khuwahish SMS Messages19 messages

Hum to uski har khuwahish puri karne ka wada kar baithy "Faraz",
.
.
.
Humein kya pata k humein chorna bhi uski ek khuwahish thi.
Janwar Ma
Khawahish
Tr
Frishtay Ma Aqal Hoti Hy

Magr Insan Ma Dono Hoti Hyn

Agr Wo Aql Ko Dba Le To Janwar

Tr

Agr khuwahish Ko Dabata Hy

To Frishta Kehlata Hy
Reply is Must..!!
Q: Pehli Martba rona kab aya?
Ans: ?
Q: Kis cheez ko paaney ki shiidat sey khuwahish ki aur wo puri na hoie..?
Ans: ?
Q: Dil ki batain kisey btatey ho?
Ans: ?
Q: Kuch aisa jo nahin hona chahiye tha, par wo ho gaya?
Ans: ?
Q: Pehli martba kis ko passand kia?
Ans: ?
Q: Kis ki narazgi bardasht nahin?
Ans: ?
Q: Zindagi ka sab sey yaadgar lamha konsa hai?
Ans: ?
Q: Kia kabhi kisi sey mohabbat karo gaye?
Ans: ?
Q: Sab sey behtarien dost kon hai?
Ans: ?
muhabbat jhoot lagti hay mujhay
ik khookhla jazba
jisay izhar ki her waqt khuwahish hoo
kahay janay ki
sunanay ki
jisay her pal zaroorat hoo
"mujhay tum say muhabbat hay"
na janay rooz kitnay loog
is jumlay ko sunnnay k liyay baidar hotay hain
ye aisa jhoot hay jis ka sehr
sadioo''n say tari hay
magar janaa''n
muhabbat jab kabhi izhaar ko tersay
koi tum say ager kahday
"mujhay tum say muhabbat hay"
to us ki baat mat sunnana

muhabbat rooh say phootay
muhabbat aks ban jaye
to phir tum ko yaqee''n aye
k main nay sach kaha tum say
muhabbat rooh ban jaye
to phir us ka yaqee''n kerna
wagerna aik jumla koi kitni baar duhraaye
kahay jayee

nahi sunnuna
muhabbat jhoot hay janaa''n
ager izhaar ki is ko zaroorat hoo
Bohot kuch badal jata hai
Tere aane ke baad,
Bohot kuch bichar jata hai
Tere jaane ke baad,
Wo samandar ki leherey,
Wo rait ke mehal,
Bohot kuch beh jata hai
Saahil se takra jaane ke baad,
Wo baarish ke moti,
Wo taaro ki khuwahish,
Bohot kuch bikhar jata hai
Khuwaab toot jaane ke baad,
Wo teri parchaiyon se takrana,
Wo saayon ka lehrana
Bohot kuch mit jata hai andhera chhaa jaane ke baad.
Kaisay Kahun K Apna Bana Lo Mujhey,
Bahon Me Apni Sama Lo Mujhey,


Bin Tumhary Ek Pal Bhi Ab Kat-ta Nahi,
Tum Aa Kar Mujhi Se Chura Lo Mujhey,


Zindgi To Wo Hai Sang Tumhary Jo Guzray,
Dunia K Ghamon Se Ab Chura Lo Mujhey,


Meri Sab Se Gehri khuwahish Puri Ho,
Tum Agar Pass Apnay Bula Lo Mujhey,


Ye Kaisa Nasha Hai Jo Behka Raha Hai,
Tumhara Hun main To Sanbhalo Mujhey,


Najanay Phir Kaisay Guzray Gi Zindagani,
Agar Apnay DIl Se Kabhi Tum Nikalo Mujhey.../
Zameen par hai magar aasman jaisi hai
Woh narm narm see larki chattan jaisi hai
Meray haroof bhi jhootay hain meray jazbay bhi
Meri kahani bhi saray jahan jaisi hai
Yeh shaam mil k bicharnay ka ista-ara hai
Yeh raat hijar k kalay nishaan jaisi hai
Hawaein roz bhujaati hain khuwahishon k diye
Yeh zindagi bhi andheray makan jaisi hai
Mein apnay sath hoon ya koi dosra hai ZIA
Yaqeen ki yeh ghari bhi gumaan jaisi hai
Tumhain Maloom Hai Ham Ne
Kisi K Hijar Main Ye Zindagi Kaise Guzari Hai

Har Ik Khusboo Ki Aahat Per
Guman Us Ka Guzarta Hai
Har Ek Saat Pe Dil Aankhon Main Aaker Beth Jata Hai
Kai Pehlo Badalti khuwahishain Hathon Ko Phelaie
Duain Mangti Aur Hanpti
Dil Se Guzarti Hain

Magar Jo Hijar Lahaq Hai
Wo Jism-O-Jan Ki Deewarain Girata Hai
Umeedo Beem Ki Aankhon Se
Beenai K Sab Manzaroon Ko Khak Karta Aur Mitata Hai

So Ham Bhi Khak Hain
Aur Khak Ki Qismat Main Likha Gia Hai
Aaj Kuch Maangna Hay Tum Say
Aaj Kuch Lena Hay Tum Say
Aaj Kuch Dena Hay Tum Ko
Aaj Kuch Kehna Hay Tum Ko
Na He Koi khuwahish, Tamanna Na Arzoo
Bas Aik Hi Chah Hai Apni Aur Aik Hi Justaju
Ham Maangtay Hain Tum Say,
Teray Derd O Gham Wo Saarey Jo Rula Gaye Hain
Teri Neenden Uda Gaye Hain
Ham Hain Shareek E Gham Teray Pehchaan To Sahi
Ham Bhi Hain Saath Teray Tu Jaan To Sahi
Ker Bojh Apnay Dil Ka Halka Hamen Bataday
Ye Fikar Ye Udasi Kioon Hay Zara Sunaday
Laaye Hain Ham Baharain Teray Hi Waastay
Ye Rang Aur Ye Khushboo Teray Hi Waastey
Aaj Kuch Maangtay Hain Tum Say
Aaj Kuch MaangnA Hay Tum Say
Meri Ankhoon Kay SAmandar main Jalan kaisi Hai
Ajj Phir Dil Ko Tarapnay Ki LaGan Kaisi Hai

Ab Kisi Chhat Pay Chiragon Ki Qatarin Bhi Nahi
Ab Teray Shehar Ki Galioyon Main Guthan Kaisi Hai

Baraf Kay Roop Main dhal Jain Gay Saray Rishtay
Mujh say Pocho Kay Muhabbat Main Agan kaisi Hai

Main Teray Wisal Ki khuwahish Ko na Marnay Doon Ga
Mausam-e-Hijar Kay lehjay Main Thakan Kaisi Hai

Raigzaron Main Jo Banti Rahi Kantoon Ki RiDa
Uss Ki Majboor Sii Ankhoon Main Kiran Kaisi hai

Mujhe Masoom si Pagal Larki Pay Taras ata hai
ussay Dekho Tu Muhabbat Main Magan Kaisi Hai
Har naqsh dil se mita dia hai
suna hai tumne mujhe bhula dia hai

tumhain bhulnay ki is koshsh-e-nakaam ne
phir usi raastay se mila dia hai

phir jagi hai khuwahish tumse milne ki
isay phir thapkiyon se sula dia hai

kitnay pursukon thay meri zindagi k lamhe
teri aahat ne sara aalam hila dia hai.
Yeh Duniya Ho, Ya Wo Duniya ,,
Ab khuwahish Duniya Kon Karey....
jo Agg Lagaee Thi Tum Ne,,
Us ko toh Bhujaya Ashko''n Ne...