aandhi SMS Messages19 messages

larki: ilove u
Larka : larki k sar per dupata de kr haath pakarta h or khta h behna 5 waqt ki namaz perha kro pyar mn kuch nahin rkha
larke k jane k bad larki apne hath mn pakri parchi kholti h to likha hota h
aqal ki aandhi marwae gi kya piche meri b.w thi phone per baat krte hn :p
Professor to Students: "1 platform 2km lamba hy, aandhi chal rahi hy 60km/h ki speed se, aur 1 train aai aur mashriq se maghrib ki taraf chali gayi. tou ab sawal yeh hy k meri umar kitni hy?"

Saaray Students hairaan ho kar aik doosre ki taraf dekhne lagay, 1 Student ne jawab dene k liye haath kharra kiaa.

Student: Sir apki umar 42 saal hy.

Professor: Good, lekin tum ne kese calculate kiaa?

Student: Sir humare ghar k pass 1 aadmi rehta hy, woh half mental hy aur uski umar 21 saal hy....

Tere Naam ki thi jo Ro$hni u$ey khud tu ne Bujha diya
Ji$sko jala $aki thi na Dhoop u$ey chandni ne jala diya


Mein hoon Gardi$hon ka maara huwa mujhey ab apni khabar nahi
Wo jo $hakh$ tha mera rehnuma u$ey Ra$ton main ganwaa diya


Ji$s ko $amjha tha tu ne raqeeb,woh tera naseeb tha
Tere Haath ki lakeer tha,u$ey tu ne haath se hi mita diya


Mujhey i$hq hai ke junoon, yeh fai$la kabhi na ho $aka
Mera naam zeenat-e-da$ht tha,i$ey aandhiyon ne mita diya


Yeh uda$iyoo ka jamal hai , ke maraivj-e-kamal hai
Ke kabhi zaat se bi chupa liya , to kabhi $hehar bhar ko $una diya


Meri umar ka Guli$tan abhi khula huwa hai zaroor par
Wo jo phool they teri chah ke unko mau$amo ne gira diya.....
Mai Bujhe Giya Hoon~!~

Ik Diya Hoon

Taiz Hawaon Kai Jhonkon Sai
Bus Bujhe Giya Hoon

Mai Jalraha Tha Barsoon Sai
Nibbat Raha Tha Arsoon Sai

Ab Bujhe Giya Hoon
Haan Ik Diya Hoon

Jalta Tha To Roshni Thi
Andhairoon Mai Ghir Giya Hoon

Mai Bujhe Giya Hoon
Ik Diya Hoon

Mujhe Sai Wabasta Saatoon Nai
Moon Mujhe Sai Moor Liya Hai

Mairay Andhairoon Ko
Mairay Sang Akaila Chor Diya Hai

Bus Abb aandhion Ka Intizar Hai
Maira Abb Rahna Baikaar Hai

Mai Bujhe Giya Hoon

Haan Ik Diya Hoon
Agar Hum Kahain Aur Wo Muskura Dein
Hum Un K Liye Zndagi Luta Dein

Har Ek Mor Par Hum Ghamon Ko Saza Dein
Chalo Zindagi Ko Mohabbat Bana Dein

Agar Khud Ko Bhoole Tou Kuch Bhi Na Bhoolay
K Chahat Main Un Ki KHUDA Ko Bhula Dein

Kabhi Gham Ki aandhi Jinhain Choo Na Paye
Wafao’n K Hum Wo Nasheman Bana Dein

Qayamat K Deewane Kehte Hain Hum Se
Chalo Un Chehre Se Parda Hata Dein

Saza Dein Sila Dein Bana Dein Mita Dein
Magar Wo Koi Faisla Suna Dein
Tere Naam ki thi jo Roshni usey khud tu ne bujha diya
Jissko jala saki thi na Dhoop usey chandni ne jala diya

Main ho gardishon ka maara howa mujhey ab apni khabar nahi
Wo jo shakhs tha mera rehnuma usey Rastoo main ganwaa diya

Jiss ko samjha tha to ne raqeeb,woh tera naseeb tha
Tere haath ki lakeer tha,usey to ne haath se hi mita diya

