sham SMS Messages335 messages

kuch iss tarha se woh mery zindagi main jo shamil hui
apney wajood k lye hum he ajnabi or woh k malik hui
sham ne lipat kar pyar ka izhar kiya,
Chandani ne bikharkar Yaar ka satkar kiya.
Main khada bas dekhta raha Roop ki jalti agan,
Dil lagi ne Dilkashi se waqt ko guljar kiya.
Us K Hathon Main Hina,Paon Main Payal Hogi.Aik Dewar Magar Beach Main Hayal Hogi.Us K Jalwoon K Bohat Pass Main Honga.Lakin Wo Kisi Or Ki Taqdeer Ka Hasil Hogi.Surkh Kaproon Say Sajay Tar Na Mery Hongy.Us Ki Aankhoon Main Mery Pyar Ki Jhilmil Hogi.Jaty Jaty Wo Mujy Pyar Say Dakhy Gi Jab.Roty Roty Wo Meri RohMain shamil Ho Gi.Mujy Say Wo Dor Bohat Dor Chali Jayee Gi.Ya Kaahani Bhi Sara-e-Bazam Mukamil Hogi.
Hum ney khushboo ki terha gam bhi akathey dekhey hain.Safa zeast ko palto gi to yaad aaon ga.Isi andaaz main mukhatab hoey they mujsay.Khat kisi aour ko likho gi to yaad aon ga.Sard raton k mehaktey hoey sannaton main jab kisi phoool ko choomo gi to yaad aon ga.haadsey aaeyn gey jeewan main to tum ho k nidhaal.kisi dewaar ko thamo gi to yaad aaon ga.Shaaal pehnaey ga kon december main.Baarishon main kabhi bheego gi to yaad aaonga.iss main shamil hai mere bakht ki bhi tariiiki maqsoood.Tum syaah rung jo pehno gi to yaad aonga.
Main Udaas Rasta Hoo sham Ka

Mujhe Ahaton Kii Talash Hai

Ye Sitarey Sab Hain Bujhey Bujhey

Mujhe Jugnuon Ki Talash Hai

Wo Jo Ek Darya Tha Aag Ka

Mere Raston Se Guzar Gaya

Mujhe Kab Se Rait K Shehar Me

Barishon Ki Talash Hai

Main Udaas Rasta Hoo sham Ka
saada se ik chehray per
kia jaduger si Ankhain hain
jo dekhay in ka hojaye
jo utray wo kho jaye
kitnay sapnay jag rahay hain
in palkon k saye saye..
shama seher si ,chara gar si,
namar barsi Ankhain hain
anjani pahchani si
apni aur begani si
aik hi manzer ka hissa bhi
aks bhi hairani bhi
sahil jaisi lagty hain wo aur bhanwar si Ankhain hain
saada se ik chahray per kia jadooger si Ankhain hain
,Saal Beetey, Dil Se Mere Ja Na Paye Tum
sham Ki Tanhai Mein Phir Yaad Aaye Tum


Har Subah Paya Tumhein Khayalon Mein Apne Pas
Raton Ko Khuwabon Mein Mere Muskaraye Tum


Lagte Ho Mere Apne Jabase Tum Ho Dur
Na Jane Kyon Lagte Thay Pahle Kuch Paraye Tum


Piyar Hum Se Behisab Tha Tumhein Phir Bhi
Janey Kyon Hum Se Rahey Nazarein Churaye Tum


Jab Talak Tum Sath Thay Shikway Bhi Sath Thay
Kuch Nahin Ho Ab Mohabbat K Siwai Tum


Thak Gaya Hoon Zindagi Ki Rah Mein
Kaash Mil Jate Kahin Nazrein Bichhaye Tum
"Mudaato se mera dil hain k abad nahi hain
Honton pe mager aaj bhi feryad nahi hain
Aata hain kehyalon meh mere ek chera
Bas us k siwa kuch bhi muje yaad nahi hian
Dehka hain ujarte howi kitne Gharoo ko
Hain kon jo is ishq meh berbad nahi hian
Dil jis ki judahi meh dharakta hain sar_e_sham
wo aam (simple) sa chera hain PARI ZAAT nahi hain"
kuch yon teray wajood mein gum ho gaya hon mein tere nazar say apna pata pochta hon mein sukh teray jaloo mein to dukh meray sath thay aa dost pir b dekh zinda raha hon mein Pathar aanso, chasham-e-tar reza reza yani ham bikhren hokar reza reza aainay mein akas tera mujood raha aainay say mein bahar reza reza
Uss bhegi bheegi sham mein
Jab wo merey sath tha
Khamooshi thi....,
Verani thi.....,
Pass ho ker bhi mein
Tanha thi.....,.
Sarey wadey bikher gye
Uss ki majborion k angan mein
Palatey guzertey qadam uss k
Dil ki khahishon ko thukra gye
Judayi ka ye bey-sada manzer
Mugh ko pal pal terpaney laga
Phir sab lamhey kho gye
Buss aik lamha baqi hey
Hijer ki ratoon mein tanhayi ka
Or uss ki khamoosh judayi ka............
Tum Sab Jo Meri Baat Suno
Ek Qissa Tumhain Sunata Hoon
Ye Qissa Nahi Zamane Ka
Ye Qissa Hai Parwane Ka
Jo Pal Pal Jeeta Marta Tha
Jo Pyar Bohat Hi Kerta Tha
Har Baat Usay Malum Tou Thi
Ek Baat Magar Wo Bhula Betha
sham''ma Ko Haasil Kerne Main
Khud Apna Aap Ganwa Betha
Yun Ishq Ki Hadh Se Guzarne Main
Parwane K Jal Marne Main
Ab Jaagti Hai Na Soti Hai
sham''ma Ab Har Pal Roti Hai
Jo mausam beet jata hai dobara kyon nahin ata
kahin se laut ker bachpan hamara kyon nahin ata

yahan anay ko to har din kissi ke saath ata hai
jesay is dil ne reh reh kar pukara kyon nahin ata

who jis ki lo mohabbat ki jabeen ka istara thi
to phir rstay hamary mein wo roshan sitara kyon nahin ata

bohat hairat hai ab baaghon mein jab kaliyan chatakti hain
hamary dehyan mein lehja tumhara kyon nahin ata

kabhi phelay hoay pairon se jab kirnein jhalakti hain
tasawur main un ankhoon ka ishara kyon nahin ata

bhatakta phir raha hoon din ke is weraan jangal mein
mehakti sham ka rangeen kinara kyon nahin ata