
mery khayaaloN ka phooloN ki tarhaN mehka karna

kaasa-e-ishq meiN deedaar ki bheek sy guraez us ko
jaany lagta hooN to ada-e-khaas sey mujhy roka karna

sunooN jo us ki to zaahir ho, magar ba-nakaab-e-rukh
us pey bohat jach’ta hey ye maasoom sa dhoka karna

accha lagta hy jo mehfil meiN usey ik tak dekhoN to
sharbati aaNkhoN ka ishaaroN sey mujhy toka karna
WADA KARO K Mere Marne Par Aogay

Or Mujhey Apne Hathon Sy Dafnaogay

Aogay Meri Maiyat Pe Apno Ki tarha

Saamne Duniya K Aanson B Bahaogay

Bataogay Na Ksi Ko Hamari Alhedgi Ka

Wohi Purana Piyar Duniya Ko Dikhaogay

Dogay Sab Sy Ziyada Kandha MujheUmar Bhar Mere Naam Sy Na Ghabraogay

Chorh K Zamane Bhar Ki Khushiyan Mere Liye

Or Mere Dil Sy Apna Gham B Mitaogay

Roz Aaya Karogoy

Tum Meri Qabar pe

Or Bakhshish K Liye Haath B Uthaogay

WADA KARO"
Apni khushiyan luta kar tujh pe kurban ho jaon,

kash kuch din tery shehr main mehman ho jaon,

Tu apna nayab DIL mujh ko de day aur phir mangay,

Main mukar jaon aur bey-imaan ho jaon,

Tu mujh pe sitam karay har kisi ki tarha,

Main teri is ada par b meharban ho jaon,

Tu mery paon k nichay se zameen

kheench layaur main tera aasman ho jaon

Tu mujhse door door bhagti phiray,

Khuda koi mujzaa karey aur main tera NAAM ho jaon...
Chehre pe mere zulf ko phailaao kisi din
Kyaa roz garajte ho baras jaao kisii din

Raazon ki tarha utro mere dil mein kisi shab
Dastak pe mere haath ki khul jaao kisi din

Pedon ki tarah husn ki baarish mein nahaa loon
Baadal ki tarha jhoom ke ghirr aao kisi din

Khushboo ki tarha guzro mere dil ki gali se
Phoolon ki tarha mujh pe bikhar jaao kisi din

Phir haath ko Khairaat mile band-e-qabaa ki
Phir lutf-e-shab- a-vasl ko dohraao kisi din

Guzrein jo mere ghar se to ruk jaayein sitaare
Iss tarha meri raat ko chamkaao kisi din

Main apni har ik saans usi raat ko de doon
Sarr rakh ke mere seene pe so jaao kisi din
Hum safar ban key hum saath hain
aaj bhi
phir bhi hai ye safar ajanabi ajanabi

Raah bhi ajanabi mord bhi ajanabi
jayein ham kidhar ajanabi ajanabi

Zindagi ho gai hai sulagata safar
door tak aa rahaa hai dhuaan saa nazar

Jaane kis mord par kho gai har Khushii dey key dard-e-jigar ajanabi ajanabi

Hum ney chun chun ke tinke banaaya tha jo

aashiyaan hasaraton se sajaayaa tha jo

Hai chaman mein wahi aashiyaan aaj bhi lag raha hai magar ajanabi ajanabi

Kis ko maalom tha din ye bhi aayeinge mausamon ki tarhan dil bhi bada jaayeinge

Din hua ajanabi raat bhi ajanabi
har ghari har pahar ajanabi ajanabi
Kaisey kaisey haadsey sehtey rahey
Phir bhi hum jeetey rahey hanstey rahey

Uss key Aajaney ki yon umeedein lye
Rasta Murr Murr key hum taktey rahey

Waqt tu guzara magar kuch iss tarhan
hum chiraghon ki tarhan jaltey rahey

Kitney chehrey they humarey aas paas
Tum hi Tum dil mai magar bastey rahey



Kaisey kaisey haadsey sehtey rahey
Phir bhi hum jeetey rahey hanstey rahey