meri SMS Messages1831 messages

Uski yadon mein uski baton mein
Us ki duaon mein kahin mera aks to jhilmilata hoga
Lakh masroof hoga apnay kamon mein woh
Par ik pal to meri yad mein bitata hoga
phool sitare dariya un aakhoN ke naam,
humne likhyeN hai kya kya un aankhoN naam...

jin aankhoN ne meri nindeN chhinii hai,
mera her ek sapna un aankhoN ke naam...

kuch bhi kaho lagta hai jaise baat adhuri ho,
sher kahe hai kya kya un aankhoN ke naam...

aaj se unke sare bandhaN mere hai,
aaj se har ek rishta un aankhoN ke naam...
Mujh Se Khafa Ho Ke Chup Chaap Sa Beth Jata Hai
Khud Bhi Jalta Hai Mujhey Bhi Saath Jalata Hai

Us Ko Manatey Hoye Mein Khud Hi Rooth Jayun To
Phir Merey Paas Aa Ke Raat Bhar Mujhey Manata Hai

Khud Hi Sawal Kar Ke Khud Hi Jawab Deta Hai
Phir Merey Seeney Se Lag Ke Khud Hi Gungunata Hai

Us Ek Pal Ke Sadqey Mein meri To Her Khushi Qurbaan
Jab Wo Sher Kehtey Hoye Dheerey Se Muskurata Hai

Subh Ka Sitara Lagta hai Zindagi Se Piyara Lagta Hai
meri Bahon Mein Aatey Hoye Jab Wo Bohut Sharmata Hai

meri Yaad Ke Mausam Ko Palkon Pe Sajaye Rakhta Hai
Beetey Hoye Her Pal Ki Khabar Mil Kar Mujhey Batata Hai

Merey Bagher Kesey Guzri Us Ki Kal Ki Raat
Us Ki Aankh Ka Phela Kajal Saari Kahani Sunata Hai
Imtihaan ke chaar din hote hai mahobbat janam-janam tak chalti,meri zindege main aaye ho bahaar bankar tum yoohi rahna pyaar-pyar bankar..........
meri mahobbat ko na thukraana ham sirf tum par marte hai ye zindege tumhare bin kaati na jaaye tumse juda hone se pahle meri umr tumhe lag jaaye...
jahan phoolo ko khilna tha wahin khilte to acha tha
tumhi ko humne chaha tha tumhi milte to acha tha
koi aakar humein pooche tumhein kaise bhulaya hai
tumhare khat ko ashkoN se shab-e-ghum mein jalaya hai
hazaron zakhm aise hain agar silte to acha tha
tumhi ko hum ne chaha tha tumhi milte to acha tha
tumhein jitna bhulaya hai tumhari yaad aai hai
bahar-e-noh jo ai hai wohi khusboo hi lai hai
tumhare lab meri khaatir agar hilte to acha tha
tumhi ko humne chaha tha tumhi milte to acha tha
jahan phoolo ko khilna tha wahin khilte to acha tha
tumhi ko humne chaha tha tumhi milte to acha tha
Bana Gulab Tu Kaantay Chubha Gaya Aik Shakhs
Howa Charagh Tu Gher Hi Jala Gaya Aik Shakhs

Tamaam Rang Meray Aur Saaray Khwab Meray
Fasana Thay Ya Fasana Bana Gaya Aik Shakhs

Main Kis Hawa Main Uron Kis Faza Main Lehra’on
Dukhon K Jaal Her So Bicha Gaya Aik Shakhs

Palat Sekon Na Hi Aagay Berh Sekon Jis Per
Mujhay Yeh Konsay Raastay Per Laga Gaya Aik Shakhs

Muhabbatain Bhi Ajab Uski Nafratain Bhi Kamaal
meri Hi Tarah Ka Mujh Main Sama Gaya Aik Shakhs

Muhabbatoon Ne Kisi Ki Bhula Rakha Tha Usay
Milay Woh Zakhm K Phir Yaad Aa Gaya Aik Shakhs

Woh Maahtaab Tha Marham Badast Aaya Tha
Mager Kuch Aur Siwa Dil Dukha Gaya Aik Shakhs

Khula Yeh Raaz K Aayeena Khana Hai Dunya
Aur Is Main Mujh Ko Tamashaa Bana Gaya Aik Shakhs
Us K Hathon Main Hina,Paon Main Payal Hogi.Aik Dewar Magar Beach Main Hayal Hogi.Us K Jalwoon K Bohat Pass Main Honga.Lakin Wo Kisi Or Ki Taqdeer Ka Hasil Hogi.Surkh Kaproon Say Sajay Tar Na Mery Hongy.Us Ki Aankhoon Main Mery Pyar Ki Jhilmil Hogi.Jaty Jaty Wo Mujy Pyar Say Dakhy Gi Jab.Roty Roty Wo meri RohMain Shamil Ho Gi.Mujy Say Wo Dor Bohat Dor Chali Jayee Gi.Ya Kaahani Bhi Sara-e-Bazam Mukamil Hogi.
meri zindagi ki zarurat ho tum.chaha hai dil ney jisko wo chahat ho tum.Manga hai dil ney jisko wo khawahish ho tum.Mehkaya hai jis ney zindagi ko.wo khushboo ho tum.ankhon main jo basa hai wo haseen khawab ho tum.Dil main dharakney wali wo dharkan ho tum.Mera dil bhi ho tum, meri jaan bhi ho tum, mera pyar bhi ho tum.
Mera Dil Agey Hi Toota Tha,Chalo Aik Darar Aur Sahi,Zakhmi Tha Jigar Pehley Se Hi,Kuch Khoon Ki Bondain Aur Sahi,Ankh To Thi Pehley Se Namm,Ashqoun Ki Barsaat Aur Sahi,Bohat Baar Girr Kar Sambhla Hoon,Chalo Aaj Aik Thokkar Aur Sahi,Khilona Samjh Kar Sabhne Khaila Hey,To Kia Howa, Aik Khail Aur Sahi,Aey Merey Bewafa Dost,Tera Aik Waar Aur Sahi,Loh Aaj Ghum Ke Waseeh Afsaney Main,meri Aik Tehreer Aur Sahi.
Mohabbat Say, Inayat Say, Wafa Say Chot Lagti Hai,,Bikherta Phool Houn Mujh Ko Hawa Say Chot Lagti Hai,meri Aankhon Main Aansoo Ki Tarha Ek Baar Aa Jao,Takaluf Say, Banawat Say, Aada Say Chot Lagti Hai,Main Shabnum Ki Zuban Say Phool Ki Aawaz Sunta Houn,Ajab Ahsaas Hai Apni Sada Say Chot Lagti Hai,Tujhe Khud Apni Majburi Ka Andaza Naheen Shayad,Na Ker Ahed-E-Wafa, Ahed-E-Wafa Say Chot Lagti Hai...!!!
Main Lafzon main kuch asar nahin kerta.Iss ka matlab yeh nahin key main tujhey pyar nahin kerta.Chahta hon main tujhey aaj bhi.Mager teri soch main apna waqt bekaar nahin kerta.Tamasha na ban jaey kahin mohobat meri.Iss liey apney dard ko namoodar nahin kerta.jo kuch mila hai usi main khush hon.Main tere liey Khuda say takraar nahin kerta.Par kuch to baat hai teri aankhon main.Werna main tujhey chahney ki khata baar baar nahin kerta.