dil SMS Messages2810 messages

kabi chaho gay tu chahat say bulayengy tumhain,
dard-e-dil hota hai kaya,dekhayengy tumhian,,
MUHABBAT hoti hai kaya,MUHABBAT kr k dekh lena,,,
phir mere pas ana kuch bataengy tumhain,,,
kabi na ayeen ankh main ansoo tu aisa krna,,,
ik sham meri pas ana bht rulayengy tumhian,,,
pochty ho jo zinda rehny ka sabab,,,
chalo kisi roz zindagi say milwaengy tumhian,,,
Meri Ankhon Ke Samandar main Jalan kaisi Hai
Aaj Phir dil Ko Tadapne Ki LaGan Kaisi Hai
Ab Kisi Chaat Pe Chiraghon Ki Qatarin Bhi Nahi
Ab Tere Shehar Ki Galiyon Main Guthan Kaisi Hai
Baraf Ke Roop Main dhaal Jain Ge Sare Rishte
Mujh se Poocho Ke Muhabbat Main Agan kaisi Hai
Main Tere Wisal Ki Khuwahish Ko na Marne Doon Ga
Musam-e-Hijar Ke lehje Main Takan Kaisi Hai
Raigzaron Main Jo Banti Rahi Kanton Ki RiDa
Us Ki Majboor Si Ankhon Main Kiran Kaisi hai
Mujhe Masoom si Pagal Ladki Pe Taras aata hai
us se Dekho Tu Muhabbat Main Magan Kaisi Hai
mohabbat na samajh hoti hai samjhana zaroori hai
jo dil main hai use aankhon se kehlaana zaroori hai
usoolon per jo aanch aaye tou takraana zaroori hai
jo zainda hai tou phir zinda nazar aana zaroori hai
bohot bebaak aankhon main talluq tik nahin sakta
mohabbat main kashish rakhne ko sharmaana zaroori hai
saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos kerne ka
jo kehta hai khuda hai tou nazar aana zaroori hai
tere naam se mera dil maheky
tere deed se meri nazar maheky
khushboo se teri meri saans maheky
tasavvur se tere meri raat maheky
raat ke baad phir seher maheky
bhar lee aaghoosh mein to rooh maheky
teri talab teri chahat se mera wajood maheky
har ek lafz se teri wafaa maheky
tere sath se mera har din maheky
tere dum se hi MAHEK meri dunniya maheky
Your friendship is like Paktel,
dil TO AIK HAY
Your sincerity is like Telenor,
CHAHO KUCH BARH K
Your love is like Haleeb,
GARHA JO HAY
Your smile is like twist,
HILA K RAKH DAY
Your voice is like Nokia,
CONNECTING PEOPLE
Your style like ufone,
TUM HI TO HO
Your dressing like Mobilink JAZZ,
AUR SUNAO
My response like Warid,
WE CARE
"wo jaaye to sahi, hum aane kaa waada karte hain..
wo roothe to sahi, hum manaane ka waada karte hain,
dil todna hai mera to beshaq tod de woh...
is dil k bina bhi hum unko chaahane ka waada karte hain........"
Mere pyaar k tu sang sang hay
Mere sapnon main chahat ka rang hay
Pyaar kiyaaaaa
Main ne dil deya,main ne dil liya

Phali huy chandani hay
Raat bhi haseen hay
Tu jo naheen paas mere
Kuch bhi naheen hay
Tuj bin meri suni umang hay
Mere sansoon main tu mere sang hay

Gati huy roshni hay pyaar ko jagaye
A ja mere meetman tuj ko bulaye
Aaj sari fazaa jaltarang hay
Meri sanson main tu mere sang hay
Pyaar kiyaaaaa
Main ne dil deya,main ne dil liya
dil Hi dil Mein Hum Tumhain Pyar Bahot Krtey Hain
Lekin Saach Hai K Bataney Se Bahot Dartey Hain

Khud Pe To Hai Yaqin Saanson Pe Magar Nahi.
Moat Se Nahi Aey "Khushi" Zindagi Se Hum Dartey Hain

~ Tum Bin ~
Jun Jun Raat Dhalti Jati Hai
dil Ki Kefiet Badalti Jati Hai
Woh mil jatey hain kahani bankar
dil mein bas jatey hain nishani bankar
Jinhe hum rakhte hain apni aakhon mein
Kyun nikal jatey hain wo pani bankar
Khayaalo ko kisi aahat ki aas rehti hai
Nigaahon ko teri talaash rehti hai
Tere bina koi kami nahi lekin
Tere bagarr tabiyat udaas rehti hai
Khushbo ki therhaan dil main basaa ker use dekhoon
Hatoon Ki Lakeroon main Saaja Ker Uusee Dekhoon

dil us ko chahee pher Bhi Zaara Deer Ki Lyiee
Khud Us Se Leroon Our Pher Manna Ker Use DeKhoon

Sheshe saa dil Hai Us KA Kabhi Jo DukH Jayee
PalKoon Se DuKh CHun Loon Our Pher Use DeKhon

Us Ki KhusHe Ki Khater Main Zaher Hans Ki Peloon
Jub Jaan Nikal Ki Gye Tub Pher Main Use Dekhoon

Us Ki Lout Ane Kie InteZar Ki Khater GHAAZAL
Sare Ummer Main Beta doon OUr Pher Use Dekhoon
Mera
1
Kaam
Karna
Har Sehri Se Pehle
Har Namaz K Bad
Har Iftaar Se Pehle
Har Taraweeh K Bad
Har Tilawat Se Pehle
Har Tahujjad K Bad
Har Taaq Rat Me
Salat Ut Tasbeeh K Bad
Sirf
1
Chota
Sa
Kaam
Karna,
Sirf
Apni
Dua
K
Chand
Alfaaz
Mere
Naam
Karna,
Apni Duaon K Khas Lamhat Me
2 Jahan Ki Afyat Mangna
Dozakh Se Nijaat Mangna
Rizq-E-Halal
Husn-E-Akhlaq Mangna
Ishq-E-Rasool
Shukar Karne Wali Zaban
Sabar Karne Wala dil Mangna . . . /
TALIB-E-DUA