ankhon SMS Messages477 messages

Dil ki Batain bata deti hain Aankhein
Dhadkanon ko Jaga deti hain, Aankhein

Dil pe chalta nahi Jadoo Chehron ka kabhi
Dil ko tu Deewana bana deti hain Aankhein

Woh hum se baat nahi karti tu na kare
Haal sara un ke dil ka Suna deti hain Aankhein

Gham sada rehta nahi Aadmi ke saath
Ashk bana kar Chalka deti hain Aankhein

Aata hai jab dor - e - Jawani , tu aye Dosto
Sunder Sapne Zehan main Basa deti hain Aankhein

Mana ke Neend aati hai Aankhon hi ke raste
Magar kabhi kabar Neend uda deti hain Aankhein
kabhi dard to kabhi dua di hai,
dil ka chain aur aankhon ki neend uda di hai;
ye teri yaade hai ya mere dard ki inteha,
palkon ki katro pe nami saja di hai.
***AZZIYAT***
Kitni Azziyat Say Uss Ne Mujh Ko Bhulaaya Hoga...
Meri Yadoon Ne Ussay Khoob Rulaaya Hoga..

Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chhalkee Hogi.......
Uss Ne Chehre Ko Baazuon Main Chupaaya Hoga...

Socha Ho Ga Uss Ne Din Main Kaee Baar Mujhay.......
Naam Hatheli Par Bhi Likh Likh Kay Mitaaya Hoga...

Jahan Uss Nay Mera Zikkr Suna Hoga Kisi Say..
Uss Ki Aankhon Main Koi Aansoo Tou Aaya Hoga..

Raat Ke Bheetnay Tak Neend Na Aai Hogi Tujhay........
Tunay Takkiye Ko Bhi Seenay Se Lagaaya Hoga..

Hokay Nidhaal Meri Yadoon Se Tunay Jaana.........
Meri Tasveer Pe Sar Apna Tikaaya Hoga......

Poocha Hoga Jo Kisi Ne Tere Halaat Ka Sabbab....
Tunay Baaton Main Khoob Uss Se Chupaaya Hoga..
Kuch likhna chahta hoon...
Sochta hoon kya likhoon.

Phoolon ki woh mehekti khusbu,
Barish ka woh bheega paani,
Aur hawa mein thi jo rawaani,
Kya us mausam ka khumaar likhoon???

Thi chehre par unki masoomiyat,
Aankhon mein thi thodi sharaarat,
Aur baaton mein woh nazaakat,
Kya unka rangeen mijaaj likhoon???

Unka aakar muskarana,
Jo rooth jaun to manana,
Jaate jaate phir rulaana,
Kya unka yeh andaaz likhoon???

Yaadon mein unki ashq bahaana,
Har shaam ek diya jalaana,
Soyi ummeed ko roz jagaana,
Kya unka yeh intzaar likhoon??
Aankhon Main Jo Aansoon Hain Humaray Ussay Kehna
Dono Yeh Hissa Hain Pyaaray Ussay Kehna

Tapkay Jo Teri Aankh Say Aansoo Ka Koi Qatra
Nahin Dekhnay Hum Ko Yeh Nazaray Ussay Kehna

Katti Nahin Us Say Bhi Shab-E-Hijran Tu Phir
Ginna Karay Woh Bhi Sitaaray Ussay Kehna

Hoti Nahin Pori Kabhi Khahish Koi Us Ki
Chal Jatay Hain Dil Pay Merey Aaray Ussay Kehna

