Tanhayi SMS Messages34 messages

Rehtay hain sath sath main or meri Tanhayi
kartay hain raz ki battayin main or meri Tanhayi
Din to guzar jata hay logoun ki bheer main
karty hain basar rat main or meri Tanhayi
Aye na yad kabi tumhain bhool kar be hum
karty hain tumhain yad main or meri Tanhayi
Sansoun ka kya brosa kab chour jain sath
magar rahain gay sath sath main or meri Tanhayi..
Ho Gayi Dil Ko Teri Yaad Se Ik Nisbat_e_Khaas Mohsin..

Ab Tou Shayed Hi Muyassar Kabi Tanhayi Ho..!
JO GUFTUGU NAHI WO BAT BHI SUNA DOUNGA, TO EK BAR TO MIL SAB GILAY MITA DOUNGA. MAJAL HAI MUJHAY TUJH SAY KOI JUDA KAR DAY TO JAHAN JAYE GI MAIN TUJHAY SADA DOUNGA. TERI GALI MAIN BHOT DIER SAY KHARTA HUN MAGAR, KISI NEY POCH LIYA TO JAWAB KIYA DOUNGA. YUHIN UDDAS RAHA TO DEHKNA EK DIN, TAMAM SEHAR MAIN TanhayiAN BICHA DOUNGA. WO DARD HI NA RAHA WARNA AYE SHAH MUJHAY GUMAN BHI NA THA KAY MAIN TUJHAY BHULA DOUNGA...........
Tanhayian jaane lagi zindagi muskurane lagi,
Naa din ka pata hai naa raat kaa pata.
Aap ki dosti ki khushboo hume mehkaane lagi,
Ek pal to karib aa jao dhadkan bhi awaaz lagane lagi..
,,DAIRY KA EK PAGE,,

Kal Tanhayi main jab
Apni dairy ko maine khola

Bohat se shair Dil ko lage
Bohat si shairi pe Dil dhuka

Ek aisa safa bhi is main aaya
Likha hua tha jo aanso''on se

Ke us ka unwaan Hamsafar tha
Woh safa sab se hi Moatber tha

Kuch aur aansoo phir is safe per tapke
Phir us se aage main parh na paaya

Apni Dairy ko bund karke
Uss ki yaadon main kho gaya main

Ke woh milti to kitna accha hota
In hi khayalon main sogaya main
taa-umr

yu hi hum jehmat uthate hain
chand akshar gungunate hain
ve batate hain raah duniya ko
apni galiyon ko bhul jaate hain
lete parwaaz ab nahi naayir
sirf parr apne fadfadate hain
paanv apne hi uth nahi paate
vo humhe har lamha bulate hain
aap kehte hain likha kya humne
aur hum hain ki muskurate hain
jinko dariya dubo nahi paaya
ek chullu bhar mein dhoob jaate hain
uske hothon ki maye kabhi pi thi
umr guzri hai ladkhadate hain
ek tasveer ka sahara le
apni Tanhayiaan bitate hain
Tanhayian jaane lagi zindagi muskurane lagi,
Naa din ka pata hai naa raat kaa pata.
Aap ki dosti ki khushboo hume mehkaane lagi,
Ek pal to karib aa jao dhadkan bhi awaaz lagane lagi
Gamm ek jehar hai phir vi piye jaanda haan main,
Raat di Tanhayi nu abaad karda jaanda haan main,
Rajni ! Mainu nahi pata per log kehnde ne......
Ke sounde hoye vi tera naam layi jaanda haan main.
Aansu nahi thamte
Aansu nahi thamte hain aankhon main abhi tak
Jaate hue rota woh mujhe chorr gaya tha

Armano ki Duniya ke anmol se sapne
pal main woh mere saamne sab torr gaya tha

Jaan deta tha meri her baat pe lekin yun hi
Besabab Duniya se meri rukh morr gaya tha

Din ki Tanhayi ka gham, raaton ki uddasi hamraah
Saare ghamon se rishta mera jorr gaya tha

Aey kaaaaash koi jaa ke usse pooche
Yahan kis ke sahare pe mujhe chor gaya tha...
Dua ka toota hua harf sard aah mein hai
Teri judayi ka manzar abhi nigah mein hai

Tere badalne ke bawajood tujhko chaha hai
Yeh aitraaf bhi shamil mere gunah mein hai

Azaab dega toh phir mujhko khwab bhi dega
Mein mutmaeen hoon mera dil teri panah mein hai

Jise bahar ke mehman khali chodh gaye
Wo ek makan abhi tak makiin ki chah mein hai

Mein bach bhi jaoon toh Tanhayi maar daalegi
Mera qabile ka har fard, Qatl gaah mein hai....
Tumhara naam sunte hi bahut kuchh yaad aata hai
Khushi me guzra hua ek zamana yaad aata hai

Itni door ho gaye ho humse tumhe bula bhi nahi sakte
Aankhe bandh karte hi tumhara chehra yaad aata hai

Kaise bhuladu tumhe ab tum hi batado Sanam
Kiya tha kabhi jo tumse wo wada yaad aata hai

Kabhi jaker sagar kinare banaya tha jo gharonda humne
Aaj toota hua ret ka wo mahel yaad aata hai

Kabhi socha na tha maine hum yu bichhad jayenge
Bachpan ka wo roothna wo manana yaad aata hai

Char pal wo Zindagi ke wo mehfilo ki roshni
Deepak ke ujale me bhi gum ka andhera yaad aata hai

Ab to is Tanhayi me ghoont ke mar jayenge hum
Hum se wo chhoota hua tumhara daman yaad aata hai
Raat Ki Tanhayi Mein Un Aahaton Ki Kashmakash,
Kaisi Ajeeb Hoti Hai In Karwaton Ki Kashmakash,

Har Anjuman Adhura Hai, Har Mehfil Akeli Hai,
Deedar Ko Tarasti, In Chaukhaton Ki Kashmakash,

Na Thikana Hai Koi Bhi Zinda Lashon Ke Liye,
Yehi Hai Sisakte Sunkate Marghaton Ki Kashmakash,

Kayi Gehre Sawalon Ka Karwan Ho Jaise Koi,
Yun Meri Peshani Pe Salwaton Ki Kashmakash,

Haadse To Sabhi Ne Dekhe Honge Sadkon Par,
Janta Hai Koi Kya, Jam Ghaton Ki Kashmakash...