boond SMS Messages51 messages

Ab ke sawan main paani barsa bohat
Paani ki har boond main woh aaye yaad bohat
Is suhaane mausam main saath nahi tha koi
Baadlon ke saath in aankhon se paani baha bohat
Pyari si subah me pyare se panchhi,Pyare se kinare,Pyari se oss
ki boonden,Pyari si thandi hawayein,Ek pyare se Dost ko puyara
sa din de jaaye...Good Morning...
Agar janna chaho ki hum tumhe kitna yaad karte hai, Tow barish
ki boondo ko pakdo jitni tum pakdoge utna tum yaad karte ho
jitni tum chhodoge utna hum yaad karte hai. Good Morning
dard ki baarish mae tou dil roz bheegta hai
ai Khuda aaj chahay tou phir se wahi dard ki baraish kar de..
par ek boond khushi ki esmae de de..
wo khusi mai nazro se dekhna chahati hu..
wo kush hai kahi door mujhsae..
bus ye ek paigaam de de..
es ek boond ke sahare mai apni zindagi jee jaungi..
phir chahaye tou umra bhar gam aur dard ki baarish de de..
Apne honton per sajana chahta hon
Aa tujhey main gungunana chahta hon

Koi ansoo tere daman per gira ker
boond ko moty banana chahta hon

Thuk gaya main kerte kerte yad tujhko
Ab tujhey main yad aanaa chahta hon

akhri hichki tere zaano pe aaye
maut bhi main sha''erana chahta hon

Rah gayi kuch kami ruswaiyon main
Phr QATEEL us durr pe jana chahta hon
Ghar k dareechay se lagh ker tujh ko sonchtey rahey,
Baadlon ki gargarahat mein tujh ko khoojhtey rahey..


Dhoondhney ka silsila saari raat chalta raha,
Kabhi jaaghtey rahey, kabhi tujh ko sonchtey rahey..


Barish ki ek boondh pari jo mere chehrey per,
Is nanhi si boondh mein tujh ko dhoondhtey rahey..


Yeh mausam bhi apne sath laata hai ek daastan,
Is daastaan ko sun ker tujh ko sonchtey rahey..


Apni sonch ko itna waseeh ker dia hum ney,
Keh samne sab kuch hai, phir bhi tujh ko sonchtey rahey...
Yeh pal pal ka chalna,
fasila khatam na karega,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe woh kal na milega!
Yeh koi gaata hai,
ya namaaz padta hai,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe alag khuda na milega!

Yeh guzarti huwi raat hai,
ya nikalti huwi sehar,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe humsafar na milega!
Yeh Baarish ki boondein hain,
ya aankhon ke aansoon,
Tum kitna bhi chaho,
inhe thaamne wala na milega!

Yeh dil ke tukde hain,
ya aap ki yaadein,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe marham na milega!

Yeh dil mein armaan hain,
ya sulagte huwe sholey,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe sehra mein paani na milega!
yeh kaisi uljhan ban gayi hai
dil ki dhadkan,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe sukoon na milega!
**ANNA!!***
kisi mehrbaani ki boond say,

mujhay mera sehra azeez hay,

kisi maangi chhaaon ki bheek say,

meri dhoop dhoop azeem hay,

kisi tars khaatay ujaalay say,

mujhay naaz apnay andheron par,

mujhay gham-gusaaron ki bheer say,

es akailay-pan pay gharoor hay...!!
Dolat-e-Dard Ko Dunya SE Chupa Ker Rakhna

Aankh Main boond Na Ho Dil Main Darya Rakhna
Apnay hothon par sajaana chahta hoon,
Aa tujhay main gungunana chahta hoon !

Koi aansoo tery daaman par gira gar,
boond ko moti banana chahta hoon !

Thak gaya main kartay kartay yaad tujko,
Ab tujhay main yaad aana chahta hoon !

Cha raha hai saari basti mein andhera,
Roshni ko ghar jalana chahta hoon !

Aakhri hichki teray zaano pay aayey,
Maut bhi main shayraana chahta hoon !

Apnay hothon par sajaana chahta hoon,
Aa tujhay main gungunana chahta hoon
Wo To PANi Ki boond Hy
Jo
Ankhon se Beh Jae

Ansu To Wo Hy
Jo
TARAP K Aankho Me Hi Reh Jae

Wo PYAR Kia
Jo LAFZON Me BAYAN Ho

PYAR Wo hy
Jo Ankhon Me NAZAR Aae
Suno...
Jab barish barsa kerte hai...
Aur her suu pani hota hai...
Hum aapne gher k aangan mien...
Amar byaal k saye mien...
boondoon ko dekha kerte the...
Aur tum ko soocha kerte the...

Suno...
Jab raat siyaah ho jate hai...
Aur chandni phela kerte hai...
Hum neele aasman k saye talee...
Taroon ko dekha kerte hien...
Aur tum ko soocha kerte hien...