ankhen SMS Messages74 messages

Aankhen Oonchi Hui To Dua Ban Gayi,
Aankhen Nichi Hui To Haya Ban Gayi.
Jo Jhuk Kar Uthi To Khata Ban Gayi,
Aur Uth Kar Jhuki To ADA Ban Gayi...
Apni Tanhai ki Palkon ko bhigholon pehle
Phir Ghazal tuj pe likhon Roo lon pehle
Hawaab k Sath kaheen kho na ghaien hon Aankhen
Jab uthon Soo k tu Chehre ko Totoloon pehle
Mere Hawabon ko hai Mosum pe Bharoosa kithna
Baad mein Phool Khilein Haar paroloon pehle
Dekhna Hai k Wo muj se Hawfa Rehta hai Kab tak
Mein ne Socha hai k Iss Baar na Boolon pehle....
Chehra mera tha,nigahen uski
Khamosi mein bhi wo baten uski
Mere chehre pe ghazal likhti rahi
Sher kehti hui ankhen uski
Aise mausam bhi guzare hamne
Subah jab apni thi shamen uski
Neend is soch mein tuti aksar
Kis tarah katati hai raten uski
Dur rehkar bhi sada rehti hai
Mujhko thame hue bahen usk
Bohut royi Hain shayad Aankhen Tumhari






meri khatir Aankhon mein Thora kajal laGa Lo
Kosish bahut ki samjhane ki
ankhon ko, kasam di so jane ki, bahut samjhaya fir bhi ankhen nai soyi, soyi tab jab maine bat ki aap ke khwab me aane ki.
Kisi k liye ab ye aankhen num na karenge,

woh chale v jaye to gum na karenge,

ho gayi khata kisi ko jaan se zyada chahne ki,

ab ye khata dubara hum na karenge.
Wohi Takrar Lafzon ki ,

Wohi andeshay fursat ke,

Wohi har baat pe ranjish,

Wohi har baat pe larna,

Wohi kuch bolti aankhen,

Wohi Chup chap sa lehja,

Wohi bechain si hulchal,

Wohi khamosh ho jana,

Sabhi asrar kehtay hein,

Tumhen Mujh se Muhabbat ha,

Tumhen Mujh se Muhabbat ha,
kyuN mahkeN gulaab aaNkhoN meN
ham ne rakhe haiN Khvaab aaNkhoN meN

dekho ham ek savaal karte haiN
likh kar rakhnaa javaab aaNkhoN meN

us meN Khatraa hai Duub jaane kaa
jhaaNkiye mat janaab aaNkhoN meN

kabhii aankhen kitaab meN gum haiN
kabhii gum hai kitaab aaNkhoN meN

ko’ii rahtaa thaa raat din “Alvi”
inhii Khaanaa-Kharaab aaNkhoN meN
MuJhse Pocha Kisi Ne Dil Ka Matlab
Main Ne Has K Keh Diya Thakana Usska!
Ussne Pocha Suhani ShaaM Kise Kehte Hein?
Main Ne Keh Diya Satana Usska!
Ussne Pocha Batao Ye ''QayaMaT'' Kya Hai?
Main Ne Ghabra K Keh Diya Rooth Jana Usska!
Maut Kehte Hein Kise Jo Kisi Ne MuJhse Pocha To!
Main Ne Aankhen Pochh Kar Kaha Chod Jana Usska!!
Har Tarah K Jazbat Ka Elan Hain ankhen.
Shabnam Kabi Shola Kabi Tufaan Hain ankhen.
Ankhon Se Bari Koi Tarazu Nai Hoti.
Tulta Hai Bashar Jis Mai Wo Mezan Hain ankhen.
ankhen Hi Milati Hain Zamanay Mai Dilon Ko.
Anjan Hain Hum Tum, Agr Anjan Hain ankhen.
Lab Kuch B Kahen Is Se Haqiqat Nai Khulti.
Insan K Sach Jhot Ki Pehchan Hain ankhen.
ankhen Na Jhuken Teri Kisi Ghair K Agay.
Dunia Mai Bari Cheez Meri Jaan! Hain ankhen..
Kabhi daman kabhi palkain bhigona KIS ko kehtay hain,

Kisi mazlom se pocho k "RONA" kis ko kahtay hain,

Kabhi meri jaga khud ko rakho phir "JAAN" jao gay,

K duniya bhar k dukh dil main "SIMONA" kis ko kahtay hain,

Meri ankhen meray charay ko ik din "GHOR" se dekho,

Magar mat puchna "WERAN" hona kis ko kahtay hain,

Tumhara dil kabhi piglay agar "GHUM" ki hararat se,

Tumhain malum ho jae ga k "KHONA"kis ko kehtay hain.
Wo jo Shaier tha, Chup sa rehta tha
Behki behki si baaten karta tha
Aankhen kanon pe rakh ke suntan tha
Goongi khamosheyon ki aawazen…..!
Jama karta tha Chand ke saye
Or Geeli se noor ki boonden
Rookhay Rookhay se Raat ke Patay
Ook mein bhar ke kherh kherata tha
Waqat ke us ghaneray Jangal mein,
Kachay pakey se Lamhay Chunta tha
Haan, Wahi, Ajeeb sa Shaier
Chand ki Thori Choma karta tha
Chand se gir ke mar geya ha wo
Log kehtay hain Khud Kushi ki ha….!