Mujhey ishq hai ke junoon, yeh faisla kabhi na ho saka
Mera naam zeenat-e-dasht tha,isey aandhiyon ne mita diya

Yeh udasiyoon ka jamal hai ke tumhara ivj-e-kamal hai
Ke kabhi zaat se bi chupa liya to kabhi shehar bhar ko suna diya

Mere omar ka gulistan abhi khula howa hai zaroor par
Wo jo phool thay tere chah ke unko mosamoo ne gira diya
cheharaa meraa thaa nigaahen us kii
Khaamushii mein bhii vo baaten us kii

mere chehare pe Gazal likhatii gaien
sher kahatii huii aankhen us kii

shoKh lamhon kaa pataa dene lagiin
tez hotii huii saansain us kii

aise mausam bhii guzaare ham ne
subahen jab apanii thii shaamen us kii

dhyaan mein us ke ye aalam thaa kabhii
aankh mahataab kii yaaden us kii

faisalaa mauj-e-havaa ne likkhaa
aandhiyaan merii bahaaren us kii

niind is soch se tuutii aksar
kis tarah kaTatii hain raaten us kii

dOor rah kar bhii sadaa rahatii hai
mujh ko thaame hue baahen us kii,
Bichra hai Jo aik baar Tu milte nahi daikha
iss zakhm ko hum nai kabi Silte nahi daikha

ik baar jise chaat gaye dhoop ki khwahish
Phir Shaakh pe iss phool ko khilte nahi daikha

aik paid Gira hai Tu Jarain tak nikal aayein
Jiss paid ko aandhi main b hilte nahi daikha

Kantoon main giray phool ko Choomay Ge Laiken
Titli k paron ko kabi Chiltay nahi daikha

Kiss Tarah mere Rooh harri kar gaya aakhir “N“
woh Zehar jisse jism main khulte nahi daikha..
Qadmon mai bhi takaan thi, gher bhi qareeb thaa
per kiya karain keh ab kay safar he ajib thaa

niklay agar to chaand dereechay mai ruk bhi jaaey
iss shehar bay-charaagh mai kis ka naseeb thaa

aandhi nay un ruton ko bhi bay-taaj ker diya
jin ka kabhi huma saa parinda naqeeb thaa

kuchh apnay aap say he usay kash-makash naa thi
mujh mai bhi koi shakhs ussi ka raqeeb thaa

poochha kisi nay mol to hairaan reh gaya
apni nigaah mai koi kitna ghareeb thaa

maqtal say aanay wali hawa ko bhi kab mila
aisa koi dereecha keh jo bay-saleeb thaa...
Mohabbat Na Rahe Tou Phir
Raha Kuch Bhi Nahi Kerta

k Itni Taiz aandhi Main
Bachaa Kuch Bhi Nahi Kerta

Wo Mujh Ko yaad Rakhna
Ab Gawara Hi Nahi Kerta

Main Jis Ko Yaad Rakhne
K Siwa Kuch Bhi Nahi Kerta

Kaha Tha Tujh Se Nadaan
k Zulm Ki Taiz Baarish Main

Siwaye Kachy Makano''n k
Gira Kuch Bhi Nahi Kerta ...
Waqt Ki taiz Dhuup Ho Ya
Tez aandhiya''''m

Kuch Qadmo''''n k
Nishaan Kabhi Nhi Khotay

Jinhe''''n Yaad Kr k
Muskura De''''n Aakhe''''n

Wo Log Duur Ho Kr Bhi
Duur Nhi Hotay ... (:
Sheher-E-Khayal-O-Khuwab Mein Abad Ho Gaya,

Itna Usay Parha Ke Mujhay Yaad Ho Gaya,,

Main Aaj Tak Hoon Jis Ke Fareeb-O-Hisar Main,

Wo Aur Hi Kisi Ka Mere Bad Ho Gaya,,

aandhi Hawa Ka Saath Nibhanay Ke Shok Mein,

Koi Tabah Hua'' Koi Barbad Ho Gaya,,

Apni To Sari Umr Aseeri Mein Kat Gayi,

Jis Ne Bhi Haar Maan Li'' Azaad Ho Gaya,,

Pehlay To Paaniyon Se Rahi Guftagu Meri,

Phir Youn Hua Ke Aaina Eejaad Ho Gaya . . . /