Pyar k SMS Messages378 messages

Hum aksar ye samajhtay hain
Jisay hum Pyar kertay hain
Usay hum bhool bathay hain
Mager aisa nahi hota
mohabbat daimi such hay
mohabbat tehar jati hay
Hamari baat k ander
Mohabbat baith jati hay
Hamari zaat k ander
Mager ye kam nahi hoti
Kisi bhi dukh ki surat mein
Kabhi koi zaroorat mein
Kabhi anjaan se gham mein
Kabhi lehjay ki thandak mein
Udaasi ki zaroorat mein
Kabhi barish ki surat mein
Hamari aankh k ander
Kabhi ab-e-rawan ban ker
Kabhi qatray ki surat mein
Bazahir aisa lagta hay
usse hum bhool baithay hain
magar aisa nahi hota
magar aisa nahi hota
ye hargiz kam nahi hoti...
Jhotha tha tera pyar,
par phir bhi tujhse nafrat nahin kar sake,
isse beebasi hi khaenge ki hum tujhe baulane ka natak bhi na kar sake,
yeh nahin kahenge ki teri yaad mein rote rahein,
afsoos to iss baat ka hain ki tere jhote Pyar ko yaad kar ke hi hum muskurate rahe!
Hum apne Pyar ka izhar isliye nhi karte hain

kyunk hum ap ki HAAN ya NA se darte hain.

Agar ap ne ker di HAAN tu khushi se maar jain gay.

Agar ap ne ker di NA tu ro ro ke mar jain gay

Baat yeah nhi ke hum apni maut se darte hain

humari maut per na beh jain ap ke aanso

hum un do ansoun ki qadar karte hain
Pyar ka pehla khat likhna mai waqt toh laghta hai

naye pariendo ko udne main waqt toh lagta hai

jism ki baat nahi thi unke dil tak jana tha

lambi dori tayen karne mein waqt toh laght hai
Tumhare baghair jena kia,
jeene ka khawab bhi nahi dekh sakta..
saanso k baghair tu shayad kuch pal jee sakta ho,
laikin tumhare bina nahi..
tum wo pehle larki ho jise jaan se barh ker Pyar kerne laga ho..
mera aaj mere kal,
mere din mere pal,mere duaon mein mere sadao mein..
sirf tum or sirf tum ho.
tare toot jaen ge,
chand bujh jae ga,
laikin waqt yunhi ther jae ga..
umeed ki akhiri kiran nikalne tuk akhiri saans chalne tuk,
mein tumhara intezar karo ga..
Karo na Fikar agar wo Naraz ho jaye
Naraz hotey hain wohi jo Pyar kartey hain.../
Har phool ki ajab kahani hai,
Chup rehna bhi Pyar ki nishani hai,
Kahi koi zakhm nahi phir bhi kyu yeh ehsas hai,
Lagta hai dil ka ek tukda aj bhi us ke paas hai
Jane kis baat ki mujhko saja deta hai,
meri hasti hui ankhon ko rula deta hai.
Ek muddat se khabar bhi nahi teri,
koi is tarah bhi kya apne Pyar ko bhula deta hai.
Khuda ne kaash mohabbat banaayi na hoti
toh aaj iss tarah hamare Pyar ki rusvaayi na hoti
kaash unke dil mein zara si wafa hoti
toh iss tarah mere saath bewafaayi na hoti
Kya pata tha vo bhi itna Pyar karke dil tod jaayega
itna pyar dil mein bhar ke muh mod jaayega
ae bewafa tu jis se bhi dil lagaayega dekhna
vo bhi aise hi tera dil tod jaayega

Kya faaida hua hai ab intezaar karke
Gardish mein aagaye hai..Hum tumse Pyar karke
Iss daur mein Wafa ka..Hum karobaar karke
Sunnat nibha rahe hai..Dushman se Pyar karke
Dil ke dard ko dil torne wale kya jana,
Pyar ki rasmo ke yeh zamane wale kya jane,
Hoti hai kitni takliff kabar ke niche,
Yeh upar se phool charane wale kya jane.