hot SMS Messages1966 messages

Jiss Din Maut Ki Gadhi Me Sona Hoga

Na Koi Takiya Hoga Na Koi Bichona Hoga

Saath Hogi Jaldi Yaaro Ki Yaari

Aur Kabristan Ka Chota Sa Kona Hoga
Be-Rabt Si Tehreer Ibaarat Nahi hoti,

Hathon Ki Lakiron Me To Kismat Nahi hoti.

Sajday Me Dikhawa Ho,To Sajda Nahi hota.!

Gardan K, Jhukane Se Ebaadat Nahi hoti.

Wo Shakhs Mohabbat Se Humesha Raha Mehroom..

Auron K, Liye Jis me Mohabbat Nahi hoti.

Chehre Ka Singhaar Kabhi
Kaam Na Aaya.

Seerat K, Bina Koi Bhi Surat Nahi hoti.

Shahkaar Ki Takmeel Main Shamill Na Ho
Gar Fiker.

Tasveer To Ban Jati Hai Moorat Nahi hoti.
Sawan Bhi Mere Tum Ho,Meri Piyas Bhi Tum Ho
Sahra K Badlon Ma Chupi Ass Bhi Tum Ho

Tum Yun To Buht Dor Buht Dor Ho Mujh Se
Ehsas Yeh hota Hai Mere Pass Bhi Tum Ho

Har Zakham Ki Agosh Ma Hai Dard Tumhara
Har Dard Ma Tasken Ka Ehsas Bhi Tum Ho

Likhti Hn To Tum Hi Utartay Ho Qalam Se
Parhati Hn To "Al-Hamd" Se "Wan-Nass" Bhi Tum Ho!
Wada kar ke jo mukar jate hain
Woh log sab se jyada kareeb hote hain
Waqt to chalta hai chal ke badalta hai
Par ye log waqt se pehle hi badal jate hain..
Ae Chaand Usay Keha
Wo Jo Bohat Duur Basta Hy
Usay Koi Yaad Kerta Hy
Aur
Behisab Kerta Hy
Usay Kehna
Jab Wo Kisi Aur k Sung Hansta Hy
Tou Phir Duur Bohat Duur Kisi Ka
Dil Dharakta Hy
Aur
Jab Wo Udas hota Hy
Pas Na Us K Koi
Gham Shanaas hota Hy
Tou Phir Duur Bohat Duur Kisi Ki
Aankho''n Se
Lahu Barasta Hy
Ae Chaand Usay Kehna
Jisay Wo Chorh Aaya Tha
Jisay Wo Torr Aaya Tha
Wo Aaj Bhi Tere Aas Pass
Basta Hy
Woh Nazar aya Chand Eid KaAur Tumhari Yaad Bhi Ayi HaiHum Tu Aye Bewafa Tere LiyeJhote Hi Mehendi Lagayi Hai--Eid Mubarak Hu Tumhe Is TarahHum Ne Chaha Tha Tumhe Jis Tarah..
Dil bohot udas hay
Woh baarguzre waqt
Ka nazar k aas paas hay

Wohi hawaa wohi fazaa
Jo tu naheen to kiya maza
Khile to hain chaman magar
Na rang hay na baat hay
Dil bohot udas hay

Kahan falaaa kahan zameen
Mileen ge hum yaqeen naheen
Yeh pyaar ki hay intaha k
Phir bhi teri aas hay
Dil bohot udas hay

Nazar nazar hikayaten
Nawazishen inayateen
Bohot hay yeh mere liye k
Tu wafa shanaas hay
Dil bohot udas hay
Mujhe Kese Yakeen Aaye,


Mohabbat Tum Ne Bhi Ki Hy,


Tumhe Jab Bhi Kabhi Dekha,


Sada Khush Bash Hi Paya,


Hamesha Hansty Rehte Ho,


Kabhi Rote Nahi Paya,


Kabhi Ghamgeen Nahi Dekha,


Hamesha Mast Rehte Ho,


Mohabbat Karne Walon Par,


Kabhi Masti Nahi Chati,


Kabhi Ronaq Nahi Aati,


Na Wo Sarsabz hote Hain,


Mohabbat Karne Walay Dil,


Hamesha Zard hote Hain,


To Phir Kese Yakeen Kar Lu,


Mohabbat Tum Ne Bhi Ki Hy...
Soye jis raat ko hum,hijr mein rote rote
Khwab mein wasl huya ,subah ko hote hote

shama ki tarah se hum raat ko rote rote
Beh gai ansuon mein , subah ke hote hote

Jiske milney ki tammana thi,na paya usko
Ho gai umr bsar , jan ko khotey khotey ......
Anaa Ek Aisa Pathar Hai
Jo Mann Main Janam Leta Hy
Ye Sar Ko Na Jhukane Ki
Badan Se Qasam Leta Hy
Dilo''n Ki Har Tamanna Pr
Ye Kaari Zarb hota Hy
Aur Is K Har Taqaze Mein
Bala Ka KArb hota Hy
Ye Dunya Ki Kisi Talkhi Se
Derne Bhi Nahi Deta
Ye JEene BHi Nahi Deta
Ye Marne Bhi Nahi Deta
Agar Jeewan Ki Raaho''n Main
Jo Chahat Ko Kabhi Chaho
Rahat Ko Kabhi Chaho
Kisi k Saanp Lafzo''n Se
Isay Daswana Parta Hy
Mohabbat Kerne Se Pehle
Isay Dafanana Parta Hy
Anaa Ek Aisa Pathar Hai
Jo Mann Main Janam Leta Hy
Iss Dard k Baad Koi Dard Dard NAhi Legta
K Shidat-e-Dard Ki Inthia hoti hai Mohabbat
Nahi Uththi Wo AAnkahin Phir kisi Pe
K Jin Aankhon Mein Fana hoti hai Mohabbat
Umer Bher Jinka Aazala Na Ker Paain
Bas Aik Aesi Hee Khata hoti Hai Mohabbat
Jo Mil Jaye To Phir Bas Kia Kehna
Werna AIk Musalsel Saza hoti Hai Mohabbat
Log Mujhse Her Baar Yehi Pochte Hain
Tum Ne Uss Mein Dekha Kia?
Mein Her Baar Yehi Kehta Hon
Bewajah hoti Hai Mohabbat
Ab teri yaad say wehshat naheen hoti mujh ko
Zakham khulney se aziyat naheen hoti mujh ko

Ab koi aaye chala jaye main khush rehta hoon
Ab kisi shakhs ki aadat naheen hoti mujh ko

Aesa badla hoon teray sheher ka paani pi kar
Jhoot boloon to nidaamat naheen hoti mujh ko

Main ne bhi ki hey mohabbat, so kisi ki khatir
Koi marta hai to hairat naheen hoti mujh ko

Itna masroof hoon jeenay ki hawas main yaaro
Saans leney ki bhi fursat naheen hoti mujh ko