Saki SMS Messages23 messages

Wahi Ranjshein,Wahi Hasrtein
Na hi Dard-E-Dil Mein Kami Hui

Hai Ajeeb See Meri Zindagi
Na Guzar Saki,Na Khatam Hui
Log poochtey hen kyon surkh hen tumhari Aankhen,
Hans k keh deti hon raat so na Saki,
Lakh chahon bhi magar yeh keh na sakon,
Raat ronay ki hasrat thi magar ro na Saki.
Ashoor ka dhal jana, Sughra(A.S) ka wo guzar jana,
Akber(A.S) teray seenay main, berchi ka utar jana,
Aye khoon-e-Ali Asghar(A.S) medan-e-qiamat main,
Shabir(A.S) ke chehray per kuch aur nikher jana,
Sajad(A.S) yeh kehtay thay, masoom Sakina(A.S) se,
Abbas(A.S) ke lashay se chup chap guzar jana,
nanhay se mujahid ko man nay ye nasihat ki,
Teeron ke muqabil bhi, bay khauf-o-khatar jana,
Ali ko rulaye ga ta hashr lahoo aksar
Zahra(AS) teri kaliyon ka sehra main bikhar jana
Farsh-e-aza jahan may bichatay rahenge hum,
paigham shah-e-din ka sunatay rahengay hum,
Pyasay Hussain(a.s) pyasiSakina(a.s) k naam per,
dushman b ho to pana pilatay rahenge hum..
Kahani Bana lo Latifa Bana Lo,
Jahan Milke Baitho Sakifa Bana Lo,
Agar Chahte ho Kufr Maut Marna,
Jise Chahe apna Khalifa Bana Lo
Bhoolne ki Adat Hai

Chalo Ishq nahi, Chaahne ki Adat hai
Kya karein ke Hamein Dusre ki Adat hai
Tu apne Sheesha-Gari ka na kar Hunar Zyada
Main Aaina hoon, Mujhe Tootne ki Adat hai
Wisal mein bhi wohi Faasle Sharab ke hain
Ke Usko Neend, Mujh ko Rat-Jagne ki Adat hai
Tera Naseeb hai Ae Dil Sada ki Mehroomi
Na Wo Saki hai, na Tujhe Maangne ki Adat hai
Ye Khud Aa Jati kab tak
Tu bhi usse na kar Yaad, Jise Bhoolne ki Adat hai.
yun miley k mulaqat ho na Saki

hont kanpe par baat ho na Saki

meri har nigah dastan keh gayi

unko shikayat rahi ki baat ho na Saki
Samahet kho chuka tha kiya usay sada daitay
Yahi bohat tha kay yah wakaea bhula daitay

Humaray ikhtiyar main hota gar yah sanam
Tairay khatoot kiya tasweer b jala daitay

Na dushmni b saleekay say ho Saki tum sy
Diya tha aas ka ik bar hi bujha daitay

Yahi bohat hy k khud ko sambhaal kr rakha
Hum unko mil b jo jatay to woh ganwa daitay

Jo apni zaat me dhoka aor faraib thy CHANDA
Woh humain kaisay wafa ka koi sila daitay
Tere Naam ki thi jo Roshni usey khud tu ne bujha diya
Jissko jala Saki thi na Dhoop usey chandni ne jala diya

Main ho gardishon ka maara howa mujhey ab apni khabar nahi
Wo jo shakhs tha mera rehnuma usey Rastoo main ganwaa diya

Jiss ko samjha tha to ne raqeeb,woh tera naseeb tha
Tere haath ki lakeer tha,usey to ne haath se hi mita diya

Mujhey ishq hai ke junoon, yeh faisla kabhi na ho saka
Mera naam zeenat-e-dasht tha,isey aandhiyon ne mita diya

Yeh udasiyoon ka jamal hai ke tumhara ivj-e-kamal hai
Ke kabhi zaat se bi chupa liya to kabhi shehar bhar ko suna diya

Mere omar ka gulistan abhi khula howa hai zaroor par
Wo jo phool thay tere chah ke unko mosamoo ne gira diya
Jheel Mein Chaand Nazar Aye Thi Hasarat USaki
Kab Se Ankhon Mein Liye Baitha Huun Surat USaki

Ek Din Mere Kinaron Mein Simat Jayegi
Tehare Paani Si Yeh Khamosh Muhabaat USaki

Bandh Mutii Ki Tarah Woh Kabhi Khulata Hi Nahin
Faasale Aur Badaa Deti Hai Kurbat USaki

Kisne Jaana Hai Badalate Hua Mausam Ka Mizaaz
Usko Chaho Toh Samaj Paaoge Fitrat USaki
Jo Poochta Hai Koi Surkh Kiun Hain Aj Ankhain
To Ankh Mal Ke Kheti Hon Ke Raat So Na Saki
Hazar Chahon Magar Yeh Na Khe Sakon Gi Kabhi Bhi
Ke Raat Ronay Ki Khuwhish Thi Magar Roo Na Saki
Jo Poochta Hai Koi Surkh Kiun Hain Aj Ankhain
To Ankh Mal Ke Kheti Hon Ke Raat So Na Saki
Hazar Chahon Magar Yeh Na Khe Sakon Gi Kabhi Bhi
Ke Raat Ronay Ki Khuwhish Thi Magar Roo Na Saki