hair SMS Messages391 messages

mana ke khud marna haram hai danish,

magar uske baghair jeena bhi tu jaaiz nahi.
surma samajh kar ghair ko aankhon mein di jagah,

aansoo samajh kar aankh say mujh ko gira dia.
Bik Raha Tha Waqt k Bazaar
Mein Meri Ghairat Ka Lahuu

Mudd k Jo Dekha Tou Apna
Hii Dost Kharidaar Nikla ...
hairaa''n hon k mujh se hi maidaan jeet kar,

usko meri shikast ka dard chhorta nhi...
Saqiya ek nazar jaam se pehlay pehlay,
Hum ko jana hai kahin shaam se pehlay pehlay.

Khush ho ay dil, k mohabbat to nibha di tun ne,
Log ujar jatay hain anjaam se pehlay pehlay.

Ab Us k zikr pe hum baat badal detay hain,
Kitni rughbat thi Us k naam se pehlay pehlay.

Samnay umar pari hai shab-e-tanhaai ki,
Wo mjhay chor gaya shaam se pehlay pehlay.

Kitna acha tha k hum b jiya karte the,
Ghair-maroof se, gumnaam se pehlay pehlay.
Wo Mery Alfaz se hairan Rehta tha

Me Usk Zoq se Pareshan Rehta tha

BeWafa to Keh Dia tha Sar-e-Aam UsNy

Phr Na Jany Q Khud hi Pasheman rehta tha

Suna hy k pocha tha ksi ny mery bary me usSy

Kaha usny k haan dil me 1 nadan rehta tha

"ANjuM" Hum kesy us ki ruswai karen

Jis py kbi humara Imaan rehta tha.
" Dekh kr aaienay mein aks apna,

Uski hairaniyaa''n nahin jati''n."
Meri umer bhar ki shairi...

bus ek shakhs k gird..
Ek jurm hay mohabbat
Jo main ne kya hay
Ek ghalti hay mohabbat
Jo mujh se hooi hay
Ek dard hay mohabbat
Jo mujhay hooa hay
Ek ehsaas hay mohabbat
Jo main ne mehsoos kia hay
Ek jazba hay mohabbat
Jo meray andar hay
Ek bhool hay mohabbat
Jo main ne ki hay
Ek phool hay mohabbat
Jo main ne khilaya hay
Aur iss ki khushboo main
Charon taraf bakhair doon ga...!!!
Na Milta Gham to barbadi k afsanay kahan jaty
Agar dunya chaman hoti to veeranay kahan jaty
Chalo acha huwa Apno main koi ghair to nikla
Sabhi hoty agar Apny to begany kahan jaty
Tumhi ne gham ki DoLat di bara ehsan farmaya
Warna HuM zamany bhar k aagay hath phelany kahan jaty... ;->
tumhari shairi sari meri tareef tahri hai.

jese sun kar main khuwabon ki c kafyet main kho jao.
…Likha tha naam tera hath ke lakeero’n mai’n
Teray baghair kahaa’n jaa kay hath phailaatay