jazba SMS Messages90 messages

PYAR V/S DOSTI :


1.Pyar Ek Shikva Hai,
Dosti Ek jazba Hai.

2.Pyar Me Hr Bar Dhoka Milta Hai,
Dosti Me Bar Bar Moka Milta Hai.

3.Pyar Diwano Ka Kam Hai,
Dosti Smjdaron Ka.

4.Pyar Me Musibt Hoti Hai,
Dosti Me Nasiht.

5.Pyar Me Dil Toot Ta Hai To Koi Rusva Hota Hai,
Par Mit Jane K Bad B,Dosti Ka Ek Rutba Hota Hai.
Pyar V/S Dosti
Pyar Ek Shikwa Hai,
Dosti Ek jazba Hai.
Pyar Me Hr Bar Dhoka Hy,
Dosti Me Bar Bar Moka Hy.
Pyar Dewano Ka Kam Hy,
Dosti Dlwalo Ka Nam Hy.
Kch yaade''n hyn un lmho''n ki
Jin lmho''n me hum sath rahe
Khushyo''n se bhare jazbat rahe
Ek umr guzari hy hum ne
Jahan roty huey b hansty thay
Kch kehty thay
Kch sunty thay
Hum roz subha jab milty thay
Tou sab k chehry khilty thay
Pur-lutf wo manzar hota tha
Sab mil kr baate''n kerty thay
Hum socho kitna hansty thay
Wo goonj humary hansny ki,
Ab ek purani yaad bani,
Ye baate''n hyn un lmho''n ki jin lamho''n mein hum saath rahe

_Dedicated 4 All
Skool-Mates_
Be Amal Dil Ho To jazbat Se Kia Hota Hai
Zameen Banjar Ho To Barsat se Kia Hota Hai
Na Ho Jis Dil Me Ali e Murtaza Ka Ishq
Ayy Musalman In Ibadat Se Kia Hota Hai ?
Tere ikhlas say mohabat ki hai
Tere ehsas se mohabat ki hay
Mana tu paas nahi hai phir bhi hum nay
Teri yaad se mohabat ki hai
Kabhi tu ne bhi mujhe yaad kia hoga
Mainay teri yaad k lamhaat say mohabat ki hai
Jin mein hoon sirf teri or meri batein
Meinay un auqaat say mohabbat ki hai
Or jo mehkay hoon sirf teri hi mohabat say
Meinay un jazbat say mohabat ki hay
Tujh say milna to ab khuwab sa lagta hai
Meinay tere intezar se mohabat ki hay
MOHABBAT aankh main palta wo pur-israr jazba
Jise ab tak koi nai samajh paya
Na iski koi surat hai
Na iska koi paimana
Dhake alafz main iska bohat izhar hota hai
Kuch aise hi k jaise ab
"Tah-e-dil"se hum dono iqrar karte hain
Magar phir bhi na jane kyun
Tmhen zid hai k men kehdun
Mujhe zid hai k tm kehdo
Mujhe tum se MOHABBAT hai
Kaho mujh se MOHABBAT hai......
Kahin milay tu usay yeh kehna
Main saray arman jala chukka hoon
Jo sholey bharkey thay khawahishon k
Wo ansoyon se bhuja chukka hoon
Kahin milay tu usay ye kehna
K chaak-e-daman ko si raha hoon
Bari hi mushkil se g raha hoon
Dia jo nafrat ka zehar tu ne
Samaj k amrat
Main p raha hoon
Kahin miley to usay yeh kehna
Wo jazbay meray
Kuchal gaya hai
Jafa k sanchay mein dhal gaya hai
Na badlay mosam b itni jaldi
Wo jitni jaldi badal gaya hai
muhabbat jhoot lagti hay mujhay
ik khookhla jazba
jisay izhar ki her waqt khuwahish hoo
kahay janay ki
sunanay ki
jisay her pal zaroorat hoo
"mujhay tum say muhabbat hay"
na janay rooz kitnay loog
is jumlay ko sunnnay k liyay baidar hotay hain
ye aisa jhoot hay jis ka sehr
sadioo''n say tari hay
magar janaa''n
muhabbat jab kabhi izhaar ko tersay
koi tum say ager kahday
"mujhay tum say muhabbat hay"
to us ki baat mat sunnana

muhabbat rooh say phootay
muhabbat aks ban jaye
to phir tum ko yaqee''n aye
k main nay sach kaha tum say
muhabbat rooh ban jaye
to phir us ka yaqee''n kerna
wagerna aik jumla koi kitni baar duhraaye
kahay jayee

nahi sunnuna
muhabbat jhoot hay janaa''n
ager izhaar ki is ko zaroorat hoo
Koi tum se pooche kon hoon main,

tum keh dena koi khas nahi,

ik dost hai kacha paka sa,

ik jhoot hai aadha sacha sa,

jazbaat ko dhanpye ik parda sa,

bus aik bahana acha sa,

jeevan ka aisa sathi hai,

jo door na ho kar pas bi nahin,

koi tum se poochye kon hoon main,

tum keh dena k koi khas nahin.....!
Tu mera naam na poocha kar,
main teri zaat ka hissa hun,
main teri rooh main shamil hun,
main teri neend ka qissa hun,
main tere khuwab ka hasil hun,
main teri yaad ka mehvar hun,
main teri saans ka jhonka hun,
tu manzar main pas-manzar hun,
main lamha hun,main jazba hun,
jazbay ka koi nam nahi,
tu mera naam na poocha kar!!
Mila hai sab kuch fariyaad kya karein,
Dil hai pareshaan to jazbaat kya karein,
Woh kehte hai ki hum unhe yaad nahi karte,
Bhule hi nahi jise ab usse yaad kya karein.
Kitni mushkil se kati kal ki raat na poocho,
Dil se nikli hui honton may dabi baat na poocho,
Wo kis ada se mere samnay se guzra abhi,
Kis tarah mainay sanbhalay jazbaat na pooocho,
Is tarah pal main mujhay begana kar diya usnay,
Kis tarah khaai hai mainay maat na poocho,
Ab tera pyaar nahi hai to sanam kuch bhi nahin,
Kitni mushkil se bani thi dil Ki kaayenaat na poocho.../