no SMS Messages5478 messages

kabhi yun jo ho kisi din agar
kabhi tu jo sar-e-raah miley

main hazar lamhon ko khench kar
ye jo chalta waqt hai...baandh doon

ye jo gardishain hain zameen ki
isi ek lamhay pe ruki rahain

main taka karon tujhy jazab se
yunhi pyar se yunhi shoq se
teri har ada ko samait loon
main hisar-e-jaan main saja rakhon

tu jo paas ho tou main jee sakon
tu jo duur ho na jiia karon...

kabhi yun jo ho kisi din agar
mere humsafar tu jo na miley

main hazar dharkanon ko khench kar
ye jo chalta dil hay...baandh doon

ye jo silslay hain meri saans k
teri duuri main hii haar doon

tu jo paas ho tou main jee sakon
tu jo duur ho...na jiia karon...!!!!
woh Aadmi Hai Aam Sa..
Ek Qissa Natamaam Sa..
Na Lehja Be-misal Hai,
Na Baat Main Kamal Hai..
Hai Dekhne Main Aam Sa
Udasiyon Ki Shaam Sa
Jaise k Ek Raaz Hai
Wo Khud Se Be-niyaaz Hai
Na Mehjabinon Se Rabt Hai
Na Shohraton Ka Khabt Hai
Ranjha, Na Qais Hai Koi..
Insha, Na Faiz Hai Koi
Woh Peker-e-Ikhlas Hai...
Wafa, Dua Aur Aas Hai...
Wo Shakhs Khud Shanaas Hai,
Tum Hi Karo Ye Faisla!!!
Woh Aadmi Hai Aam Sa?
Ya Phir Bohat Hii Khaas Hai...?
Lagzisho’n Se Mara Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
Dono Insaan Hain Khuda Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

Tu Mujhe Aur Main Tujhe Ilzaam Dete Hain Magar
Apne Andar Jhankta Tu Bhi Nahi Main BHi Nahi

Maslihat Ne Ker Dia Dono Main Paida Ikhtilaaf
Werna Fitrat Ka Bur Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

Mukhtalif Simto’n Main Dono Ka Safar Jari Raha
Ek Lamhe Ko Ruka Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

Chahate Dono Bohat Hain Ek Doosre Ko Magar
Ye Haqeeqat Maanta Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
ik dil walon ki basti thee,

jahan chand oor suraj rehtay thay,

kuch suraj mann ka pagal tha,

kuch chand bhi shokh chanchal tha,

basti basti phirtay thay,

har pal hanstay rehtay thay,

phir ek din dono rooth gaye,

oor saray sapnay tout gaye,

ab chand b uss waqt aata hai,

suraj jab soo jaata hai,

badal sab se kehte hey suraj uljha sa rehta hai,

chand k sath sitaray hain,

par suraj tanha rehta hai,...........
SAFAR TANHA NAHIN KARTE
SUno! AISA NAHIN KARTE
JISSAY SHAFAF RAKHNA HO
USSAY MAILA NAHIN KARTE
TERI ANKHAIN IJAZAT DE
TO HUM KYA KYA NAHIN KARTE
BUHUT UJRAY HOAY GHAR PAR
BUHUT ROYA NAHEEN KARTAY
SAFAR JISKA MUQADAR HO
USSAY ROKA NAHIN KARTE
JO MIL KAR KHUD SE KHO JAYE
USSAY DHONDHA NAHEEN KARTAY
USSAY RUSWA NAHIN KARTE
CHALO TUM RAZ HO APNA
TUMAHIN AFSHAN NAHIN KARTE
YEH UNCHAY PAIR KAISE HAIN
KAHIN SAYA NAHIN KARTE
JO DHUN HO, KAR GUZARNE K
TO PHIR SOOCHA NAHIN KARTE
KABHI HANSNE SE DARTE HAIN
KABHI ROYA NAHIN KARTE
SEHAR SE POOCH LO MOHSIN
KE HUM SOYA NAHIN KARTE..................
Muj mai jo kuch acha hai sab uss ka hai
ajj jo mera itna charcha hai sab uss ka
hai

uss ka mera rishta bara poorana hai
mai ney jo kuch soocha hai sab uss ka hai

meri aankhein uss key noor sey rooshan hain
mai ney jo kuch dheikha hai sab kuch uss ka hai

mai ney jo kuch khoya tha sab mera tha
mai ney jo kuch paya hai sab uss ka hai

jitni baar mai toota hon wo toota tha
idher udher jo bikhra hai sab uss ka hai

mera jitna charcha hai sab uss ka hai
muj mai jo kuch acha hai sab uss ka hai
tumhare dil ki tum he jaano
kaash hum apne dil ki kah paate
sada hamare dil mei rahna
kaash hum tumse yeh kah paate
dastak dete dil per tumhare
es sey pehle chal doge
jab tak pahunchi ye khabar humhe
tum duir desh mei jaa baithe
Jo khabar humhe yeh pahle hoti
hum raah rok kar kah dete
pehna kar apni khushiyon ka haar
tumhe vida hum kar dete
khalti hai bas ek baat yahi
gar kahni na thee apne dil ki
ruk jaate ghari do ghari
aur hamrae dil ki sun lete
bin baadal barsat kei yuin
barsati hain yeh aankhe jab
uthti hai ek hook si dil mei
Kaash tum yeh samajh paate
Aj mehfil-e-yaaran mein ronaq na thi,
Udassi thi chaaii hasi bhi na thi;

