meri SMS Messages1831 messages

meri rusvai my shareek ha barabr ka tu
mery kissy mery yaroo ko sunato kya ha
pass reh kr b na pehchan ska tu muj ko...............
door sy dekh kr ab hath ko hellata kya ha
ma tera kuch b nai mgr itna to bta
dekh kr mujy tery zehan my ata kya ha!!!!!!!!!!!!!
simat te paya
ek nai umang mein har baar meri aankhon ne kshitij mein sama rahe

sooraj ko nihara.........par phir subhe ki laalima mein palkon ko

bheega hua paya
shaamon-sehar bas tanhai..........aur har lamha isi soch mein beeta
is duniya ko main samajh nahi payi ya is bhari duniya mein koi

..............mujhe samajh nai paya?
Zamanay Bhar Ki NigahOn Main Jo Khuda Sa Lagay
Wo Ajnabi Hai, Magar Mujh Ko Aashnaa Sa Lagay

Na Jaanay Kab meri Duniya Main Muskuraye Gaa
Wo Aik Shakhs K KhuabOn Main Bhi Khafa Sa Lagay

Ajeeb Cheez Hai YaarOn, Ye ManzilOn Ki Havas
K Raahzan Bhi Musafir Ko, Rah-Numa Sa Lagay

Dil-e-Tabaah! Tera Mashvara Hai Kia, K Mujhay
Wo Phool Rang Sitaraa Bhi, Be-Wafa Saa Lagay

Hui Hai Jis Se Munavvar Har Aik Aankh Ki Jheel
Wo Chaand Aaj Bhi IMRAN Ko Kam Numa Sa Lagay
meri rooh jesay kuchal gya,
koi shaks aisy badal gya,

ye kis ka harf-e- dua raha,
k main girty girty sanbhal gya,

teri yaad jab aany lagi,
mera dard jesy behal gya,

meri qismaton ka qaafla,
kisi aur janib nikal gya,

tumhain dekhty hain bysabab,
koi khawab mera machal gya,

mera patharon sa garoor tha,
magar tery aqgy pighal gya....
Ek kasak dil mein dabi reh gayi,
Zindagi mein unki kami reh gayi,
Itni ulfat k baad b vo mujhe na mile..
Shayad meri mohabbat mein hi kuch kami reh gayi..
===========================================================
tanhaai ma aksar aankhain nam rehti hain
k meri khuli baanhain har waqt ussay pukarti rehti hian
na hai ussay fikar meri aur na khayal mera
phir b us ki yaadain dil ko tarpaati rehti hain
Apne haathon se yun chehre ko chupate kyon ho
Mujhse sharmaate ho to saamaney aate kyon ho

Tum kabhi meri tarah kar bhi lo iqaraar-e-wafaa
Pyaar karte ho to phir pyaar chhupate kyon ho

Ashk aankhon main meri dekh ke rote kyon ho
Dil bhar aataa hai to phir dil ko dukhaate kyon ho

Roz mar mar ke mujhe jeene ko kehte kyon ho
Milne aate ho to phir laut ke jaate kyon ho
meri Ankhoon Sai Kabhi Utroo Dil Main,
Kai Main Dhadkan Main Basa Lon Tum Ko,
Jaan Sai Barh Kar Chahon Tumhain,
Apni Zindagi Hi Banna Loon Tum Ko,
Maray Khabon Main Sirf Tum Hi Baso,
Apni Neendon Main Saja Loon Tum Ko,
Loogon Ki Bhir Main Kho Na Jao Kahin,
Zamanay Sai Chalo Main Chura Lon Tum Ko,
meri Tanhai Ko Zaroorat Hai Tumhari,
Gar Ijazat Ho Tu Yadon Main Bula Lon Tum Ko
mohabbat kerne wale tu sath sath chalte hain...
rasta tu bewafa logye badel te hain...
tera chehra hai jab se meri ankhoon main...
meri ankhoon se logye jalte hain...
qeymat koi nahi jaanta in rone wali ankhoon ki...
sewaye iun logoon ke jin ko mohaabt ke safer main roswaye mili ho...
Sari Haqeqaton Ko Khuwab Kar Kay
Umar Bhar Ki Khushiyoun Ko Sarab Kar Kay
Badal Gaya Hai Woh Chahaton Say
meri Aadaton Ko Kharab Kar Kay
Na Khas Ban Ke Mila Karo.... Na Aam Ban Ke Mila Karo....
Mujhe meri Tarha Se Tum...... Benaam Ban Ke Mila Karo.......
Mana Ke Ye Faraib Hai ........... Ye Faraib Bhi DilFaraib hai.......
Sehraoun ke Sarab Mein........ Tum Sham ban ke mila karo......
Gar Janchna Ho Dard Ko.......... Gar Dekhna Ho Tarp Ko..........
Mujhay Tashnagi ke Alam ain.. TUM jam ban kar mila karo....
my dear, aap manzil ko mushkil samajhtay hain! hum aap ko manzil samajhtay hain! bara farq hai app ki or meri soch may aap humain sapna or hum aap ko apna samjhtay hain!
Ek teri yaadon ke siwa aur koi sahara nahin
Tujhey bhool ke zinda rahoon dil ko yeh gawara nahi
Ya khuda teri ibadat mein dil lagawoon kaisey
Yeh jaan bhi unki hai, dil bhi ab hamara nahi
Gunah humsey ho sar zad to khuda maaf karey
Qatha ho ishq mein is ka koi kaffara nahi
Loon kiska naam, kisney ujaada hai mujhey
Wafawon ney jaan baqshi hai, jafawon ne maara nahi
meri udaasiyon mein khudaayi bhi hai shaamil
Chaand bhi na nikla, aasmaan pe koi taara nahi
Doobey hain ghumon mein tho raaz yeh paaya
Yeh woh samundar hai ilyas jiska koi kinaara nahi