Jab bhi qareeb aata hoon batanay k liye
Zindagi door rakhte hai satanay k liye
MehfilOn ki shaan na samajhna mujhay
Main to hansta hoOn gham chupanay k liye
In faaslOn ko na samjho meri be-Wafayi
Main door hoon tumse, paas aanay k liye
Mat jano haqeeqat mere in AansuOn ko
Main to roota hoon tumhein
Rulanay k liye
Koi gila nahi hai mujhay apni barbadi ka
Main to khail tha ho aag se jal janay k liye
Ab duniya kuch bhi kahay, mujhay parwa nahi
Main to jeeta tha zindagi, mar janay k liye