Rasta SMS Messages158 messages

mili hawaon mai urrny ki wo saza yaro

k mai zameen k reshtoon say kat gya yaro

wo bekhyal musafir, mai Rasta yaro

kahaan tha bus mai mery us ko rokna yaro

tmam shehr hi jis ki talash mai gum tha

mai kis say pochta us k ghar ka pta yaroo
Ae Chaand Usay Keha
Wo Jo Bohat Duur Basta Hy
Usay Koi Yaad Kerta Hy
Aur
Behisab Kerta Hy
Usay Kehna
Jab Wo Kisi Aur k Sung Hansta Hy
Tou Phir Duur Bohat Duur Kisi Ka
Dil Dharakta Hy
Aur
Jab Wo Udas Hota Hy
Pas Na Us K Koi
Gham Shanaas Hota Hy
Tou Phir Duur Bohat Duur Kisi Ki
Aankho''n Se
Lahu BaRasta Hy
Ae Chaand Usay Kehna
Jisay Wo Chorh Aaya Tha
Jisay Wo Torr Aaya Tha
Wo Aaj Bhi Tere Aas Pass
Basta Hy
Saath chalne main jo maza hota
Woh humain bhi kabhi mila hota
Yeh hi hasrat rahi hamari faqat
Saath apne koi chala hota
Hum bhatakte rahe the raahon
mein
koi Rasta pata chala hota
Thaam leta humain bhi barh ke koi
Haath hum ko koi mila hota
Hum ulajhte nahi zamane se
Ek jo Humsafar mera hota
Hum na thakte safar mein gar
Saath apne koi chala hota
mere chere per ye jo nishan se kbi ansu guzrte the yahn se faqt teri zra c aik han mera ser ja laga hain asman se sbi insan payher ho gay hain ab in me aey gi dharan kahan se ameer karwan aisa mila hai jo Rasta pochta karawan se muje ab aa gya hai ishq karna me lar skta hon ab sare jahn se phr inki b kami mehsos hogi uta mt khushk pate gulistan se abi sultan me hai jan baqi kahan jay ga tere aastan se
Mohabat aisa nagma hai
Zara bhi jhool hole mein
to sur qayam nahi hota
Mohabat aisa shola hai
hawa jaisi bhi chalti ho
kabhi madham nahi hota
Mohabat aisa rishta hai
k jis mein bandhan waloon k
diloon mein gham nahi hota
Mohabat aisa pouda hai
jo tub bhi sabz rehta hai
k jub mousam nahi hota
Mohabat aisa Rasta hai
agar pairoon mein larzish ho
to yeh mehram nahi hota
MOHABAT AISA DARYA HAI
K BARISH ROOTH BHI JAYE
TO PANI KUM NAHI HOTA
Tumhain jana ijazat hai
Koi b Rasta chun lo

Kesi ki muntazir tehro
Ya hum ko alwida kehdo
Apni yaden, apni batain lay ker jana bhool gaya,
Janay wala jaldi main tha, mil ker jana bhool gaya,

Mur, murr ker dekha tha usnay jatay Rastay main,
Jesay usnay kehna tha kuch, jo wo kehna bhol gaya,

Waqt-e-rukhsat meri ankhain ponch raha tha anchal se,
usko gham tha itna ziyadah, khud wo roona bhool gaya
Sochnay samajhnay say,
sath sath chalnay say,
doriyan simat ti hain,
faslay nahi chaltay,
khawab khawab ankhon main,
ratjagay nahi chaltay,
darguzar k halqay main,
maslay nahi chaltay,
dosti k raston ki,
parwarish zarori hai,
dosti k Rastay main,
khafgiyan nahi chalti,
do dilon ki qurbat main,
Teesra nahi hota,
wastay nahi chaltay.
Tera Mujh Pay Ikhtiar Baqi Hay
Deikho Kaisa Hisar Baqi Hay

Koi Chala Gia Phir B
Dil Rastay Pay Ghubar Baqi Hay

Ye Khowab Hay Ya Ehad Koi
Jis Ka Muj Pay Bar Baqi Hay

Aankh Mien Dhoaan Sa Rehta Hay
Aag Ki Koi Pukar Baqi Hay

Zindagi Ki Kari Piaas Mien
SameerAur Kis Ka Intizar Baqi Hay
Abi To zid hy UsAy Rasta bAdlny ki ''SAGAR''

kbi Wo Roay Ga Khud meri ChAhton k Liye
Daldal Thi Zindagi So Dhansta Chala Gaya,

Main Apni Bebasi Pe Yun Hansta Chala Gaya,

Pehle Dikha Raha Tha Mujhe Manzilon K Khwaab,

Phir Mere Samnay Se Woh Rasta Badal Gaya,

Main Ro Para Tha Jis Ki Judai Ko Soch Kar,

Woh Shaks Mere Haal Pe Hansta Chala Gaya,

Main Khud Lipat Gaya Tha Jisay Dost Jaan Kar,,

Woh Saanp Ki Tarha Mujhay Dasta Chala Gaya,!
Kabhi Un ka Naam Lena
Kabhi Un Ki Baat Kerna
Mera Zauq Un Ki Chahat
Mera Shauq Un Pe Marna
Kabhi Chalte Chalte Thamna
Aur Tham k Beth Jana
Kabhi Larkhara k Girna
Aur Gir K Phir Sambhalna
Kabhi Raat Raat Rona
Kabhi Din Charhey Sisakna
Kabhi Darya Darya Rehna
Kabhi Boondh Ko Tarasna
Hamesha Koi Wasta Hy Apna
YEHI ZINDAGI HY APNI
YEHI Rasta HY APNA ...!!!