Aj mehfil-e-yaaran

Aj mehfil-e-yaaran
Aj mehfil-e-yaaran mein ronaq na thi,
Udassi thi chaaii hasi bhi na thi;

Muskurahat thi logoon ki itni banawati,
Chehroon pe wafa ki woh tazgi bhi na thi;

Kaloos ke saray jazbay thay sard is kadar,
Aj suraj ke kirnoon mein tapish bhi na thi;

Meray dard ko log kia mahsoos kerte,
Meray ansoon mein nami bhi na thi;

Meri zaat ko qabool kerte woh kis tarah,
Aj maut ki bhi qabooliat ki arzoo na thi;

Sawaal poocha keh nazroon mein teri aisa manzar tha kyun,
Jawaab aaya keh SAAHIL ki nazroon mein Woh Jo Na Thi;
  

Jun, 04 2010     531 chars (4 sms)     3885 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Zindgi pr kitab likhun ga

Us me sare hisab likhun ga

Pyar ko waqt guzari likh kr

Chahton ko azab likhon ga

Hui barbad mohbt kaise

Kaise bikhre ha khuwab likhon ga

Apni khwahish ka tazkra kr k

Us ka chehra gulaab likon ga

Me us s judai ka sabab

Apni qismat khrab likhon ga
Tujhy bhul jaon ye koshish kr k dakhun ga..

wesy daryaon ka ulta behna mumkin nai..
muhabbat khud batatee hai kahan kis ka thikana hai
kisay ankhon mein rakhna hai kisay dil mein basana hai

riha karna hai kis ko aur kisay zanjeer karna hai
mitana hai kisay dil say kisay tehreer karna hai

ghironda kab girana hai kahan tameer karna hai
issay maloom hota hai safar dushwaar kitna hai

kisi ki chashm-e-giriya meain chupa iqrar kitna hai
shajar jo girnay wala hai woh saaya daar kitna hai

safar ki har saobat aur tamazat yaad rakhti hai
jissay saraay bhula dalain muhabbat yaad rakhti hai
thaka huwa hai wajood saara ye manta hon "mohsin"

magar khayalon se koi jaye to neend aaye...
baal bikhraye tooti qabron par

jab koi mahjabeen roti hai

mujh ko aksar khayal aata hai

maut kitni haseen hoti hai
Woh
Aksar Mujhe Pagal Kehta Hai
Aur Mai
Sochtee Hoon Kay
Mujhe Pagal Bananay Wala
Mujhe "Pagal" Kyun Kehta Hay
Brha Rhi hain Mere Dukh Nishanyan Teri


me tere khat,
teri tsveer tk jla donga.
Tere wahdoon pe hum jite rahe
Aur tu ne wahda toor deya
Phir akhir wohi kiya tu ne humain
Beech bhanwar main choor deya

Mujhe Tou Hosh Nahi Tumko Khabbar Ho Shayad. . .
Log Kehte Hyn K Tum Ne Mujhe Barbaad Kia
Do chezeen meri jisam k sath nai.

ek mera dil or dosra dard
In Sochti Ankhon Mein
Na Janay Kia Baat Hay
Eik Lamhay Ko Jo Mein
In Mein Dekh Loon
To Dobnay Lagta Hon
In Naraz Rawion Mein
Na Janay Kia Baat Hay
Eik Saniay Ko Jo Mein
In Per Ghor Karon
Tu Bhataknay Lagta Hon
In Kuch Kehtee Adaoon Mein
Na Janay Kia Baat Hay
Eik Pal Ko Jo Mein
In Mein Khoo Jaon
Tu Bhaknay Lagta Hon
Tanha Samjh raha hai mere DiL K0 Chara Gar

dunia basi hy is main kisi k khayal ki