raat SMS Messages794 messages

Tum ko Maloom B Shayad Ye Kabi Ho K Na Ho


Meri raatein. Teri Yaadon se saji rehti hain
Meri Saansein Teri Khushbo mai basi rehti hain

Meri Aankhon mai Tera Sapna saja rehta hai
Haan Mere Dil mi Tera hi Aks basa rehta hai

Is tarah Mere Dil ke boht Paas ho Tum
Jis tarah paas hi Sheh-e-Rag ke Khuda rehta hai

Tum ko Maloom bhi shayad ye kabhi ho k na ho..!!

Mere Aangan mai lage phool gawahi deinge
Mai ne Arsey se kisi Phool ko dekha bhi nahi

Tujh ko socha hai to phir Tujh ko hi socha hai faqat
Tere siwa.. kisi aur ko socha bhi nahi

Tum ko Maloom bhi shayad ye kabhi ho k na ho..!!
kia zaroori hey key jo hum chahtey hen wo hi ho?
jo safer kertey hen hum uski koi manzil bhi ho?

qurbatoon aur faslon key dermiyan jo lamha hey
us lamhey per her chahney waley ko kuch qudrat bhi ho?

hum raat bher jiskey liey jagtey bhi hen rotey bhi hen
wo bhi hamen kuch yaad kerta, sochta, rota bhi ho?

kia zaroori hey key her dukh ka miley koi hisaab?
aur hamarey dukh ka koi bantney wala bhi ho

hum jisey apna nahi kehtey hen apna jaan ker
wo humen apna samajhta ho mager kehta bhi ho?

kia zaroori hey key jo hum chahtey hen wohi ho?
jo safer kertey hen hum uski koi manzil bhi ho?
Tumhain Dil Say Bhulatay Hain To Aankhain Khoob Rooti Hain,
Dard Dil Main Jagatay Hain To Aankhain Khoot Rooti Hain..


Tumharay baad Chahat K Sabhi Punchi Uray Jaan,
Kahin Bhi Dil Lagatay Hain To Aankhain Khoob Rooti Hain..


Teri Tasweer, Adhooray Khat To Jala Diey Hum Nay,
Ab Paani Pay Naqsh Banatay Hain To Aankhain Khoob Rooti Hain..


Ghata Aawargi Main Jab Siyah Choola Pehanti Hai,
Parenday Jab Satatay Hain To Aankhain Khoob Rooti Hain..


K Jab Bhi Shaam Dhalti Hai Meri Qismat K Sab Taray,
Falaq Par Jagmagatay Hain To Aankhain Khoob Rooti Hain..


Sard Tareek raaton Main Siyah Sawan Ki Barish Main,
Dard Jab Muskuratay Hain To Aankhain Khoob Rooti Hain..
"TOO LATE"
Aadhi raat k Sanatay Me
,Kis Ne Phone Kea Hy Muj Ko?
Jane Kis Ka Phone Aiea Hy,
Phone Utha Kr Yun Lagta Hy,
Os Janib Koi GumSum,
Okhra Okhra Dheray Dheray
Kanp Rha Hy,Mehki Hoi Ik Khamoshi Hy,
Ghup Khamoshi,Lakin Is Khamoshi Me B Gonj Rahe Hen,Thandi Sansain,
Barish,Aanso,Khamoshi Se Thak Kr Os Ne Saans Liya Tu,
Choorhi Khhanki,Uff Ye Khhan Khhan. . . .
Ik Lamhay Me Sarey Badan Me Phail Gaee Hy,
Teray Ilawah Koi Nhi Hy,Lakin Itnay Barson Bad. . . . .
khuab aankhon sey ab koi chura ker ley jaye
qaber k sookhey huye phool utha ler ley jaye

muntazir phool mein khushbu ki tarah hun kab say
koi jhonkay ki tarah aaye urha ker ley jaye

ye bhi pani hai mager aankh ka aisa pani
jo hatheli sey rachi mehndi churha ker ley jaye

main muhabbat sey mahakta hua khat hun mujh ko
zindagi apni kitaabon mein chupa ker ley jaye

khaak insaaf hai,nabeena butoon key aagey
raat thaali mein charaaghon ko sajaa ker ley jaye

un say kehna k mein paidel nahi aaney wala
koi baadal mujhay kaandhey peh bitha ker ley jaye
Barish Ka Ye Mousam Kuch Yaad Dilata Hai
Kisi Kay Saath Honay Ka Ehsaas Dilata Hai

Fiza Bhi Sard Hai Yaadain Bhi Taaza Hai
Ye Mousam Kisi Ka Pyaar Dil May Jagata Hai

Bheegi Hoye raatain Khamosh Si Baatain
Aisay Main Kuch Kaho Tu Her Lafz Madhem Ho Jata Hai

