khushian SMS Messages18 messages

Main Lauton ga December main


December Jab bhi ata hai
wo pagli...
phir se beety mosumo'n ki
talkhion ko
yad karti ha
purana card perhti hai
k jis main os ne
likha tha
Main Lauton ga December main


Nai Kapry bnati hai
wo sara ghar sjati hai
December k her ik din ko
wo gin gin ker bit'tati hai
junhi 15 guzarti hai
wo kuch kuch toot jati hai
magar phir bi
purani albumo'n ko khol ker
mazi bulati hai !!!
nahi maloom ye osko
k beety waqt ki khushian
Bohat takleef deti hain
mehaz dil ko jalati hain...
yunhi din beet jaty hain
December laut jata hai
magar wo Khush feham larki...
dobara se calendar main
December k maheeny k safhy ko
mord ker, phir se
Phir se
December ke sahar main
Doob jati hai
k akhir os ne likha tha....

Main Lauton ga December main
chand nikel hi aya,jisko sawan badli geheer ke lai,
chand ne apni shakle dekahai,meri duaien youn bar aien....
aaj ke din jo deed huwi hai,,samjho meri eid huwi hai,
aaj ke din khush hai mera,roshini hahi,gia andhera,,
masaem jo rashk ka aya,ankh se bhaga ashk ka saya,
aaj jo dekha hand ko main ne,dil se duaien har dum mangien
"aye mere ALLAH Saien"....."khushian chand dikhata hai,
jo tu ous ko bhi khush rakihna aur ous chand ko hansta rakihna,
ous ko ko,e dukih mat dena,,,,mere chand ko bhi hansta
rakhhna.............*********
khushian ho overflow,
masti kabhi na ho low,
dosti ka surur chaya rahe,
dhan aur shorat ki ho bauchar,
aisa aaye aapke liye Edi KA TYOHAR... Eid Mubarak
"DEAR FRIEND"

"KHUDA" Kare har din apki khushian Petrol k Rates ki tarha Barhti Rahin,

Or



"Or Ghamoo ki Supply Bijli ki Tarha Band Rahen

"Ameen"
Nisar Teri chahal pahal per hazaron eiden

"Rabi-ul-Awal"

Siwae iblees k jahan main sabhi to khushian mana rahe hain
Aj Dil Di Kehn Nu G Karda,

Tere Dil Wich Rehn Nu G Karda,

khushian De K Tenu Tere Dard Sehn Nu G Karda,

Rab Jane Tera Mera Ki Rishta,

Bas Tenu Apna Kehn Nu G Karda......
Main teri chahton ka ahtram karta hon, main teri azmaton ko salam karta hon, Mil jain tujhy jahan ki sab khushian, or gham sary mein apne naam karta hon, Din to kat he jata hai mera dunya k kamon mein, Raat ko teri tasveron se kalam karta hon, Mangta hon mein khuda se teri mohabat, mein to bas in he duaon ka ahtamam karta hon, tum se shuru hua meri mohabat ka safar, tum per he apni mohabat ka ikhtetam karta hon.
abhi tu ishq mai aisa bhi hal hona hay
k ashk rokna tum say muhal huna hay


har aikh lab pay hain mere wafa k afsanay
teray sitam ko abhi la-zwal hona hay


yaja ka khara hain lakin bahar ki rut main
yah tay hay ab k hamain bhi nihal hona hay


tumhain khabar hi nahin tum tu lout jaou gay
tumharay hijar mai lamha bhi saal huna hay


hamari rooh pay jab bhi azab utrain gay
tumhari yad ko iss dil ki dhal huna hay


kabhi tu roay ga woh kisi ki bahon main
kabhi tu us ki hansi ko zawal huna hay


milain gi hum ko bhi apnay naseeb ki khushian
bas yah intazar hay kab yah kamal huna hay


har aik shakhs chlay ga hamri rahoon per
muhabbaton mai hamain woh bay misal hona hay
Insaan ki zindagi mein justajoo ka koi wajood na hota.....
Agar Insaan key mukadar mian sirf khushian hoti..
To umeed kun karta, hasratien kis ki udhori rehti..
Agar kooshish ka makam na hota...
sub mukmal ho jatey to phir udhora kun rehta...
Aisa hota.....
To sub ka mukadar phool hotey...phir khantoo ko kun pochta....
Phir kis ki kahstian bhanwar mein bhatkatien.....
Sub ko sathi mil jatey to phir tanhian kis ka mukadar banti.....
Kabhi milay tu usay yeh kehna
K tanha sawan bita chuka hoon
Saray armann jala chuka hoön
Jo sholay bharkay thay khawhishon k woh ansuaon
se bujha chuka hoon
Kahin milay to usay yeh kehna k Baghair us k udas
hoon main
Badalti rut ka qiyas hoön main
Bujha de apni mohabaton se, Sulagti sadiyon ki piyas
hoon main, Kahin milay tu usay yeh kehna
Na dil main koi malal rakhe, Hamesha apna khayal rakhe
Apne sare ghum mujh ko dai de
Or sari khushian sambhal rakhay.
Jis dor say guzar raha hon main
Too bhi meri yadon main tarpati to ho gi

So nahi paya main tujh say bicharnay k baad
Too bhi raaton ko aksar jaagti to hogi

Jo poocha kisi nay teri udaasi ka maqsad
Too hazaron bahanay banati to ho gi

Jis tarah rothi hain mujh say khushian meri
Too bhi tanhai main aksar roti to ho gi

Milay thay jub hum barson baad
Too un dino ko yaad karti to ho gi

Ya Rub mila hum ko iss dunia main or us dunia main
Meri tarha too bhi duwayain mangti to ho gi

Yon humain beqarar dekh kar SAHIL
Khuda ki qudrat josh main ati to ho gi
Mere Zakhmo Ko Aapka Dukhana Acha Laga,
Meri Halat Pe Aapka Muskurana Acha Laga,
Me To Talib Tha Aap k Pyar Ka,
Aapka Nafrat Se Nigahen Churana Acha Laga,
Laga K Aag Mere Aashyane Ko,
Phir Aapka khushian Manana Acha Laga,
Dil Me Thi Hasrat Aap K Deedar Ki,
Saamne Aakar Chehra Chupana Acha Laga,
Dil K Mere Darwaze Pe Di Dastak,
Phir Khud Hi Aapka Pathar Barsana Acha Laga,
Bana Kar Mujhko Apna Dewana Phir,
Aap Ka Khud Hi Thokar Lagana Acha Laga . .