jhooth SMS Messages7 messages

Der lagi aane mein tumko shukr hai phir bhi aaye to
Aas ne dil ka saath na chhoda waise ham ghabaraaye to

Shafaq, dhanak, mahtaab, ghataayen, taare, nagmeiN, bijali, phuul
Uss daman mein kya kya kuch hai vo daman haath mein aaye to

Chahat ke badle mein hum toh bech de apni marzi tak
koi mile toh dil ka gahak, koi hamen apnaaye to

kyn ye mihr_angez tabassum madd-e-nazar jab kuch b nhi
haaye agar koi anjaan agar iss dhoke mein aa jaaye to

suni sunaai baat nahin hai apne upar beeti hai
phool nikalte hain sholoN se chahat aag lagaaye to

jhooth hai sab tareekh hamesha apne ko dohraati hai
achchha meraa khwab-e-jawani thoda sa doharaaye to

nadaani aur majbuuri mein yaaro kuch toh farq karo
ek bebas insaan kare kya tuut ke dil aa jaaye to....
Apni Aakhon Ke Samunder Main Utar Jaane De
Tera Mujrim Hoon, Mujhe Dub Ke Mar Jaane De
Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko
Sonchta Hoon Kahoon Tujhse, Magar Jaane De

Aarzoo jhooth hai,
Aarzoo ka fareb khana nahi ..
Khush jo rahna ho zindagi me tumhe..
Dil kabhi kisi se lagana nahi.

Ek pal mein jo aakar gujar jaaye
Yeh hawa ka woh jhoka hai ..aur kuch nahi
Pyar kahti hai duniya jise,
Ek rangeen dhokha hai .. Aur kuch nahi

Asmaan bhi baras raha hai,
Mere Ashko se takra raha hai,
Kisme hai jor jyada shayad yeh dekh raha hai,
Barsaat to phir bhi ruk jayegi,
Mere Ashko ka koi anth nahi,
Dil me hai dard itne jiska koi hisaab nahi.
Tu te hor kisse di ho gayi ni sannu laake jhoothe laare,
Galiyan de vich rulde phirde ni assi Naina de Vanjaare
Na gairon se nazare milaya karo, qasam hai na dil ko jalaya karo
Humein neend aati nahi raat bhar, na itna humein yaad aaya karo
Nigaahon me jo aa rahe hain nazar wo jazbe labon tak bhi laya karo
Nahin tum ko fursat mulakaat ki na jhoothe bahane banaya karo
Kabhi mere kandhe per sir ko tikaye hume dil ke armaan sunaya karo
Kabhi apne Khayalon me dhaalo mujhe naghmo ki surat me gaya karo
Main teraa na hua haqeeqat me
ek fasaana magar chaahunga
jhooth hi kehde ke tu meri hai
taa-umr meri jee jaaunga.
Itna aasaan nahin mujhko bhulaana tujhko
ek shiddat hai kasak hai ya koi wahshat hai
kuch mareeze dile jaanan ko bhi chan aa jaata
jhooth hi bol magar bol ki ye ulfat hai
Log kahte hain khudaya kya muhobbat hai
mujhko maloom hai teri to yahi aadat hai
Ek bari ek bhikhari Santa ko kehta k bhagwaan ke naam pe kuch dede..Santa ne apni cycle bahar nikali aur usko.
.
.
.
.
.
.
Cycle pe "jhoothE" dene lagg gaya--..