barsaat SMS Messages41 messages

Ajnabi bastiyo''n k safar pay ja rahay ho...


To yaad rakhna...!


Jahaa''n bhi raho...


Kachi pakki barsaato''n may....


Dil ka khayaal rakhna....!!
Bheegy Mosam Ki Bheegi Si Raat
Bheegi Si Yaad
Bhuli Hui Baat
Bhula Hua Waqt
Wo Bheegi c Aankhai''n
Wo Beeta Hua Saath
Mubarak Ho Aap Ko
December Ki Pehli barsaat
barsaat main jab
barish hoti thi
hum park main betha karty thy
barish main bheega karty thy
aaj
waisa he barsaat ka din hi
park ke binch pe
tanha betha bheeg raha hon
jin main hum tum sang bheegy thy
un lamhon ko sochraha raha hon
Yeh Zindagi barri ajeeb si..
Kabhi gulzaar si..
Kabhi bay-zaar si..
Kabhi khushi hamaaray saath saath..
Kabhi ghhamo''n ki barsaat si..
Kabhi Toofano''n may bhi hain raastay..
Kabhi manzilo''n ka pata naheen..
Kabhi do qadam pay zindagi..
Kabhi sadiyo''n tak intezaar si..
Kabhi her pal imtehaan hai..
Kabhi bin maangay Inaam si..
Kabhi kuch naheen..
Kabhi sab kuch si..
Yeh Zindagi barri ajeeb si..!!
sab jaan ke bhi mujhse vo bhulaya na gaya
uske diye pyar ka koi bhi nishaan mitaya na gaya
chaha bahut maine ki dafan kar dun uski sab yaadein
vo tuti hui chudi vo barsaat ki raatein,
vo aaine pe lipstick ka nishan vo mahobaat ki baatein
mujhse mere hi dil pe ye sitam dhaya na gaya
koi yaad uski or apni hateli se uska naam mitaya na gaya
woh barsaat
jis ke intizar main bara maah guzre
kaali ghataa chaane ke baad
poora samaa jhal thal ho gya
pattay bheege
phoolon ne bhi ghusal kia
per mere honton ko
us aek katray ki pyas rahi
jo teri zulf se ho kar
tere rukhsar pe bahay
aur jab wohi aek katra
teri ghulab ki pankharion
se labon per aa ke thehray
apni barson ki pyas bhuja loon
teri aankhon ko choom loon
tere sapno main ashiyana bana loon
tere labon ko choo loon
teri har baat ammar kar doon
tere ghulabi rukhsaron per chehra laga ke
kisi dhoop main chaon ki manind
umer guzar doon
tera wajood orh loon
kahe to zindagi tere naam kar doon
Ek chahat, ek armaan, ek aas ho tum
Baaton mein meri chhipa ek ehsaas ho tum
Jismein hai bheegne ki khwaish woh barsaat ho tum
Dil mein basa hai jo, roz jo dekhti hun main, woh khwaab ho tum...
koi waqt purana yad aya koi dard suhana yad aya,
aur chalk se in deewaron per kuch likh kar jana yad aya,
tera milna neem ki chaon mein aur sir rakh dena kandhe pe, mera ye kehna koi dekh na le tera wo ghabrana yad aya,
sakhiyon k jhurmat mein tera paani bharne jana,
mera dekh k tuj ko hans dena tera wo sharmana yad aya,
kabi aisa b hota tha main tuj ko chorne jata tha,
jub wapis aane lagta tera wo hath hilana yad aya,
beeghe kapron, beeghi zulfon, nange paon,
barsaat ki beeghi raton mein tera milne aana yad aya,
wo waqt gya lamhe beetay ab her taraf tanhai hai,
wo ik hai manzar ankhon mein tera wo chor k jana yad aya
Mera Dil Agey Hi Toota Tha,Chalo Aik Darar Aur Sahi,Zakhmi Tha Jigar Pehley Se Hi,Kuch Khoon Ki Bondain Aur Sahi,Ankh To Thi Pehley Se Namm,Ashqoun Ki barsaat Aur Sahi,Bohat Baar Girr Kar Sambhla Hoon,Chalo Aaj Aik Thokkar Aur Sahi,Khilona Samjh Kar Sabhne Khaila Hey,To Kia Howa, Aik Khail Aur Sahi,Aey Merey Bewafa Dost,Tera Aik Waar Aur Sahi,Loh Aaj Ghum Ke Waseeh Afsaney Main,Meri Aik Tehreer Aur Sahi.
Yeh Adhoora PaN
Jaisay Adhi kaali raat,
Jaisay Aadha chand,
Jaisay bin sooraj kiran,
Jaisay bin badal barsaat,
Jaisay jungal mein tanha hiran,
Jaisay be Aawaz koiyal,
Jaisay Sookhi Kali,
Jaisay Thehra hoa paani,
Jaisay bin paani machhali,
Jaisay Andha Raahi,
Jaisay bikhari zulfein,
Jaisay dolhay bin baraat,

Aisay hi tum bin main,


Aur mera yeh Adhora PaN
Kabhi Yun Bhi To Ho.
Darya Ka Sahil Ho.
Pooray Chand ki Raat Ho.
Or Tum Aao,

Kabhi Yun Bhi To Ho.
Paryon Ki Mehfil Ho.
Koi Tumari Baat Ho.
Or Tum Aao,

Kabhi Yun Bhi To Ho.
Suni Har Manzil Ho.
Koi Na Mere Saath Ho.
Or Tum Aao.

Kabhi Yun Bhi To.
Yeh Baadal Aisa Toot K Barsey
Mere Dil Ki Tarha Milne Ko
Tumara Dil Bhi Tarsay
Tum Niklo Ghar Se,

Kabhi Yun Bhi To Ho
Tanhaai Ho
Dil Ho
Bunddain ho
Baadal Ho
barsaat Ho.
Or Tum Aao,
barsaat ki bheegi raaton mai pir koi suhaani yaad ayi ,
Kuch apne zamana yaad aaya kuch unki jawani yaad aayi,
Hum bhool chuke they jisne Hume duniya mai akela chor diya ,
Jab gaur kiya tau ek surat jaani pehchaani yaad aayi..