Raah SMS Messages144 messages

Salam
Aye Quaid !

Tare baad bhi guzre hyn kuch log ,

Magar teri khushbu na gai Raah-guzar se . . .!

Happy Quaid Day
Zindagi ki Raah mein aage chalte jana har pal,
Mur ke na dekh beete hue pal
Jo nahin tha tera tujhe nahin mila,
Jo milgaya uske sath guzaar apna har pal
Kuchh hum bhi pagal hain
Kuchh tum bhi deewane
na tumko koi samjhe
Na humko koi jane

Hum kuchh aise nirale hain
Dil jo bhi kahe wo kerte hain
Hum dekh ke jinko jinda hain
Sach kahoon to un pe murte hain
Hum agar hain manchule
To wobhi hain ek Diljule
Jeewan ki Raah men jo door chule
Wo yaad karenge humeN
maan ke kuchh bhi

Mana honge hum kahain
aur tum kahin koi ghum nahin
Jayen chahe hum kahin bhi
Yaaden aayengi wohi haseen
Yaaden jub aayengi
Aise kuchh chhayengi
Beete huwe din raat ki tasweer layengi


kuchh hum bhi pagal hain
Kuchh tum bhi deewane ho
Na tumko koi samjhe
Na humko koi jane
taa-umr

yu hi hum jehmat uthate hain
chand akshar gungunate hain
ve batate hain Raah duniya ko
apni galiyon ko bhul jaate hain
lete parwaaz ab nahi naayir
sirf parr apne fadfadate hain
paanv apne hi uth nahi paate
vo humhe har lamha bulate hain
aap kehte hain likha kya humne
aur hum hain ki muskurate hain
jinko dariya dubo nahi paaya
ek chullu bhar mein dhoob jaate hain
uske hothon ki maye kabhi pi thi
umr guzri hai ladkhadate hain
ek tasveer ka sahara le
apni tanhayiaan bitate hain
“Mohabbat Naam Hai Mera”,
Agar Chaho Gey “Tum” Mujh Ko,
Tumhari Saans Se Pahle,
Tumhari Jaan Ban Jaoon,
Agar Dekho Gey “Tum” Mujh Ko,
Tumhari Ankh Se Pahle,
Tumhara Khawab Baan Jaoon,
Agar Sath Chalo Gey “Tum” Mere,
Tumhare Paoon Se Pahle,
Tumhari Raah Ban Jaoon,
“Mohabbat Naam Hai Mera”
Hamari kismet yeh thee kay hamsafar bhi hamein
Wohi milay jo bohut yaad aane vale thay,

Bhalaa gamon say kahaan haar jaanay vale thay,
Ham ansuon kee taran muskuraanay vale thay,
Hamiin nay kar diya ailaane –gumRaahi varna,
Hamaaray peechhay bohut loag aanay vale thay,
Main jin ko jaan kay peh-chaan bhi nhi sakta,
Kuchh aisay loag mera ghar jalaane vaale thay,
Hamari kismet yeh thee kay hamsafar bhi hamein,
Wohi milay jo bohut yaad aane vale thay,
Aansu nahi thamte
Aansu nahi thamte hain aankhon main abhi tak
Jaate hue rota woh mujhe chorr gaya tha

Armano ki Duniya ke anmol se sapne
pal main woh mere saamne sab torr gaya tha

Jaan deta tha meri her baat pe lekin yun hi
Besabab Duniya se meri rukh morr gaya tha

Din ki tanhayi ka gham, raaton ki uddasi hamRaah
Saare ghamon se rishta mera jorr gaya tha

Aey kaaaaash koi jaa ke usse pooche
Yahan kis ke sahare pe mujhe chor gaya tha...
kyu Zindagi ki rah main majboor hogaee
Itne howe kareeb key hum dhur hogaee
Aisa nahi key hum ko koi bhi khushi nahi
Lekin ye Zindagi tho koii Zindagi nahi
Kyus key faseley humein manzoor hogee
Iney howe Kareeb key hum dhur hogaee
Paya Tumhain tho Hum ko laga Tumko Kho dia
Hum Dil pe Roye Aur ye Dil Hum pe Roo dia
Palkoon se khawab kyu Gire kyu churr hogaee
Itne howe Kareeb key hum dhur hogae
Kyu Zindagi ki Raah main Majboor hogaee
Itne howe Kareeb ke ........... Dhur hogaee
dil ke daryaa mein utar ke dekho
tum mohabbat mujh se kar ke dekho

phir tumhein meri talab ho shaayad
tum kabhi mujh se bichaR ke dekho

ishq ka saaghar bohat hai gehraa
Doob kar khud bhi ubhar ke dekho

dunya phir lagne lagegi dilkash
isko tum meri nazar se dekho

pyaar kehte hain kise,zaraa tum
meri baahon mein bikhar ke dekho

mera gham mehsoos karna ho to
meri Raahon se guzar ke dekho

kya asar hota hai berukhii ka?
meri chaahat se mukar ke dekho

jo mohabbat ne hai dekha,tum bhii
uski aankhon meiN sanwar ke dekho
Zindagi ki Raah mein aage chalte jana har pal,

Mur ke na dekh beete hue pal
Jo nahin tha tera tujhe nahin mila,

Jo milgaya uske sath guzaar apna har pal

Gile kagaz ki tarha hai jindgi apni,
koi jalata bhi nahi or koi bahata bhi nahi,
is kadar akele hai Raahon me dil ki,
koi satata bhi nahi aur koi manata bhi nahi
mukaam nahi milta,
Jisko jee bhar pyaar kar sake wo insaan nahi milta,
Aasma k sitaro ki tarah hamare armaan bhi bikhrte rehte hai,
Jo apne dil mein hamein jagah de sake wo meharbaan nahi milta