charag SMS Messages31 messages

Aik admi ko charag mila us ne use ragra dhamaka howa aur wo mar gaya

moral:sub chezen ala din ki nai hoti kuch mujahdin ki bi hoti hain
Dhundla Rahey Hein Shehr K Jaltay Howey charagh, Aey Neend Aa Bhi Jaa, K Boht Raat Ho Chukki..!!
Mujhay Apnay Zab Pay Naz Tha,,

Saray Bazme Jahan Yeh Kya Hoa,,

Meri Aank Kesay Jhalak Gai,,

Mujhay Gham Hay Yeh Bura Hoa,,

Meray Zindgi K charag K Yeh Andaz Koi Naya Nahe,,

Kabhi Roshni Kavhi Teergi,,

Kabhi Jala Hoa Kabhi Bujha Hoa,,

Mujhay Rastay May Para Hoa,,

Aik Badnaseeb K Khat Mila,,

Kahen Khon-E-Dil say Likha Hoa,,

Kahen Aanso-oon Say Mita Hoa,,

Jo Nazar Bache K Guzar Gaya,,

Meray Samnay Say Abhi Abhi,,

Yeh Meray Shehar Hi K log Thay,,

Tha Meray Ghar Say Unka Ghar Jura,,


T E A R S ! ! ! ! ! !
shaheed mertey nahi aur Hussain jesey shaheed......
hum is yaqeen ko haq aagahi samajhte hain......
hamari palkon per aanson nahi charaghan hain....
ghame Hussain ko hum roshniii samajhte hain...........
Magar yeh ho na saka aur ab yeh alam hai
K tu nahi tera ghum teri justaju bhi nahi
Guzar rahi hai kuch es tarah say zindagi jaisay
Zamanay bhar k dukhon ko laga chukka hoon galay
Guzar raha hoon kuch anjani rahgawaron say
Muhayab saye meri simat bhartay atay hain
Hayat-o-maut k par hol kharzaron say
Na koi jada manzil na roshni ka charag
Bhatak rahi hai khalaon mein zindagi meri
Enheen khalaon mein reh jaoo ga kabhi kho kar
Mein janta hoon meri ham-nafas magar youn hee
Kabhi kabhi meray dil mein khayal ata hai
Yo so khabare me pa zra bandi gilay pati shwe

Da hijar okhke me pa makh bandi saray pati shwe

Sta pa makh k charaguna da didan balegi

Zama jungara k dewi da wisaal mre pati shwe

Ma we za sta yam ta zama ye tar lahada poray

Da da Qismat likalay shawe faisalay pati shwe.
wo charagh-e-jaan k jis ki low,,,na kisi toofan se kam hui...

teri bewafai k wasvasay usay chupkay chupkay bhuja gae...!
tum ik charagh ki khairat de rahe ho mujhe.

main aftab se daman churra k aya hoon.
Apne ehsas kay sab rang uttar janay do
Meri umeed meray khawab bikhar janay do...

Apne angan main charaghon ko jalao na abi,
Meray angan main siya raat utar janay do...

Bari mushkil se mila hai muje mere ghar ka pata
Rassto ab na uljhao muje gher janay do...

Jin kay aane ka bohat shor phaila tha her soo,
Inhi lamhon ko chup chap guzar janay do...

Meri berbadi ka ilzam na aye kahin tum per,
Meray halat ko khuch or bigar janay do...
Aaina Hoon Main Mere Saamne Aakar Dekho
Khud Nazar Aogye Jo Aankh Mila Ker Dekho

Mere Gham Mai Mari Takdeer Nazar Aati Hai
Dugmagao ge, Mera Dard Utha Ker Dekho

Youn Tu Aasaan Nazar Aata Hai Manzil Ka Safar
Kitna Mushkil Hai Meri Rah Se Jaaker Dekho

Bazm Ka Meri charagaan Hai Nazar Ka Dhoka
Kin Andheron Mai Bhatakta Hoon Main Aaker Dekho

Dil Tumhara Hai Main Ye Jaan Bhi Dedoon Tum Per
Bas Mera Saath Zara Dil Se Nibha Ker Dekho

Mout Barhaq Hai Mager Tum Se Waada Hai Mera
Laut Aounga Tum Ikbaar Bula Ker Dekho
TAIRE HOTE HOWE MAHFEL MAIN JALATAY HAIN charagH....
LOOG KIA SAADA HAIN SOORAJ KO DEKHATAY HAIN charagH
Bana Gulab Tu Kaantay Chubha Gaya Aik Shakhs
Howa charagh Tu Gher Hi Jala Gaya Aik Shakhs

Tamaam Rang Meray Aur Saaray Khwab Meray
Fasana Thay Ya Fasana Bana Gaya Aik Shakhs

Main Kis Hawa Main Uron Kis Faza Main Lehra’on
Dukhon K Jaal Her So Bicha Gaya Aik Shakhs

Palat Sekon Na Hi Aagay Berh Sekon Jis Per
Mujhay Yeh Konsay Raastay Per Laga Gaya Aik Shakhs

Muhabbatain Bhi Ajab Uski Nafratain Bhi Kamaal
Meri Hi Tarah Ka Mujh Main Sama Gaya Aik Shakhs

Muhabbatoon Ne Kisi Ki Bhula Rakha Tha Usay
Milay Woh Zakhm K Phir Yaad Aa Gaya Aik Shakhs

Woh Maahtaab Tha Marham Badast Aaya Tha
Mager Kuch Aur Siwa Dil Dukha Gaya Aik Shakhs

Khula Yeh Raaz K Aayeena Khana Hai Dunya
Aur Is Main Mujh Ko Tamashaa Bana Gaya Aik Shakhs