Muskurahat thi logoon ki itni banawati,
Chehroon pe wafa ki woh tazgi bhi na thi;

Kaloos ke saray jazbay thay sard is kadar,
Aj suraj ke kirnoon mein tapish bhi na thi;

Meray dard ko log kia mahsoos kerte,
Meray ansoon mein nami bhi na thi;

Meri zaat ko qabool kerte woh kis tarah,
Aj maut ki bhi qabooliat ki arzoo na thi;

Sawaal poocha keh nazroon mein teri aisa manzar tha kyun,
Jawaab aaya keh SAAHIL ki nazroon mein Woh Jo Na Thi;
Yea Hii Wada Liya Tha Na
Hamesha Khush Hi Rena Hai
To Dekhoo.....Dekh Loo Aaa Kar
Mairy Ankhoo Ko Dekhoo Tum
Yea Kitni Shokh Lagti Hain
Mairy Hontoo Ko Dekhoo Tum
Hameesha Muskratey Hain
Koi Bhi Gham Aghar Aya
Ussy Hans Kar Saha Main Ney
Mairy Cherey Ko Dekhoo Tum
Hamesha Purskoon Hoo Ga
Tum Sochoo Gay
Kiya Tha Main Ney Jo Tum Say
Woo Wada Kar Diya Poora
Magar Aik Baat Hai Sanam
Kabhi Joo Waqat Mil Jayee
To Mairy Shairey Parna
Tumain Mehsoos To Ho Ga
Kehain Talkhi Bhara Lehja
Kehain Pey Sard Sa Lehja
Kehain Pey Dard Ki Jheelay
Kehain Leajhy Ki Karwahat
Snooo...............
Main Khush To Hoo Lekan
Lahoo Har Lafz Roota Hai
Lahoo Har Lafz Roota Hai
maray khowab maray sapnay sab maray tak han
maray bad inhan yad karay ga kon
mari chahat ban jay gi afsana
mari muhabat ko yad karay ga kon
maray tak han ya tama sundar nazaray
maray bad inhan aabad karay ga kon
mari kahaniyan bikhran gi rahoon par
maray asfanoon ko yad karay ga kon
mari khtaoon ko shomar karay ga zamana
mari wafoon ko yad karay ga kon
jo guzarahay thay hum nay zamnay mill kay
on zamanoon ko yad karay ga kon
mari ahan maray sath ho jain gi dafan
maray ashkon ko yad karay ga kon
ik tum say ha zinda ya chahat mari
tum hi na ho gay tu yad karay ga kon
aakay is sath ko yadgar bana lan
kal kaya pata is yad ko yad karay ga kon
Tumhare Gam Ka Mausam Hai Abhi Tak,
Lab-E-Tashnaa Pe Shabnam Hai Abhi Tak,

Safar Mein Aable Hi Aable The,
Magar Pairon Mein Dam-Kham Hai Abhi Tak,

Tumhare Band Dar Mujhse Khafa Hai,
Mere Jeene Ka Matam Hai Abhi Tak,

Teri Aab-O-Hawa Raas Aa Gayi Thi,
Bichhad Jaane Ka Kuch Gam Hai Abhi Tak,

Gayi Rutt Mein Hui Thi Fasal Achhi,
Idhar Paani Gira Kam Hai Abhi Tak,

Main Khud Ko Dhundta Phirta Hoon Sab Mein,
Junoon Ka Ek Aalam Hai Abhi Tak..
Har Bat Pay Ab To Hasna Acha Nahi Lagta.
Gham_E_Ashiqi Say Hatna Acha Nahi Lagta.

Khirki Mai Mera Koi Intezar Nahi Karta Ab.
Teri Ghar Say Ab Guzarna Acha Nahi Lagta.

Rahoon Mai Teri Yad Kay Jugnoon Hain Ja Baja.
Ab Saath Kisi Kay Chalna Acha Nahi Lagta.

Aye Jan Tumhain Kab Tak Har Bar Manaon Mai.
Har Bat Pay Bigarna Acha Nahi Lagta.

Sono Kabhi Ankhoon Ko Khay Detin Hain Yeh Bohot Kuch.
Har Bat Zaban Say Kehna Acha Nahi Lagta.

Sawan Ki Rutoon Ko Chup Chap Ganwa Deta Hun.
Darakhtoon Say Ab Lipatna Acha Nahi Lagta.

Dastor_E_Zaban Bandi Seekhi Hai Choat Kha Kar.
Halay Dil Sabhi Say Kehna Acha Nahi Lagta.

Ab Kisi Nigah_E_Shoq Ko Intezar Nahi Hai Mera.
Ab Aass Kisi Ki Rakhna Acha Nahi Lagta.