soch SMS Messages762 messages

Mujhe Acha Sa Lagta Hai
Tumhare Sang Sang Chalna,
Wafa Ki Aag Mai Jalna,
Tumhai Naraz Kar Dena,
Kabi Khud Bhi RoOth Jana,
Tumhari Beyrukhi Par Bhi,
Tumhari Aarzoo Karna
Khud Apne Dil Ki Dharkanoon Se
Tumhari Guftagu Karna
Mujhai Acha Sa Lagta Hai,
Bohut Acha Sa Lagat hai,
Tumhe Ko Dhekhte rehna
Tumhae Ko sochte Rehna,,
Bohut Gehree Khayaoon Main,
Jawaboon Main,
Sawaloon Main,
Mohbbat K Hawaloon Main,
Tumhara Naam Aaa Jana,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
Wo Tum Na Thai Ek Khayal Tha,
Meri soch Ka He Kammal Tha,
Wo Mohbbaten Wo Chahhatain
Meri Uljhanoon Ka He Jaaal Tha
Meray Dil Mai Thi jo Ronakain
Wo Tera He Husn_E_jamal Tha,
Jawab Jis Ka Mila Nahi
Wo Aise He Ek Sawaal Tha,
Wo Aaj Mila To Yun Laga
Wohi To Hai Jis Ka Intazar Tha,
Use Yaad Kaise Na Karoon
Use Bhoolna To Muhaal Tha,
Ab Us Ki Kya Main Misal Doon
Wo To Apni Misal Ap Tha,,,,,,,,,,,,,,,,,
Lambe safar mein
Aashiyana ho tum,
Akele raaston ka
Yaraana ho tum,
sochte hain Tum bin
Zindagi kaisi hoti,
Kyunki hamari har
Khushi ka Bahana ho TUM...

Bheed Main Ek Ajnabi Ka Saamna Acha Laga
Sab Se Chup Ker Wo Kisi Ka Dekhna acha Laga


Surmayi Aankhon K Neeche Phool Se Khilne Lage
Kehte Kehte Wo Kisi Ka sochna Acha Laga

Baat Tou Kuch Bhi Na Thi Magar Uska Ek Dum
Haath Ko Honton Pee Rakh Ker Rokna Acha Laga

Dil Main Kitne Ehad Bandhey Thay Bhulaane K Liye
Wo Mila Tou Saare Iraade Todna Acha Laga

Is Adoo-e-Jaan Ko Kaise Main Bura Kahoon
Jab Bhi Aaya Saamne Wo Bewafa Acha Laga
Kaha Usne Bharosa Dil Pe Itna Nahi Karte

Kaha Maine Mohabbat Main Kabhi socha Nahi Krte

Kaha Usne Bohat Khush-Rung Dunia k Nazare Hain

Kaha Maine Jab Tum Ho Tou Hum Kuch Dekha Nahi Karte

Kaha Usne Main Tum Se Duur Hoon Lekin Tumhari Hoon

Kaha Maine k Sapne Dil Ko Behlaya Nahi Karte

Kaha Usne Tumhari Chahat Tumhain Ruswaiya''n Degi

Kaha Maine Shohrat Se Ghabraya Nahi Karte

Kaha Usne Samaj Jao, Samajh Jao Ae Maire Dost

Kaha Maine K Deewane Ko Samjhaya Nahi Karte
Kon Hai Suraj Kon Hai Saya Mai Bhi socho''n Tu Bhi soch
Kis Ne Pehle Haath Churaya Main Bhi socho''n Tu Bhi soch

Jis Ki Khatir Sahil Sahil Sipiyan Chunte Beet Gaye
Kyun Wo Moti Haath Na Aaya Main Bhi socho''n Tu Bhi soch

Kis Ko Kitna Naam Mila Aur Kis Ko Kia Ilzaam Mila
Kis Ne Kis Ka Waqt Ganwaya Main Bhi socho''n Tu Bhi soch

Kis Ne Kitni Aas Bandhai Kis Ne Kitni Jaan Churaai
Kis Ne Kitna Saath Nibhaya Main Bhi socho''n Tu Bhi soch

