ghani SMS Messages20 messages

Azmat k 4 Minaron k 4 Azeem Aqwal:
Insan Khud Azeem Nhi Hota Bal’K UsKa Kirdar Azeem Hota He,
Hazrat Abu Bakar Siddiq R.Z
Ghuse Ki Halat Men Insaf Krna Mushkil Hota he,
Hazrat Umer Farooq R.Z
Zindgi Ka Koi Maqsad Banalo Phir Apni Sari Taqat Us k Husool Pr Lagado Tum Zaror Kamyab Hojaoge,
Hazrat Usman ghani R.Z
Jo Shakhs Tumhari Nigahon Se Tumhari Zarorat Ko Samjh Nhi Skta, Us se Kuch Mang Kr Khud Ko Shrminda Na Kro,
Hazrat Ali R.Z…
'Assalam-o-Alaikum' 4 PERSONS, 4 QUOTES

1. Jo log khud gharz hote hain wo kabhi ache dost nahi hote.
[Hazrat Abu-Bakar Sidique R.A]

2. Jo shakhs apne khaloos ki qasmain khaye uss per aitmaad na karo.
[Hazrat Umar R.A]

3. Muhabbat sab se karo magar aitbaar chand logon per.
[Hazrat Usman ghani R.A]

4. Ache logon ki aik khubi ye bhi hoti hai k unhain yad rakhna nahi parta wo yad reh jate hain..
Dua Hy !
MUSHKIL KUSHA Se k
Aap Ki Sari Mushkilat
Duur Hon

Dua Hy !
Us GHAFOOR Se k Aap
Ko Baksh De

Dua Hy !
Us RAHEEM Se k Aap Pr
Reham Kare

Dua Hy !
Us RAB-UL-IZZAT Se
k Aap Ko Izzat De


Dua Hy !
Us ghani Se k Aap Ko
Hadh-darja Nawaze

Dua Hy !
MALIK-E-KAINAT Se k
Aapko Hr Khushi Se
Humkinar Kare

AAMIN
pujya mitravar,sadar parnam,in dino apke sandesh miltae
hai jinhe padhne ke paschat hum atyant annad vibhor hooten
hai,app ki isi mitrata ke hum runi hai.prabhu se yehi
prathna karte hai ke apki chalit dhurbhas yantra seva prdan
karti sanatha apko yuhi seva deti rhe jis se hum ek dusre se
sandesh madhyam se jude rhe..app ke sandesh ki pratiksha mein
app ke sahyogi evam ghanisht mitra ki aur se subh ratri ki
shubbecha... GOOD NIGHT
Hain Ghar Ki Muhafiz Meri Dehki Hui Aankhein,
Main Taaq Mein Rakh Aaya Hoon Jalti Hui Aankhein,

Ek Pal Bhi Kisi Mod Pe Rukne Nahi Deti,
Kaanto Ki Tarah Jism Mein Chubhti Hui Aankhein,

Raste Mein Kadam Phoonk Ke Rakhna Mere Pyaaron,
Hain Chaaron Taraf Shahar Mein Bikhri Hui Aankhein,

Yun Us Ke Bichhad Jane Pe Aansu Na Bahao,
Manzar Ko Taras Jayengi Bhigi Hui Aankhein,

Qaatil Ke Siwa Koi Samajh Hi Nahi Sakta,
Kya Dekhti Hai Tasht Mein Rakhi Hui Aankhein,

Kya Jaaniye Kis Khwab Ki Taabir Mein Gum Hai,
Zulfon Ki ghani Chhanv Mein Uljhi Hui Aankhein,

''Talha'' Shab-E-Tira Mein Ujalon Ki Amin Hai,
Nafrat Ke Samundar Mein Ye Behti Hui Aankhein...
Kathin he rah guzar thori door saath chalo
buhat kara he safar tori door saath chalo

tamam umar kahan saath deta he
ye jaanta hoon magar'' thori door saath chalo

nashe main choor hoon main b tumhain b hosh nai
bara maza ho agar thori door saath chalo

ye ek shab ki mulaqaat b ghanimat he
kise he kal ki khabar thori door saath chalo

abhi to door hain chirag rahon ke!!!
abhi he door sahar thori door saath chalo

tawaaf e manzil e janaan hamain b karna he
faraz tum bhi agar thori door saath chalo.
Band sheeshon k parey daikh,dareechon k udher…

Sabz pairon pe,ghani shaakhon pe,pholon pe wahan…

Kaise chup chaap barasta hai musalsal paani…….!

Kitni awaazain hain,log hain,baatain hain magar……

Zehan k peechey kisi aur hi satah pe kahin……..!!!!!!

Jaise chup chaap barasta hai tasavvur tera…………..!
Kal Raat Ik Mahfil Hoe
Mahfil Main Ik Baat Hoe

Ik Chand Mujhay Nazar Aaya
Bas Ankhon Say Molaqat Hoe

Es Chand Ki Naram Nigahon Say
Es Dil Ki Har Ik Baat Hoe

Es Chand Ki ghani Zulfon Main
Kab Sham Hoe Kab Raat Hoe

Bas Yeahe Ik Baat Hoe
Ik Naey Pyar Ki Shurwat Hoe

Kal Raat Ik Mahfil Hoe
Mahfil Main Ik Baat Hoe
Dasht-E-Ghurbat main


jis pairh Ne,



mere Tnha Musafir Ki khatir,


ghani Chaon Phailai hY,

Us ki Shaadabion k Liye

Meri sb Unglian

Hawa main

Dua Likh rahi Hain.
Gham Agarcheh Kaseer Laya Hoon
Hoslay Bhi Khateer Laaya Hoon

Khaahishein Mukhtasar Si Rakhta Hoon
Dil ghani-o-faqeer laaya Hoon

Kaisa Pagal Hoon Tairay Ghar Say, Mein
Khainch Kar Ik Lakeer Laaya Hoon

Saaray Logoon Say Payaar Hay Mujh ko
Aisa Roshan Zameer Laaya Hoon

Kaat Kar koh-e-Gham Ko, Ashkoon ki
Mein Bhi Ik Jooy Sheer Laaya HooN
oski muhabbat mere lia
bhini bhini
muatter muatter
raat ki rani
oska lams mere lia
jadoo jagata
khul ja sim sim ki kahani
oski intaha mere lia
had se be-had
la-mehdood bhi be-ma''ni
oski deewani ospay merti
oski chahat uski tammanah uski arzu
mangay hae panj waqta duain OSKAY HUZOOR
BEPERWAH,ghani-Ul-QADEER
sone ga zaroor
oski muhabbat mere lia
bhini bhini
muatter muatter
raat ki rani
oska lams mere lia
jadoo jagata
khul ja sim sim ki kahani
oski intaha mere lia
had se be-had
la-mehdood bhi be-ma''ni
oski deewani ospay merti
oski chahat uski tammanah uski arzu
mangay hae panj waqta duain OSKAY HUZOOR
BEPERWAH,ghani-Ul-QADEER
sone ga zaroor