haaye SMS Messages21 messages

Der lagi aane mein tumko shukr hai phir bhi aaye to
Aas ne dil ka saath na chhoda waise ham ghabaraaye to

Shafaq, dhanak, mahtaab, ghataayen, taare, nagmeiN, bijali, phuul
Uss daman mein kya kya kuch hai vo daman haath mein aaye to

Chahat ke badle mein hum toh bech de apni marzi tak
koi mile toh dil ka gahak, koi hamen apnaaye to

kyn ye mihr_angez tabassum madd-e-nazar jab kuch b nhi
haaye agar koi anjaan agar iss dhoke mein aa jaaye to

suni sunaai baat nahin hai apne upar beeti hai
phool nikalte hain sholoN se chahat aag lagaaye to

jhooth hai sab tareekh hamesha apne ko dohraati hai
achchha meraa khwab-e-jawani thoda sa doharaaye to

nadaani aur majbuuri mein yaaro kuch toh farq karo
ek bebas insaan kare kya tuut ke dil aa jaaye to....
Acha dost “Hath” aur “ankh” ki tarhan hota hai.
Jab “haath” ko taqleef hoti hai to “ankh” roti hai,
Aur jab “ankh” roti hai to “hath” ansoo ponchta hai.

Milte hai acche Dost sirf khushnasibo ko,
Isliye hamari Kismat se jalna chod do,
Tamanna ho agar hamare dost se milne ki,
To jakar AAINA dekh lijiye…

Har aahat ehsaas hamara dilaayegi.,
Har hawa khushbu hamari laayegi.;
Hum dosti aisi nibhaayengey yaara!
Ki hum na honge aur humhari yaad tumhe sataayegi..! !!

Kabhi kabhi in ankhon me nami si hoti hai.
Kabhi kabhi in hoton pe hasi si hoti hai.
E dost wo tum hi ho,
Jis se meri jindagi zinda dil hoti hai.
Koi itna Chahe Tumhe to batana,
Koi tumhare itne Naaz uthaaye to Batana,
EID MUBARAK to har koi Keh dega tumse,
Koi Hamari tarah kahey to batana
Koi itna Chahye Tumhey to Batana,
Koi Tumharey itney Naaz uthaaye to Batana,
EID MUBARAK to har koi Keh day ga Tumsay,
Koi Hamari tarah Kahey to Batana
!!!Eid ki Dua Sab Dostoon K Lieye!!!
Saarey Jahan ki Khushiyaan uska Naseeb Karday,
Hansta rahey Sada woh Ussey khushnaseeb karday,
Kabhi Dil na uska Tootey Kabhi Chot (Zakham) na Woh khaaye,
usko Wafa kYa RAB Itna Kareeb Karday,
Us k Laboon pay ya RAB Sada hon Muskrahatain,
Kismat mey uski Hansna Mere Habib Karday,
Chal kar Jahan bhi JaayePhoolon k raastey hon,
Manzil Har Khushi ki us k Kareeb karday,
.DIL Mera Ab Tak Kahan Mutmaeen Huwa Hey!,
us K Dukhoon ko Ya RAB Mera Naseeb Karday
U Can Contact me Feel free
BHIKAARI: 1 RUPIYA DE DE, MAIN NE 3 DIN SE KHAANA NAHIN KhaayeA HAI,
MEMON: 100 RUPE DOON GA PEHLE YEH BATA 1 RUPIYE ME KHAANA KAHAN MILTA HAI???
mohabbat ke raaz hum tumhe bataayen kya

zakhm hi zakhm hain dil dikhaayen kya



hai khel zindagi ka taqdeeron ke haath mein

jo hona hai so hona hai ghabraayen kya...?



utthaa rahe hain tere dar se mujhko log

tum kaho to duniya se utth jaayen kya....?



unka shahar hai unke log unhi ki mehfil

yaa.n kisi ko apni dastaan sunaayen kya
Jaane Kya Hai Dil Ke Andar Jo Chupke Say Toot Raha Hai
Ek Meherbaan Ka Haath Jaise Haathon Say Choot Raha Hai

Lamha Lamha Guzar Ke Dafan Ho Raha Hai Seene Mein
Seh Kar Ye Dard Kuch Ajab Maza Aane Laga Hai Jeene Mein

Jaane Ye Kis Rehguzar Pe Qadam Humne Barhaaye Hain
Jaana Tha Kis Manzil Par, Jaane Kis Aor Nikal Hum Aaye Hain

Ek Khalish Hai Dil Ko Ghairey, Ek Ajab Si Khaamoshi Chaayi Hai
In Chubhti Tanhaaiyon Mein Aaj Yaad Teri Bohat Aayi Hai !!
Tere dil ko chhu ke hawa jo guzre kabhi
Samajh lena humko yaad teri aaye abhi
Humne socha kaise tumko pata chale
Boli hawa," Mein dila ke ehsaas aaye abhi "
Saath tere chalti rahegi yun yeh fiza
Jaise meri dhadkan dil mein samaye abhi
Dekh ke dewaane tumko hum ho gaye
Nazaron pe meri awaargi hai chaaye abhi
Lag rahi hoon khush mein aaj kyun itna
Lagta hai Uss ne Kismat meri banaye abhi
Hum Akele The Akele Hi Reh Jaate Hai,
Dil Ka Dard Kisse Dikhaaye,

Marham Lagane Wale Hi Zakhm De Jaate Hai,
Waqt To Humey Bhula Chuka Hai,

Muqaddar Bhi Na Bhula De,
Dosti Dil Se hum Isiliye Nahin Karte,

Kyunke Darte Hai,Koi Phir Se Na Rula De,
Zindagi May Hamesha Naye Log Milenge,

Kahin Ziyada To Kahin Kam Milenge,
Aitbaar Zara Soch Kar Karna,

Mumkin Nahi Har Jagah Tumhe Hum Milenge.
Khushbo Ki Tarah Aapke Paas Bikhar Jayenge,
Sukon Ban kar Dil Me Utar Jayenge,

Mehsoos Karne Ki Koshish To Kijiye,
Door Hote Hoye Bhi Pass Nazer Aayenge
Usoolon pe jo aanch aaye to takraana zaroori hai
Agar zinda hain to zinda nazar aana zaroori hai

Nayi umro ki khudmukhtaariyon (arrogance) ko kaun samjhaaye
Kahan se bach ke chalna hai kahan jaana zaroori hai

Thake haare parinde jab basere ke liye lautein
Saleeka mand saakhon ka lachak jaana zaroori hai.

Saleeka hi nahin shaayad use mahsoos karne ka
Jo kehta hai khuda hai to nazar aana zaroori hai

Mere hothon pe apni pyaas rakha do aur phir socho
Ki iske baad bhi is duniya mein kuchh paana zaroori ha
pehlay se ab wo rang ,wo melay kidhar gaye
hoti thi jin se dhoom wo jazbe hi mar gaye

aankhon ka noor, dil ka ujaala bhi lay urray
hum ko to apne dost hi sunsaan kar gaye

haaye wo chhaaon ddaaltay chhatnaar kia huay
haay wo paaon choomtay daryaa utar gaye

ik lamha teri yaad se ghaafil huay thay hum
ik lamhay main hi kitne zamaanay guzar gaye

koi na shab ki tergi main saath de saka
kuch de gaye farayb to kuch yoonhi dar gaye

hum reh gaye hain SHAM jo tanha to gham nahi
kab ehl e dil k saath bhala kam nazar gaye