safar SMS Messages225 messages

Zindagi k safar mein koi Rasta nahi deta
Zameen Waqaf nahi banti Falaq saya nahi deta

Khushi aur dukh k mosum sab k apne apni hote hain
Kisi ko apne Hise ka koi Lamha nahi deta

Othana Hud he parta hai Thaka hua Badn apna
K jab tak Sans Chalti hai Koi Kandha Nahi deta..!!!
Merey Humsafar Ka Yeh Hukum Tha
Keh Kalaam Us Se Main Kam Karon

Merey Hoont Aisey Siley kEh Phir ..
Meri Chup Ne Uss Ko Rulaa Diyaa !!
humsafar Chahiye Hajoom Nahin,
ek Musafir Bhi Qafla Hai Mujhe,

Tou Muhabbat Se Koi Chaal To Chall,
Haar Janay Ka Hosla Hai Mujh Mein.
Qadmon mai bhi takaan thi, gher bhi qareeb thaa
per kiya karain keh ab kay safar he ajib thaa

niklay agar to chaand dereechay mai ruk bhi jaaey
iss shehar bay-charaagh mai kis ka naseeb thaa

Aandhi nay un ruton ko bhi bay-taaj ker diya
jin ka kabhi huma saa parinda naqeeb thaa

kuchh apnay aap say he usay kash-makash naa thi
mujh mai bhi koi shakhs ussi ka raqeeb thaa

poochha kisi nay mol to hairaan reh gaya
apni nigaah mai koi kitna ghareeb thaa

maqtal say aanay wali hawa ko bhi kab mila
aisa koi dereecha keh jo bay-saleeb thaa...
Chalo Yeh Farz Karte Hain,
K Tum Mashriq,Main Maghrib Hoon!
Chalo Yeh Maan Lete Hain,
Bara Lamba safar Hai Yeh,

Magar Yeh B Haqiqat Hai,
Tumhari Zaat Ka Suraj,

Bohat Sa Raasta Chal Kar,
Meri Hasti Mein Doobay Ga.
Wo Janta Hai K Mujhse Sabar Nahi Hoga , Wo Mere Dard Se Bekhabar Nahi Hoga , Main Do Qadam Jo Chaloon Dil Pukarta Hai Yehi , K Tera Sath Na Hoto Yeh safar Nahi Hoga
Katthin Hai Zindagi Kitni

safar Dushwaar Kitna Hai

Kabhi Paaon Nahi Chaltey

Kabhi Rasta Nahi Milta

Humara Saath Dey Paaye

Koi Aisa Nahi Milta

Faqat Aise Guzaroon To

Ye Roz-o-Shab Nahi Kat''tey

Ye Kat''tey Thay Kabhi Pehley

Magar Haan Abb Nahi Kat''tey

Mujhey Phir Bhi Mere Maalik

Koi Shikwa Nahi Tujh Sy

Main Har Dukh Jhail Sakta Hoon

Main Jaan Par Khel Sakta Hoon

Agar Tu Aaj Hi Ker De

Mohabbat Hum-safar Meri....!
Thi Is Qadar Ajeeb Musafat K Kuch Na Pooch

Aankhai''n Abhi safar Main Theen Aur Khwab Thak Gaye
Muhabbat Khud Bataati Hey
Kahan Kis Ka Thikana Hey
Kisey Aankhon Main Rekhna Hey
Kisey Dilmain Besana Hey
Riha Kerna Hey Kis Ko Or
Kisey Zanjeer Kerna Hey
Mitana Hey Kisey Dil Sey
Kisey Tehreer Kerna Hey
Gheronda Kab Girana Hey
Kahan Taameer Kerna Hey
Isey Maloom Hota Hey safar Dushwar Kitna Hey
Kisi Ki Chashm E Geriya Main Chupa Iqraar Kitna Hey
Shajar Jo Girney Wala Hey Who Sayaadaar Kitna Hey
safar Ki Her Saoubat Or Temazat Yaad Rekhti Hey
Jisey Saaary Bhula Daalen
MUHABBAT YAAD REKHTI HEY
bikhar rahi meri zaat use khna

kabhi milay to ye bat use khna

wo sath tha to zamana tha hamsafar mera

ab koi nahi mary sath usy kna

use pukaro k khud hi pounch jaon us k paas

nahi rahe wo halat use khna

agar wo phir b na lotay to a mery Kasid

mery zeest k sab halat usy kahna

usay khna k main apni jeet b us k naam krta hon

main manta hon apni har usy khna
Ab Kahuf Nahi Koi Mjhe Rah-e-Guzar Se
Main Duur Nikal Aaya Hoon Us Kanch K Nagar Se
Ye Log B Ache Hyn Makan B Bht Ache
Bas Main Hon Bezaar Un Achon K Nagar Se
Ek Mor Pe Hum Ajnabi Ban K Milenge
Ye Baat Tou maloom Thi aaghazz-e-safar Se
Jesa Bhi Hoon Acha Hoon ya Bura Apne Liye Hon
Main Khud Ko Nahi Dekhta Auro''n Ki Nazar Se
Wo Suraj Ki Tarah Aag Ugalte Rhe

Hum Musafir safar Par Hi Chalte Rhe.

Woh Beete Waqt thay,Unhe Ana Na Tha

Hum Saari Raat karwate badalte rahe.