talash SMS Messages88 messages

Aaj Se 60 Saal Pehle.

Eik Qoom Ko Eik Mulk Ki talash Thi.

Allah K Karam Se.
Aj Jub Hamare Pas Mulk Ha To Hamain Eik Qoom Ki talash Ha.
Think Abt That
" Golden Words"

Kisi Mukamal Shakhs Ki talash Mein Mohabbat Na Karo

Balke

Kisi Adhuray Ko Mukamal Karne Ke Liye Mohabat Karo
Yeh dua hai tumhari zindagi sawar jaye,
Har nazar mein bas pyaar nazar aaye,
Tumhe jiski talash hai mere dost,
khuda kare wo khud tumari talash mein aaye
Rishtay jo pyar ke thay sabhi choot-tay gaye...

Bandhan bhi saaray zabt ke phir toot-tay gaye...

Khawab-o-khayal ban gayen yaaron ki mehfilen...

Ek ek kar ke yaar sabhi rooth-tay gaye...

Sab dard dil main bhar liye sukh ki talash main...

Hamdard ban ke log hamain loot-tay gaye...

Milti rahin sazayen hamain pyar ke aiwaz...

Apni hi Khawahishon ka gala ghont-tay gaye...
Khamosh muhabbat ka ehsaas hai wo,
mere khwahish mere jajbat hai wo,
aksar ye khyal kyu aata hai dil mai,
meri pahli khoj or aakhiri talash hai wo.
[email protected]
DOCTOR: BAchEy 2 he Achey..

WAisE ApKe kitnE BAchey hAin??

LADY: PehLe tu 2 he thAy
LeKiN JAbSe IshtehAr dekhA hy to Achey ki talash mEi 10 hogAyE hy.. :p ;->
*talash-e-Gumshuda*
Naam Ch. Shujaat Hussain.
Bolnay or dekhnay say maazoor hai.
Zehni tawazan drust nahi
Apna naam Quaid-i-Azam btata hay.
18 Feb ki Sham kala Chashma pehanay Cycle ko puncture lagwanay nikla tha jis ko milay, is patay par rabta karay:
Ch. Azab-e-Elahi (Ex-CM Pokha Nanga Punjab), Lota House, Opposite Coruption Factory, Horse trading Bazar, Gujrat.
~ Golden Words ~

1- Allah Ki Zaat Pe
Bharosa Krne Wala
Kbhi Nakam Nhi Hota

2- Kisi Ka Raaz talash
Na Kro Aur Maloom Ho
Tou Faash Mat Kro

3- Koi Bhi Musibat Parne
Per Maut Ki Tamanna Na Kro

4- Kisi Ko Apna Acha Dost
Banana Allah Ka Tohfa Hy

5- Kisi Ko Khush Kerna
Naiki Hy ...
Yaadon mai usi ki yaad hoti hai,

Meri ankho ko usi ki talash hoti hai,

Kuch tum bhi dua kia karo dost,

Suna hai dosto ki dua mein farishto ki fariyad hoti hai
mai rahi hoon rah-e-adam ka mujhe zindgi ki fikar nahi
mai ji raha hoon is ghari mujhe aglay pal ki khabar nahi
mai beta hoon hawaon ka mujhe koii bhi pakar na sake
yunhi phirta hoon gali gali mera kahin pe koii ghaar nahi
sochta hoon kiya chal sake gain mere saath ehbab mere
chala hoon aankh band kar ke mujhe rastun ki khabar nahi
mai kho gaya hoon khud say hi ,mujhe apni hi talash hai
chal raha hoon dhoop main mere sar pe koii Aabar nahi
mere pas yunhi baithe raho mere dil pe hath dharo zara
mere dil ko thora karar do meri wehshatun ko sabar nahi
ye kitab dil ki kitab hai isse samajhte hain samajhne wale
ye falsafa hai muhabbtun ka yahan koii zair-o-zabar nahi ..............
Youn toh guzar raha hai har aik pal khushi k saath
phir bhi koi kami si hai kiun zindagi k saath


rishtey,wafaein dosti sab kuch toh pass hai
kiya baat hai pata nahi dil kiun udaas hai

har lamha hai haseen naye dilkashi k saath
phir bhi koi kami si hai kiun zindagi k saath

chahat bhi hai sakoon bhi hai dilbar bhi hai
aankhon mai khuwab bhi hai labon pai hasi bhi hai

dil ko nahi hai koi shikayet kisi k saath
phir bhi koi kami si hai kiun zindagi k saath

socha tha jaisa waisa hi jevan toh hai magar
ab aur kis talash mai bey chein hai nazar

qudrat ki toh meharbani hai darya-dili k saath
phir bhi koi kami si hai kiun zindagi k saath
Tum Ne Kaha Tha Bade Yaqeen K Sath
Mujh Per Bharosa Karo
Bilkul Es Tarah
Jase Apny Ap Per Ho
Aur Main Ne
Dheerey Se Hans Ker Pucha Tha
Itna Yaqeen Kion?
Tab Tum Ne Meri Ankhon Main
Jhank Ker Kaha Tha
"Main Tumahri Manzil Ka
Sang E Meel Hoon"
Aur
Mian Tab Se Ab Tak
Jaty Qadmoon Ki Dhool Main
Es Sang e Meel Ko talash Ker Rahi Hoon
Jo Tumahre Yaqeen Ki
Andhar Nagri Main Kaheen Kho Gia ha