khushbo SMS Messages120 messages

Betha tha neem ki chaaoun main ek shaam
Ek pari aayee aur kaha kay aarzoo kiya hai
Kaha kay aankh num hai dil jall raha hai
Bas! ek meethi si khushbo-e-Hina hai
Kehti hai `MUSAFIR` yeh khushbo kiya hai
Kaha kay pagli! sirf ek khayal hai bas
Masoom lafzoon main chupi ek tasveer ayaan hai
Poochti hai Musafir! yeh jadoo kiya hai
Kaha kay Har Nazar na aanay waali cheez jadoo hai
Masoom! poochti hai tumhain aakhir justujoo kiya hai
Kaha kay usay pana mayri khwahish nahin,
Usay mehsoos karna mayri justujoo hai
Ab tum bhi lout jaao pari
Sooraj bhi ghar ko chal diya hai…

Chehrey pe merey Zulf ko Phailaao kissi Din
Kiya Roz garaj-tey ho, baras jaao kissi Din

Raazon ki tarha utro merey Dil mein kissi shab
Dastak pe merey haath ki khul jaao kissi Din

Phoolon ki tarha “husn” ki baarish mein naha loon
Badal ki tarha jhoom ke ghir aao kissi Din

khushboo ki tarha guzro merey Dil ki gali say
Phoolon ki tarha mujh pe bikhar jaao kissi Din

Phir haath ko khairaat miley bund qaba ki
Phir Lutf -e- shab-e-wasl ko dohraao kissi Din

Guzrein jo merey ghar sey tou ruk jaaein Sitaarey
Iss tarha meri Raat ko chamkaao kissi Din

Mein Apni har aik saans ussi raat ko dey doon
Sar rakh ke merey seeney pe so jaao kissi Din
Kainaat k sare rang, Rangon k sare Phool, Phoolon ki sari khushboo Khushbu ki sare khushi. Khushi k har lamhe, or in lamhon se bharpoor, Zindagi ki Dua sirf Ap k Naam. GOOD M0RNING
out kar phool main wapis nahi aati khushboo

'*
Apnay Ikhlaq-o-kirdaar ko mousam SAY bachaey rkhna


Dost......!!!!
Aye Khuda...Sun...Zara...
Haath Mere Uthey Jab Dua k liye...
Lab Hiley,aankh se chand Qatrey Girey
Ghaur se main ne Dekhi Hatheli wahan...
Qatre Moti k jaisey chamakne lagey...
*khushboo* Ghulne lagi jab Meri Sans me
Khul k Ehsaas mujh ko hua iss tarha....
Arsh Par Badalon se Parey Uss Jagah
Poori Hone Lagi meri Har ek Dua
Wo Dua jiss ko Boya tha Dil k Jahan
Aabiyari thi
ashkon ki Har pal wahan
Soz hardam Tadap aah o zaari Rahi
Wo Dua kesey na
Rang laati meri?
Ek Muddat ye gham mujh pe haawi Rahey
Mere SAJDE tere Dar Sawali Rahey
aour TU iss Qadar..iss Qadar Mahraban..
Hai Tere hi Karam ki ye sab Inteha
Mere Hathon ko Girne se hi qabl yun
Bhar Di Jholi meri Tu ne Rabb E Jahan...
Hai ye tera Karam...
moajza jo kiyaa....
***WO JO MERA NAHI THA****
mera HOGAYA....
Kaash Mein Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota
Tu Bade Payar Say Chao Say Bade Maan K Saath

Apni Nazuk Si Kalayi Mein Chadhati Mujh Ko
Aur Bay Taabi Say Furqat K Khizan Lamho Mein

Tu Kisi Soch Mei Doobi Jo Ghumaati Mujh Ko
Mein Tere Hath Ki khushboo Say Mehak Jata

Jab Kabhi Mood Mein Aa Kar Mujhay Chooma Karti
Tere Honton Ki Hidat Say Dahak Sa Jaata

Raat Ko Jab Bhi Tu Neendon Kay Safar Pay Jaati
Mar Mareein Haath Ka Takiya Banaya Karti

Mein Tere Kaan Say Lag Kar Kayi Baatein Karta
Teri Zulfon Tere Gaal Ko Chooma Karta

Mujh Ko Bay Taab Sa Rakhta Teri Chahat Ka Nasha
Mein Teri Rooh K Gulshan Mein Mehak Ta Rehta

Mein Tere Jism K Aangan Mein Khanakta Rehta
Kuch Nahi To Ye Bay Naam Sa Bandhan Hota

Kaash Mein Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota
DOSTI wo hy jo

“JANUARY” ki dhoop ho,

“FEBRUARY” ki barish ho,

“MARCH” ki shaam ho,

“APRIL” ki hawa ho,

“MAY” ki subah ho,

“JUNE” ki chawo’on ho,

“JULY” ki khushboo ho,

“AUGUST” ki taaron bhri raat ho,
“SEPTEMBER” ki chandni ho,

“OCTOBER” ki rim-jhim ho,

“NOVEMBER” ki bahaar ho,

“DECEMBER” ki sard raat ho,

Us sardi mai mery sard Hath hon or aap ky leay Dua ek khass ho k,
” SADA
KHUSH
RAHO “ameen”
DECEMBER

*Sunehri Shamein,
Thatharti Ratein,
Mehekti Coffee,
Woh Bheeni khushboo,

Khamosh Kamra,
Aatish Daan Sulaghta,
Mein Aur,
Teri Yaadon Ki khushboo,

Haan Yehi DECEMBER Hai.
DECEMBER

*Sunehri Shamein,
Thatharti Ratein,
Mehekti Coffee,
Woh Bheeni khushboo,

Khamosh Kamra,
Aatish Daan Sulaghta,
Mein Aur,
Teri Yaadon Ki khushboo,

Haan Yehi DECEMBER Hai.
SHUKRANA

Aye Khuda...Sun...Zara...
Haath Mere Uthey Jab Dua k liye...
Lab Hiley,aankh se chand Qatrey Girey
Ghaur se main ne Dekhi Hatheli wahan...
Qatre Moti k jaisey chamakne lagey...
*khushboo* Ghulne lagi jab Meri Sans me
Khul k Ehsaas mujh ko hua iss tarha....
Arsh Par Badalon se Parey Uss Jagah
Poori Hone Lagi meri Har ek Dua
Wo Dua jiss ko Boya tha Dil k Jahan
Aabiyari thi
ashkon ki Har pal wahan
Soz hardam Tadap aah o zaari Rahi
Wo Dua kesey na
Rang laati meri?
Ek Muddat ye gham mujh pe haawi Rahey
Mere SAJDE tere Dar Sawali Rahey
aour TU iss Qadar..iss Qadar Mahraban..
Hai Tere hi Karam ki ye sab Inteha
Mere Hathon ko Girne se hi qabl yun
Bhar Di Jholi meri Tu ne Rabb E Jahan...
Hai ye tera Karam...
moajza jo kiyaa....
***WO JO MERA NAHI THA****
mera HOGAYA....
Ek khushboo Gulab Kay Saath,

Thori Si Hansi Har Baat Kay Saath

Ek Yaad Mulaqat Kay Saath,

Naya Mausam Thori Si Barsaat Kay Saath

Hamaisha Khush Raho,

Meri “DUA” Kay Saath
Ek khushboo GULAB k sath
Thori si HANSI har baat k sath
Ek yaad Mulaqat k sath
Naya mousam Thori si Sardi k sath
HAMESHA khush raho
Meri"DUA"k sath