bandh SMS Messages64 messages


Bheed Main Ek Ajnabi Ka Saamna Acha Laga
Sab Se Chup Ker Wo Kisi Ka Dekhna acha Laga


Surmayi Aankhon K Neeche Phool Se Khilne Lage
Kehte Kehte Wo Kisi Ka Sochna Acha Laga

Baat Tou Kuch Bhi Na Thi Magar Uska Ek Dum
Haath Ko Honton Pee Rakh Ker Rokna Acha Laga

Dil Main Kitne Ehad bandhey Thay Bhulaane K Liye
Wo Mila Tou Saare Iraade Todna Acha Laga

Is Adoo-e-Jaan Ko Kaise Main Bura Kahoon
Jab Bhi Aaya Saamne Wo Bewafa Acha Laga
Kon Hai Suraj Kon Hai Saya Mai Bhi Socho''n Tu Bhi Soch
Kis Ne Pehle Haath Churaya Main Bhi Socho''n Tu Bhi Soch

Jis Ki Khatir Sahil Sahil Sipiyan Chunte Beet Gaye
Kyun Wo Moti Haath Na Aaya Main Bhi Socho''n Tu Bhi Soch

Kis Ko Kitna Naam Mila Aur Kis Ko Kia Ilzaam Mila
Kis Ne Kis Ka Waqt Ganwaya Main Bhi Socho''n Tu Bhi Soch

Kis Ne Kitni Aas bandhai Kis Ne Kitni Jaan Churaai
Kis Ne Kitna Saath Nibhaya Main Bhi Socho''n Tu Bhi Soch

Hum Tou Ta''aluq K Bare Main Sochne Par Majbuur Huey
Jeevan Main Ye Din Kyun Aaya Main Bhi Socho''n Tu Bhi Soch
Jab bhi unke ghar se gujrata hu,
hamari ankhen ek dastak de hi deti hai.
Dukh ye nahi wo darwaja bandh kar deti hai,
khushi ye hai ki wo hame pehchan to leti he.
Sirf bandhan ko viswas nahi kehte,
Har aansu ko jazbat nahi kehte.
Kismat se milte hai ye riste zindagi mein,
isliye rishto ko Kabhi itefaq nai kehte
Jheel Mein Chaand Nazar Aye Thi Hasarat Usaki
Kab Se Ankhon Mein Liye Baitha Huun Surat Usaki

Ek Din Mere Kinaron Mein Simat Jayegi
Tehare Paani Si Yeh Khamosh Muhabaat Usaki

bandh Mutii Ki Tarah Woh Kabhi Khulata Hi Nahin
Faasale Aur Badaa Deti Hai Kurbat Usaki

Kisne Jaana Hai Badalate Hua Mausam Ka Mizaaz
Usko Chaho Toh Samaj Paaoge Fitrat Usaki
Mujhse itna rishta banaye rakhna,

meri dosti tum dil mein basaye rakhna.

waqt ko koi bandh nahi sakta,

par is dosti ko palko mein sajaye rakhna. banaye rakhna,

meri dosti tum dil mein basaye rakhna.

waqt ko koi bandh nahi sakta,

par is dosti ko palko mein sajaye rakhna.
Kayi Zulm Bhare Raaz Chupaatin Hain Yeh Aankhein
Aiina Dekh Kar Khud Se Dar Jaatin Hain Yeh Aankhein

Shayd Suna Ho Inki Araaish Ka, Toote Sapnon Se Sanwarti Hain
Bheege Aansuon Se Khud Ko Sajaatin Hain Yeh Aankhein

Yun Kahin Dikh Na Jaaye Kitna Dard Basaa Hai Inmein
Har Ek Se Nazrein Churaatin Hain Yeh Aankhein

Yeh Tamanna Rehti Hai Dil Mein K Woh Laut Aayenge
Rasta Tak Tak Kar Khud Ko Behlaatin Hain Yeh Aankhein

Badnaam Ho Gayin Yeh Unki Dewaangi Mein Kho Kar, Par
Unki Khaatir Har Bughz Nigaah Seh Jaati Hain Yeh Aankhein

Woh Nahi Aaya, Khokar Usse Jaane Kaise Yeh Jee Leti Hain
Aakhir bandh Kyon Nahin Ho Jaatin Warda Teri Yeh Aankhein
Dharas hamain bandhata tha dam Benazir ka...
Ta dair ab rulae ga gham benazir ka...

Daar-e-fanna se shehar-e-baqa muntaqil hue...
Maskan hua ha mulk-e-adam Benazir ka...

Us ne baray waqaar se ke zindagy basar...
Sir kr ska na koe b khum Benazir ka...
"KAHAN" "KAHAN" SE ALAG KARO GAY MUJHY

HAZAR "RISHTOON" MAIN TUM SE bandhA HOWA HON MAIN
bandh raka hai teri yaad ney Mazi sey muje. Warna guzrey hue lamhat mey kia raka hai. Tu na mil pahe thu aur Khuda sey mangoon. Tu alagh go tho meri zaath mey kia raka hai.
Mohabat aisa nagma hai
Zara bhi jhool hole mein
to sur qayam nahi hota
Mohabat aisa shola hai
hawa jaisi bhi chalti ho
kabhi madham nahi hota
Mohabat aisa rishta hai
k jis mein bandhan waloon k
diloon mein gham nahi hota
Mohabat aisa pouda hai
jo tub bhi sabz rehta hai
k jub mousam nahi hota
Mohabat aisa rasta hai
agar pairoon mein larzish ho
to yeh mehram nahi hota
MOHABAT AISA DARYA HAI
K BARISH ROOTH BHI JAYE
TO PANI KUM NAHI HOTA
Jane Se Pehle

Us Ne Mere Aanchal Se Fiqra bandh Diya

I" MISS YOU

Sara Safar

Khushboo Main Basa Raha