Kal Raat Tu Chaand Kuch Mayoos Sa Tha
Aaj Woh Khud Ko Na Sanwaray Ussay Kehna

Zindagi Ek Shaam Hai Saharay Main Ghuzaroon
Ek Shaam Merey Sath Woh Ghuzaray Ussay Kehna
Meri ankhon pe marta hai
meri baaton par hansta hai
najane shaks hai kaisa?
mujhe khone se darta hai
woh jab bhi baat karta hai
yahi har baar kehta hai
Agar main bhool jaoon to?
Agar main rooth jaoon to?
Kabhi wapis na aaoon to?
bhula paoge yeh sab kuch..
yunhi hanste rahoge kia?
Yunhi sajte rahoge kia?
Yahi baatain hain bas uski
yahi yaadian hain bas uski
mujhe maloom hai itna
Mujhe woh pyar karta hai
MUJHE KHONE SE DARTA HAI...
Tum Ne Kaha Tha Bade Yaqeen K Sath
Mujh Per Bharosa Karo
Bilkul Es Tarah
Jase Apny Ap Per Ho
Aur Main Ne
Dheerey Se Hans Ker Pucha Tha
Itna Yaqeen Kion?
Tab Tum Ne Meri ankhon Main
Jhank Ker Kaha Tha
"Main Tumahri Manzil Ka
Sang E Meel Hoon"
Aur
Mian Tab Se Ab Tak
Jaty Qadmoon Ki Dhool Main
Es Sang e Meel Ko Talash Ker Rahi Hoon
Jo Tumahre Yaqeen Ki
Andhar Nagri Main Kaheen Kho Gia ha
Kaho ab kia kahon tum se
Bataao Kia likhoon tum ko
Mujhe tamheed do koi
Mujhe umeed do koi
Nia ik lafz ho koi
Jahan se baat chal niklay
Meri mushkil ka hal niklay
Bataao lehja kaisa ho
Keh tum se baat kerni hai
Tum apni roshan ankhon ko
Ager kholo to main likhoon
Tumhare lub se aye ga
Sukhan mein kateela pan
Tumhari ankhein day dein gii
Takhatub ko nasheela pan
Kaho ab kia irada hai????
Mujhe izhaar kerna hai
Keh betaabi ziada hai!
mujhy izhaar karna hai
Woh shakhs mujh ko jeet kay hara hai aur bus
Itna hi zindagi ka khasara hai aur bus

Kesay kahoon keh us ka irada badal gaya
Such to yehi hai us nay pukara hai aur bus

Dunya ko is main dard ki shiddat kahan milay
Aankhon say toot’ta hua tara hai aur bus

Lafzon main dard e hijr ko mehsoos ker kay daikh
Kehnay ko main nay waqt guzara hai aur bus

Ab in main koi khwab sajanay nahi mujhay
Aankhon ko intazar tumhara hai aur bus

Main nay kaha keh khwab main dekhi hain barishain
Us nay kaha keh ik ishara hai aur bus.
Bheegi Palakain
Aankhon Mein Laal Doray
Dard Say Chlakti Surkhi
Gaaloon Pay Phisaltey Motii
Lub Kaat“te Huwi
Main Aksar Ussay Bari
Mehwiat Se Dekhta hoon
Pagli
Tujhe Kiya Maloom Tujhe Rula Kar
Main Marti ankhon Mein
iss Jahan ka Husn Dekhta hoon
Woh chand chup gaya mujhay rat sonp kar
ankhon ko intezar k lamhat sonp kar
Ek shakhs tha jo mujh say bichar gaya
ankhon ko meri mausam-e-barsat sonp ka
koi waqt purana yad aya koi dard suhana yad aya,
aur chalk se in deewaron per kuch likh kar jana yad aya,
tera milna neem ki chaon mein aur sir rakh dena kandhe pe, mera ye kehna koi dekh na le tera wo ghabrana yad aya,
sakhiyon k jhurmat mein tera paani bharne jana,
mera dekh k tuj ko hans dena tera wo sharmana yad aya,
kabi aisa b hota tha main tuj ko chorne jata tha,
jub wapis aane lagta tera wo hath hilana yad aya,
beeghe kapron, beeghi zulfon, nange paon,
barsaat ki beeghi raton mein tera milne aana yad aya,
wo waqt gya lamhe beetay ab her taraf tanhai hai,
wo ik hai manzar ankhon mein tera wo chor k jana yad aya