saans SMS Messages163 messages


Chehrey pe merey Zulf ko Phailaao kissi Din
Kiya Roz garaj-tey ho, baras jaao kissi Din

Raazon ki tarha utro merey Dil mein kissi shab
Dastak pe merey haath ki khul jaao kissi Din

Phoolon ki tarha “husn” ki baarish mein naha loon
Badal ki tarha jhoom ke ghir aao kissi Din

Khushboo ki tarha guzro merey Dil ki gali say
Phoolon ki tarha mujh pe bikhar jaao kissi Din

Phir haath ko khairaat miley bund qaba ki
Phir Lutf -e- shab-e-wasl ko dohraao kissi Din

Guzrein jo merey ghar sey tou ruk jaaein Sitaarey
Iss tarha meri Raat ko chamkaao kissi Din

Mein Apni har aik saans ussi raat ko dey doon
Sar rakh ke merey seeney pe so jaao kissi Din
saans Ka Kya Bharosa Kahan Sath
Chorh Jaye...

Meri Zaat Se Wabasta Logo Mujhe Maaf
Kar K Sona...
mere aansoo meri palkon se churaney k liye

koi nahi mujhey seeney se laganey k liye

yoon to hain chehray iss duniya mey

nahi koi magar sath nibhaney k liye

din bhar khuwab jo tootey thay sametey hum ne

phir se so gaey hum naye khuwab sajaney k liye

mey na rahoonga to yad karogey mujhko shayad

phir kisey dhoondhogey tarpaney k liye

meri saanson ki rawani to faqat dhoka hai

haan mey zinda hoon magar sirf dikhawey k liye....
Tum poochho ore main na btaon
Aesay to halaat nhi
.
Aik zra sa dil toota hay
Ore to koi baat nhi
.
Kisko khabar thi sanwal.e.badal bin brsay urr jatay hain
Sawan aaya lekin apni qismat main brsaat nhi
.
Toot gia jb dil to phr saanson ka chalna kia maani
Goonj rhi hay keun shehnaie jb koi baraat nhi
.
Meray ghamgeen honay pr ahbaab hain keun heraan QATEEL
Jesay main pathar hoon meray seenay main jazbaat nhi
Har taraf har jagah beshumar aadmi
Phir bhi tanhaiyon ka shikaar aadmi
Subah se shaam tak bojh dhota hua
Apni hi laash ka khud mazaar aadmi
Har taraf bhaagte daudhte raaste
Har taraf aadmi ka shikaar aadmi
Roz jeeta hua roz marta hua
Har naye din naya intezar aadmi
Zindagi ka mukkaddar safar dar safar
Aakhri saans tak bekaraar aadmi
Kabhi Mujh Ko Saath Lekar, Kabhi Mere Saath Chal Kar
Woh Badal Gaye Achaanak Meri Zindagi Badal Kar

Huye Jis Pey Meharaban Tum Koi Khush Nasib Hoga
Meri Hasaratein To Nikalin Mere Ansuuon Mein Dhal Ke

Teri Zulf-O-Rukh Kay Qurban Dil-E-Zaar Dhuundhata Hai
Wahi Champai Ujaale Wahi Suramai Dhundalake

Koi Phool Bun Gaya Hai Koi Chaand Koi Taara
Joh Chiraag Bujh Gaye Hain Teri Anjuman Mein Jal Ke

Mere Dosto Khudara Mere Saath Tum Bhi Dhuundo
Woh Yahin Kahin Chhupey Hain Mere Ghum Kaa Rukh Badal Kay

Teri Bejhijhak Hansi Say Na Kisi Kaa Dil Ho Mailaa
Yeh Nagar Hai Aainon Kaa Yahaan saans Le Sambhal Ke
her saal jaunary,
humain kuch sapnay dikhati hai,
jis ko poora kernay main,
december aa pohanchta hai,
zindagi aur akheer bi mano,
umer kay january aur december hain,
zindagi ki january bi jo khwab dikhati hai,
admi umer ber un ko poora kerta rehta hai,
aur umer ka december aan pohanchta hai,
aur saal ki terha,
saans bi khutum ho jati hai...
Marnay k bad meri ye kahani likhna
Kese hui Barbad meri ye Jawani likhna
Ye likhna usay Intizar bahot tha kisi ka
Aakhri saans ki kesay hui Rawani likhna
Jo Qasmain khai thi us ne Piyar me
Un Qasmon ki kya hui us per Mehrbani likhna
Labon ki sersarahat se
badan k choor hony tak

Main tujh ko is tarah chahoon
K meri saans ruk jaye

Khataon par khata'ain hun
Na ho kuch baat kehny ko

Main tujh men yun sama jaon
K meri saans ruk jaye

Na himmat tujh men ho baqi
Na himmat mujh men ho baqi

Magar itna qareeb aaon
K meri saans ruk Jaye

Tery honton pe jab rakhun
Main apny hont kuch aesy

Ya teri pyaas bujh jaye
YA MERI saans RUK JAYE
Boy: Kesa Feel Kar Rahi Ho?

Girl: Kal Raat To Had Hogai.

Uff, 2 Ghantay, Meri To Jaan He Nikal Gai.

Saray Kapray Geely Ho Gaye Thy.

Pehle To Ek Ghanta Karte They.
Magar Kal To 2 Ghantay Tak saans He Nahi Aai.


1 Ghanta B Bohat Tha.



Ye 2 Ghanta Ki


Load Shedding To Jaan He Nikaal Deti Hai.
saans lene se bhi teri yaad aati hai,
Har saans mein teri khushboo bas jati hai,

Kese kahoon ki saans se main zinda hoon,
Jab ki saans se pehle teri yaad aati hai.
||*MuGhal*||
Pathan:Yara abhi tumhara Ami ka khaansi kesa hai ?


Dost: Khaansi to band hogaya hai par saans ruk ruk k aa raha hai.


Pathan:Koi baat nahi ALLAH karega wo bhi jaldi band hojayega.