kathin he rah guzar thori door saath chalo
buhat kara he safar tori door saath chalo
tamam umar kahan saath deta he
ye jaanta hoon magar'' thori door saath chalo
nashe main choor hoon main b tumhain b hosh nai
bara maza ho agar thori door saath chalo
ye ek shab ki mulaqaat b ghanimat he
kise he kal ki khabar thori door saath chalo
abhi to door hain chirag rahon ke!!!
abhi he door sahar thori door saath chalo
tawaaf e manzil e janaan hamain b karna he
faraz tum bhi agar thori door saath chalo.