iqra SMS Messages48 messages

Iss baar kuch aisa mein chahta hoon
Tum ko apna banaana chahta hoon

Bhula kar apne sab gham
Tumhe dilse apnana chahta hoon

Tumhe tumhari ijazaat se
Apne dil mein basana chahta hoon

Apne naam k saath joar kar tumhara naam
Duniya ko sar-e-aam dikhana chahta hoon

Kab ho Qubooliyat ki ghari na jaane
Tumhe har dua mein mangna chahta hoon

Ho jaao tum meri aur main tumhara
Harr pal bas yehi ehsaas chahta hoon

Tum se hi ki bass mohabbat main ne
Apni sari zindagi tumhare sang chahta hoon

Karta hoon aaj main ye iqraar
Main bass tumhe bass tumhe hi chahta hoon

Haq ke saath kahoon tumhe main apna
Tumse bass aaj main yehi raza chahta hoon…
Chahe Mujrim Samjhe Ya Koi Gunahgaar Hamein

Saaf Kehte Hain K Ek Shakhs Se Hay Pyar Hamein

Dil Dia Hay Kisi Ko To Mukarna Kesa

Pyar Kia Hay To Halaat Se Darna Kesa

Apne Is Jurm Ka iqrar Hay So Baar Hamein

Saaf Kehte Hain K Ek Shakhs Se Hay Pyar Hamein

Humne Maana K Hamein Jaan Se Jaana Hoga

Jaan De K B Hamein Pyar Nibhana Hoga

Lo Suno

Tark-e-Mohabbat Se Hay Inkaar Hamein

Saaf Kehte Hain K Ek Shakhs Se Hay Bohat Pyar Hamein.
Uski chahat se iqrar na karte,

Uski qasmon ka aitbaar na karte,

Agar pata hota k hum sirf mazaaq hain unke liye,

Qasam se hum jaan de dety par pyar na karte.
Kuch door hamary sath chalo hum dil ki kahani keh dein gein..

Samjhy na jissy tum aankhoon say wo baat zubani keh dein gein..

Pholoon ki tarha hontoon pay ek shogh tabasum nikhry ga..

Dhery say tumhary kanoon mien ek baat purani keh dein gein..

Izhar-e-wafa tum kya jano iqrar-e-wafa tum kya jano.

Hum baat karien gein gharioon ki aur apni kahani keh dein gien..

Kuch door hamary sath chalo hum dil ki kahani keh dein gein..

Samjhy na jissy tum aankhoon say wo baat zubani keh dein gein......
Ab t0 iqrar kEr Lo,



Or nA tArpAo..



Ab t0 bAtA d0..



Or nA shArmAo..



k..



Tum mUjh sE..



mUjh sE..



mUjh sE..




Bhi ZiAdA KaNjUs h0.. :P
MOHABBAT aankh main palta wo pur-israr jazba
Jise ab tak koi nai samajh paya
Na iski koi surat hai
Na iska koi paimana
Dhake alafz main iska bohat izhar hota hai
Kuch aise hi k jaise ab
"Tah-e-dil"se hum dono iqrar karte hain
Magar phir bhi na jane kyun
Tmhen zid hai k men kehdun
Mujhe zid hai k tm kehdo
Mujhe tum se MOHABBAT hai
Kaho mujh se MOHABBAT hai......
Kuch Dur Hamare Sath Chalo
Hum Dil Ki Kahani Keh Dain Ge
Samjhe Na Jise Tum Ankhon Se
Woh Bat Zubani Keh Dain Ge
Pholun Ki Tarah Jab Hounton Pe
Ek Shokh Tabassum Bikhre Ga
Dheere Se Tumhare Kanoun Mein
Ek Baat Purani Keh Dain Ge
Izhare-E-Wafa Tum Kia Jano
iqrar-E-Wafa Tum Kia Jano
Hum Zikr Karain Ge Ghairun Ka
Aur Apni Kahani Keh Dain Ge
Kuch Dur Hamare Sath Chalo
Hum Dil Ki Kahani Keh Dain Ge
Samjhe Na Jise Tum Ankhon Se
Woh Bat Zubani Keh Dain Ge
Pholun Ki Tarah Jab Hounton Pe
Ek Shokh Tabassum Bikhre Ga
Dheere Se Tumhare Kanoun Mein
Ek Baat Purani Keh Dain Ge
Izhare-E-Wafa Tum Kia Jano
iqrar-E-Wafa Tum Kia Jano
Hum Zikr Karain Ge Ghairun Ka
Aur Apni Kahani Keh Dain Ge
Duk de gulu ba gulzar v ze ba ne yam
Pe guluno ba bahar v ze ba ne yam
Yawa warz ba da jahan rapase gure
Pe ma khawore ba ambar v ze ba ne yam
Nan zama pe her khawahish bande inkar kre
Sta pe shundo ba iqrar v ze ba ne yam
Yawa warz ba zama qaber der maloom she
Kho pe ma ba jor MAZAR v ze ba ne yam...take care......
Kahin Ek Masoom Nazuk Si Larki
Bohat Khoobsurat Magar Sanwli Si
Mujhay Apnay Khabon Ki Banhon Main Pa Kar
Kabhi Neend Main Muskurati Tu Ho Gi
Us Hi Neend Main Kass Masati Tu Ho Gi
Sirhanay Say Takkya Giraati Tu Ho Gi
Chalo Khatt Lekhain Us Nay Socha Tu Ho Ga
Qalam Hath Say Chutta Tu Ho Ga
Unglianan Qalam Phir Othati Tu Hoon Gi
Dupatta Kahein Sir Say Sirak Jata Tu Ho Ga
Kai Khowab Seenay Ki Khamoshyon Main
Meri Yaad Say Jhanjhanati Tu Hooon Gi
Kahin K Kahin Paoon Partay Tu Hoon Gi
Kabhi iqrar Mera Yaad Aya Tu Ho Ga
Kahin Ek Masoom Nazuk Si Larki
Bohat Khoobsurat Magar Sanwli Si
muhabbat khud batatee hai kahan kis ka thikana hai
kisay ankhon mein rakhna hai kisay dil mein basana hai

riha karna hai kis ko aur kisay zanjeer karna hai
mitana hai kisay dil say kisay tehreer karna hai

ghironda kab girana hai kahan tameer karna hai
issay maloom hota hai safar dushwaar kitna hai

kisi ki chashm-e-giriya meain chupa iqrar kitna hai
shajar jo girnay wala hai woh saaya daar kitna hai

safar ki har saobat aur tamazat yaad rakhti hai
jissay saraay bhula dalain muhabbat yaad rakhti hai
mra har iqrar,tre har inkar se acha hoga
mra har din,tri har rat se acha hoga
yaqen na aye,to apni doli se jhank lena
mri miyat ka janza,teri doli se acha hoga