Barsat Ki Hain Bondain, Bondon May Hai Khushbo
Ye Lumha Tu Dil Ka Ehsaas Chuu Jata Hai

Aisay Main Tum Bhi Keh Do Dil Ki Baat
Ye Mousam Tu Pal Bhar Main Beet Jata Hai
Chalo ye raat ham ik dosre ke naam karte hain,
Chalo ik dosre ke aj ham dukh dard sunte hain,
Bhatakte ho kiun tum tanha sitaron ke jhamelon men,
kaho jo dil men aata hay hamtan gosh sunte hain,
Buhat ghamgen rehte ho hazaron dard sehte ho,
tumhari dharkanon men ik ajab sa shor sunte hain,
Chalo acha yon karte hain,
Suno tum ham sunate hain,
Ham apne dil ke har ik zakhm se parda uthate hain,
Dikhate hain tumhen tanhiyan kia zulm dhati hain,
Jhalak har pal daro dewar men uski dikhati hain,
Hamen har pal satati hain har ik lamha rulati hain,
Hamri sanson men tehlil hay khushbo wohi ab tak,
Hamen har phol se mehkar un sanson ki ati hay,
Buhat mushkil si hoti jarahi hay zindagi MEHTAB,
Tarapte hain sulagte hain magar khamosh rehte hain,
"CHAND SY BATEN"

Pichly pehr ki raat thi Tanhai or teri yaad thi.

Chand ny mujh sy kaha kon haiMeny Kaha koi 7 nahi.

Bola zindagi kesi haiMeny kaha koi khaas nahi.

Bola phir kya chahti hoMeny kaha koi aas nahi.

Bola tum ny pyar kiya haiMeny kaha kuch yaad nahi.

Bola tumhary 7 bhi dhoka hua hai
Meny kaha koi aisi baat nahi.

Bola aik baat kahoon
Meny kaha koi aitraaz nahi.
Bola too ny bhi pyar kiya hai aur wo tery 7 nahi..
"ZINDAGI"

Baray dukh bharay hain jana meri zindgi k lamhe
gar ho sakay to sunna meri dastan khudara

na mil sak athikana meri bekraryoon ko
kahin ro k raat kati kahin ro k din guzara.
Mujh Se Khafa Ho Ke Chup Chaap Sa Beth Jata Hai
Khud Bhi Jalta Hai Mujhey Bhi Saath Jalata Hai

Us Ko Manatey Hoye Mein Khud Hi Rooth Jayun To
Phir Merey Paas Aa Ke raat Bhar Mujhey Manata Hai

Khud Hi Sawal Kar Ke Khud Hi Jawab Deta Hai
Phir Merey Seeney Se Lag Ke Khud Hi Gungunata Hai

Us Ek Pal Ke Sadqey Mein Meri To Her Khushi Qurbaan
Jab Wo Sher Kehtey Hoye Dheerey Se Muskurata Hai

Subh Ka Sitara Lagta hai Zindagi Se Piyara Lagta Hai
Meri Bahon Mein Aatey Hoye Jab Wo Bohut Sharmata Hai
Wafa Jab Maslihat Ki Shawl Aurhey
Sard raat Ka Roop Dharey
Dil K Aangan Main Utarti Hai
Tou Palko''n Par Sitaro''n Ki Dhanak Muskane Lagti Hai
Kabhi Khwabo''n K An-Chuey Haiwalo''n Se Bhi
An-Dekhi C Anjani C Khushboo Aane Lagti Hai
Kisi K Sung Beetay, An-Ginat Lamho''n Ki Zanjeerai''n
Achanak Zehan Main Jab Gungunati Hain
Nafas K Taar Main Sannata Sa Yakdam Cheekh Uthta Hai
Tou Yun Mehsoos Hota Hai
Hawai''n Aa Ker Sargoshi Karti Hain
Mohabbat Ka Tumhan Idraak Tou Ho Gaya Hoga ?
Ye Jo Bhi Zakhm Deti Hai, Kabhi Seenay Nahi Deti
Mohabbat Rooth Jaye Tou, Kabhi Jeenay Nahi Deti
Zinadgi Kis Terha Bitaoge
Paas Jab Apne Humain Na Paoge

Din Man Tanhaiyan Satayengi
raat Main Chonk K Uth Jaoge

raat Bhar Neend Kion Nahi Aati
Tum Ye Khud Samajh Na Paoge

Log Poochenge Is Tanhai Ka Sabab
Kia Chuapoge Kia Bataoge

Palkain Har Baar Bheeg Jayengi
Jab Kabhi Khul K Muskuraoge

Meri Yaadain Bohat Satayengi
Jab Bhi Baarish Main Bheeg Jaoge

Khud Ko Tanha Na Paa Sakoge
Har Jaga Mera Hii Aks Paoge

Batao
Zndagi Kis Terha Bitao Ge