hote SMS Messages316 messages

kub kon kissi ka hota hai
sub jhote rishte natay hain
sub dil rakhne ki baten hain
sub assli roop chupate hain
ikhlas se khali log yehaan
lafzoon k teer chalate hain
ik baar nighahoon main akar
fir sari umr rulatey hain
Pyar K Deep Jalane Wale Kuch Kuch Pagal hote Hain
Apni Jaan Se Jane Waale Kuch Kuch Pagal hote Hian

Hijr K Gehre Zakhm Miley Tou Mujh Ko Ye Ehsaas Hua
Pagal Ko Samjhane Wale Kuch Kuch Pagal hote Hain

Jaan Se Pyare Logo''n Se Bhi Kuch Kuch Parda Lazim Hai
Saari Baat Batane Wale Kuch Kuch Pagal hote Hain

Us K Ishq Main Bheeg K Hum Ko Ye Ehsaas Hua
Dil Ki Baat Main Aane Wale Kuch Kuch Pagal hote Hain
Dost ban kar bhi nahin saath nibhaaney wala
Wohi andaz hai zaalim ka zamaaney wala

Ab usey log samajhtey hain giraftar mera
Sakht naadim hai mujhey daam main laaney wala

Kya Khabar thi jo meri jaan main ghula hai itna
Hai wohi mujh ko sardar bhi laaney wala


Tere hotey huey aa jati thi saari dynya
Aaj tanha hu to koi nahin aaney wala

Kya kahen kitney marasim they hamarey us se
Wo jo ik shakhs hai munh phaer kar jaaney wala
Fasle tu bus kamzor dil log’n ke liye hi,
Khoof aur be-chaini hote hai…
Aik zameen per millon aur kooso’n ki doori..
Muhabbat ko shikast nahi de sakti..
Hijer jitna bhi kada ho..
Aur doori jaisi bhi doori ho…
Chahtein aur siwa ho jaya kartein hai..
Gaihri aur mehrbaan raato’n ki qasam…
Main chahe jahan bhi ho,n
Aik aise khoole darwaaze ki maanind ho’n..
Jis ki daihleez per tumhaare qadam likhe hoye hain..
Aur tum jahan bhi ho…Mere liye kisi bhi mushkil ghadi mein..
anchi banker daal se urd gaya mera Bachpana

Zamana kitna badal gaya mai aaj bhi wahin pe hoon
Yaad banker aankh se behgaya mera Bachpana

Tha to mere sath hi na jaane kounsi ghadi
Zindagi ki bheerd mein Bichard gaya mera Bachpana

Na hotu us zalim se hamein mohabbat kabhi
Kash jo hota sath mere mera Bachpana

Dil na dhadka hota mera kabhi us ke liye
Ager jawani ka taaj pehna ker na jaata mera Bachpana

Kahan gayin wo rangeeniyan jo sath thi mere us umr mein
Wo lamhe youm hi sath hote jo sath hota mera Bachpana

Koi loutade mujhe mera bachpan kahaan gum hogaya woh
Kyoun is bheerd mein tanha mujhe chord gaya mera Bachapana
Hum Ko Acha Laga

Tera Muskurate hoye aana Hum ko acha laga
Wo Tera Sharam se guzar jana acha laga

Door se Dekhna wo Tera Pass aa ker
Nazrain Jhukana acha laga

Wo jo Barson se Tere Seene mai Qaid hai
Aankhon se batana acha laga

Tera jate waqt Murr ker na dekhna
Phir Qadmon ka Ruk jana acha laga

Tuu Falak ki tarha chaya tha Mujh per
Aaj wo Falak ka Toota Tara acha laga

Suna hai Mohabbat mai hote hain her taraf Andhere
Aaj Duniya ka wo Qaul sacha laga
Qurb K Na Wafa K hote Hain
Saray Jhagray Ana K hote Hain

Baat Niyat Ki Sirf Hai Warna
Waqt Saray Dua K hote Hain

Bhool Jate Hain, Mat Bura Kehna
Log Putlay Khata K hote Hain

Wo Bazahir Jo Kuch Nahi Lagte
Un Se Rishtay Bala K hote Hain

Wo Humara Hai Is Tarah Se Faiz
Jaisay Banday Khuda K hote Hain
Kuch Rishtey Uparwaala Banaata hai,

Kuch Rishte Log Banaate hain,

Par wo, log Bahut Khaas hote hain,

Jo Bina Rishte ke Koi Rishta Nibhate hain.....
Kar ke wada wafa kaa wo u mukar gaya,

Ek Chote se tufaan se wo kitna dar gaya.

Pata nahi koi majburi thi uski,

Ya fir is khilone se bhi uska dil bhar gaya
Yeh jo haseeno k baal hote hai,larkon ko phasane ke jaal hote hai,jaane kitno k khun piye honge,tabhi to inke hont laal hote hain
ye kitaboon k Qissy,
Fasano ki baatain

nighaon ki jhilmil,
judai ki raatain

muhabat ki qasmain,
nibhaney k waday

ye dhoka wafa ka,
ye jhotey iradey

ye baatain kitabi,
ye nazmain purani

nahi in main haqiqt,
ye sab hain kahani

na likhna inhain tum,
na mehfoz karna

ye jazbay hain bas,
in ko mehsos karna
sapne aakhir sapne hote hain,
unke poore honeki umeed mat karna....
koi aaye ya na aaye,
tumm apni aankhen nam na karna....
yeh zindagi tumhari apni hain,
ise kisike liye khudse juda mat karna....!