Hum Tou Ta''aluq K Bare Main sochne Par Majbuur Huey
Jeevan Main Ye Din Kyun Aaya Main Bhi socho''n Tu Bhi soch
Mein sochta hoon kuch uss se kahon
koi baat mohabat, ulfat ki
koi baat sunehrey khwaboun ki
koi baat ke jis k harf harf se
be-naam si khushbu poothi ho
phir sochta hon kya hasil hai
gar uss ko sab kuch keh bhi diya
ye lafz be-kaar jayengey
mai sochta hoon aik geet likoon
unn komal pyare hathon par
uss phoolon waley aanchal par
jisey audh ke wo ek pari lage
kabhi sochta hoon koi nazam kahoon
bas jis main uss ki baatain hon
un gehri gehri aankhon par
jin aankhuon main kai sadiyon k
kai qissay hain, afsanay hain
phir aksar yun bhi sochta hoon
main kuch na kahoon ye behtar hai
har zakhm chupa kar seenay main
bas dukh hii sahoon ye behtar hai
jab unko aitbaar nahi hai
jahan lafz yaqeen se khali hon
wahan chup hii rahon ye behter hai.
Agar Kabhi Kitaab Likho
Chahato’n K Naam Likhna
Rafaqato’n K Naam Likhna
Tumhari Mujs Se Dosti Ki
Wo Pehli Pehli Baat Likhna
Payam Likhna Wo Dosti K
Qabuliyat K Muqaam Likhna
Wo Hijr Ki Raato’n Ki Baat Likhna
Wo Vasl Din Ki Mulaqat Likhna
Ikhtitam-e-Kitaab Aaye Tou soch Lena
Yaad Kerna
Aur
Apna Mera Naam Likhna . . .
Maira Dil Bhi Shoq Say Toro Ek Tajurba Aur Sahi
Laakh Khilone Torr Chuke Ho Ek Khilona Aur Sahi


Raat Hai Gham Ki Aaj Bujha Do Jalta Hua Har Ek Chiraag
Dil Mein Andhera Ho Hi Chuka Hai Ghar Mein Andhera Aur Sahi


Dam Hai Nikalta Aashiq Ka, Bheer Main Aa Kar Daikh To Lo
Laakh Tamaashe Daikhe Honge Ek Nazaara Aur Sahi


Khanjar Le Kar sochte Kya Ho Qatl-e-Murad Bhi Kar Daalo
Daag Hain So Daaman Pe Tumhaare Ek Izaafa Aur Sahi
Tu Jo Roye Gi To Meri Palkon Pe Nami Reh Jaaye Gi

Zindagi Bus Naam Ki Zindagi Reh Jaaye Gi

Tu Mujhe Chorh Rahi Hai Ek Baar Phir Se soch Le

Main Chala Jaaon Ga Aur Tu Dekhti Reh Jaaye Gi

Ye Nahi Kehta K Tum Bin Jee Nahi Paaon Ga

Haan Meri Zindagi Main Ek Kami Reh Jaaye Gi

Main Tou Tey Kar K Chala Jaaon Ga Dunya Ka Safar

Mere Baare Main Ye Dunya sochti Reh Jaaye Gi

Zindagi Main Sub Se Zyaada Maine Tujhe Chaha

Main Agar Na Bhi Raha To Ye Shayeri Reh Jaaye Gi
Tumhare Bagair Tumhare Sung Rehne Laga Hoon

Khud Ko Kuch Is Terha Se Saza Dene Laga Hoon

Pathar Ki Terha Se Hoon Kabhi Ye Gumaan Bhi Tha

Zard Patto’n Ki Terha Se Roz Bikherne Laga Hoon

Kaash Mujhe Bhi Maire Hissay Ka Pyar Mil Jaye

Isi Aas Par Ab Man Yahan Jeenay Laga Hoon

Koi Nahi Marta Kisi K Bagair Kabhi Ye Kaha Tha

Din Raat Ye Hi soch Ker Ab Marne Laga Hoon

Tum Ne Kaha Tha Koi Juda Nahi Ker Sakta Humain

Ab Ye Hi Dua Main Bhi Kerne Laga Hoon
Yea Hii Wada Liya Tha Na
Hamesha Khush Hi Rena Hai
To Dekhoo.....Dekh Loo Aaa Kar
Mairy Ankhoo Ko Dekhoo Tum
Yea Kitni Shokh Lagti Hain
Mairy Hontoo Ko Dekhoo Tum
Hameesha Muskratey Hain
Koi Bhi Gham Aghar Aya
Ussy Hans Kar Saha Main Ney
Mairy Cherey Ko Dekhoo Tum
Hamesha Purskoon Hoo Ga
Tum sochoo Gay
Kiya Tha Main Ney Jo Tum Say
Woo Wada Kar Diya Poora
Magar Aik Baat Hai Sanam
Kabhi Joo Waqat Mil Jayee
To Mairy Shairey Parna
Tumain Mehsoos To Ho Ga
Kehain Talkhi Bhara Lehja
Kehain Pey Sard Sa Lehja
Kehain Pey Dard Ki Jheelay
Kehain Leajhy Ki Karwahat
Snooo...............
Main Khush To Hoo Lekan
Lahoo Har Lafz Roota Hai
Lahoo Har Lafz Roota Hai