mohabbat SMS Messages556 messages

"mohabbat..

Dekhoo Muhabat Karoo Tu Itni Karoo K Koi Had Na Rahay
Intezar Karoo Tu Itna Karoo K Koi Waqt Na Rahay
Bharoosa Karoo Tu Itna Karoo K Koi Shak Na Rahay
Nafrat Karoo Tu Itni Karoo K Phir Muhabat Na Rahay
Usey Ik Saltanat Ki Rajhdani Chiye Thi
mohabbat MeiN B Usko Hukmurani Chiye thi
Bicherne Ka wo Pehle Se taheya Ker Chuka Tha
Usey Meri Tarf Se bad-Gumani Chiye Thi
Lahoo pe karz banti ja rahi hai





mohabbat farz banti ja rahi hai
Ab k Kerna Tou Kisi Aise Se Chahat Kerna

K Jis Ko Aata Nahi Ho Shikwa Shikayat Kerna

Teri Kam-Goi K Charchey Thay Zamane Bhar main

Kis Se Seekha Hai Tum Ne ye Baato''n ki Wazahat Kerna

Pehle Khusbhu K Mizajo''n Ko Parakh Lo Nadaan

Phir Gulestaan main Kisi Gul Se mohabbat Kerna
khamosh lahjay main doost kabhi bola nahi kartay..
Darday Gham ko haar kisi kay samnay khola nahi kartay

mohabbat too mohabbat hai barii anmool hoti hai
mohabbat ko kabhi tarazoo main tola nahi kartay

Uss kay khamosh rahanay per koi ilzam nahi daay naa
Samandar too Samandar hai kabhi roya nahi kartay
mohabbat bandgi hai is mein tan* ka kurb mat maango,,
keh jis ko chhooo liya jaye usey pooja nahin kartey...
Kuch din pehle mohabbat ko sapna samjha hum ne
Muhabbat hue mohabbat ko apna samjha hum ne

mohabbat main iskadar madhosh ho Gaye
Is ki bewafai ko wafa samjha hum ne ..
Kuch din pehle mohabbat ko sapna samjha hum ne
Muhabbat hue mohabbat ko apna samjha hum ne

mohabbat main iskadar madhosh ho Gaye
Is ki bewafai ko wafa samjha hum ne ..
Jisko maine de di apni ye zindagi,
Woh shakhs hi mera qaatil nikla

Wafaparasti main na koi kami ki,
In wafaon se na kuch haasil nikla

Ishq, mohabbat, qasme waade,
In lafzon ka asar uspe baatil nikla

Hum to toofan se darte rahe lekin,
Jisne duboya mujhe, wo saahil nikla !!
Nahi Tha Zor Us Ki Stam Nawazio''n Ka Magar

Mjhe Bhi Hosley Mere Khuda Se Miley

Meri Ana Kyun Kehti Hy Bar Bar Mjhe

Wo mohabbat Kia Jo Iltija Se Miley
Bharam Rakh Lo mohabbat Ka

Wafa Ki Shaan Ban Jao

Kisi Pe Jaan De Do

Ya Kisi Ki Jaan Ban jao

Tumhare Naam Se Pukarenge

Mjh Ko Jahan Wale

Main ban Jaon Fasana

Tum Unwan Ban Jao
Deepak raag hai chaahat apni kyu sunaaye tumhe
hum to sulagte hi rehte hai kyu sulgaaye tumhe

tark-e-mohabbat, tark-e-tamannaa karne ke baad
hum pe yeh mushkil aan parri hai kaise bulaaye tumhe

sannaataa jab tanhaayi ke zehar mein bujhta hai
vo ghadiyaa kyu kar katti hai kaise bataaye tumhe

jinn baato ne pyaar tumhara nafrat mein badlaa
darr lagtaa hai vo baate bhi bhool na jaaye tumhe.