Phir SMS Messages1161 messages

Apni khushiyan luta kar tujh pe kurban ho jaon,

kash kuch din tery shehr main mehman ho jaon,

Tu apna nayab DIL mujh ko de day aur Phir mangay,

Main mukar jaon aur bey-imaan ho jaon,

Tu mujh pe sitam karay har kisi ki tarha,

Main teri is ada par b meharban ho jaon,

Tu mery paon k nichay se zameen

kheench layaur main tera aasman ho jaon

Tu mujhse door door bhagti Phiray,

Khuda koi mujzaa karey aur main tera NAAM ho jaon...
= * = SUNO = * =

Suno Hum Toot Jayenge

K Duuri She Na Payenge

Judaai Maar Dale Gi

Suno Ye Aankhain Bojhal Hain

Inhain Kaise Behlayen Ge

Suno Hum So Na Payen Ge

Judaai Maar Dale Gi

Suno Ye Dil Tumhara Hai

Mera Ye Tum Se Wada Hai

Suno Ab Aisa Mat Kerna

K Sach Much Toot Jayen Hum

K Phir Simat Na Payen Hum

Suno Meri Jaan Sirf Tum Ho

Meri Kul Kainaat Tum Ho

Suno Mohabbat Kam Nahi Hogi

Kabhi Bhi Kam Nahi Hogi . . .
Kisi K Khwab Main Utra Na Qurbaton Main Raha
Sitam Tou Ye Hai K Phir Bhi Wazahato’n Main Raha

Khud Apni Zaat Tak Ka Adraak Bhi Na Ker Paya
Main Khalwato’n Se Nikal Ker Bhi Wehshato’n Main Raha

Mera Wajood Raha Jins Be-Talab Ki Terha
Main Lafz Deta Gaya Khud Izafato’n Main Raha

Haroof Jis K Tarashey Jisey La-Taab Kia
Khud Is Kitaab Ki Minha Ibarato’n Main Raha

Bohat Gumaan Tha Khud Tez Kaam Hone Ka
Jo Qafley Se Nikla Tou Rasto’n Main Raha

Qarar Milta Bhi Kaise Kisi Peher
Thak K Bhi Main Hamesha Mussafato’n Main Raha
Wo Kaisa Shaks Hai
K Har Roz Saza Deta Hai

Phir Wo Hansta Bhi Hai Itna
K Zakhm Bhula Deta Hai

Kabhi Jo Ro De Tou Wo
Mujh KO BHi Rula Deta Ho

Us Se Poocho''n K Bata
Kis Se Mohabbat Hai Tujhe

Naam Sargoshi Main
Mera Hi Bata Deta Hai

Khud Hi Kehta Hai
Na Dohrao''n Puraani Yaadai''n

Main Na Dohrao''n Tou
Phir Khud Hi Suna Deta Hai .

Kabhii jo hum nahii hongey
kaho kis ko batao gey ???
woh apnii uljahane''n saarii
woh be''chenii mein doobay pal
woh aankhon mein chupay aansoo
kise Phir tum dikhao gey ???
kabhii jo hum nahii hongey
buhut be''chain ho gey tum
buhut tanha reh gao gey
kabhii jo hum nahii hongey
abhii bhii tum nahii samjhay ???
hamarii un-kahii baatein
magar jab yaad aayein gey
buhut tum ko rulaai''n gey
buhut chaho gey Phir milna
hamein na dhoond pao gey
kabhii jo hum nahii hongey ... !
Her kisi key lub yeh poochtey hein

Her uthti nazar mai aik sawaal hai

jab fard taraqqi kertey hain

Phir qoumoon ko kyun zawaal hai

khoobsurat chehroon key bud surat rawayaye hein

tum hi kaho Aey logo yehi his-e-jamaal hai?

pyaar key matlaashi bhi nafratein philaatein hein

dosroon pey takya karney mai, apna kia kamala hey,

dosti ki aar mai, umeedein lagaey bethein hein

khud-farebi ka pyaara sa yeh mehaz ik jaal hey.
apnay haathoon se yun chehare ko chupaate kion ho
mujh se sharmaate ho to saamane aate kion ho

tum kabhii merii tarah kar bhii lo iqaraar-e-vafaa

piyar karate ho to Phir piyar chupaate kion ho

ashk aunkhoon main merii dekh ke rote kion ho

dil bhar aataa hai to Phir dil ko dukhaate kion ho

in se vaabastaa hai jab meraa muqaddar Phir tum

mere shaanoon se ye zulf hataate kion ho

roz mar mar ke mujhe jeene ko kahte kion ho

milane aate ho to Phir laut ke jaate kion ho
Is Zamanay Say Na Hum Koi Gilaa Rakhain Gain
Dil Lagayein Gain To Na Shart-E-Wafa Rakhain Gain

Na Dikhayain Gain Kabhi Dil Pe Lage Zakhm Unhain
Dard Uthay Ga Magar Dil Ko Daba Rakhain Gain

Jaan De Daingain Agar Aik Ishaara Kar De
Ham Usay Apne Liye Bhi Na Bacha Ke Rakhain Gain

Sab Hata Daingain Teri Raah Ki Rukawat Hamdam
Ghar Ke Darwazay Ko Har Waqt Khula Rakhain Gain

Unki Har Baat Ko Bhoolay Say Na Bhoolain Gain Kabhi
Unki Yadoon Ko Bhi Seenay Se Laga Rakhain Gain

Toot Bhi Jaayegi Umeed Jo Tere Aanay Ki
Ek Diya Phir Bhi Hawaaon Main Jala Rakhain Gain
Chehre pe mere zulf ko phailaao kisi din
Kyaa roz garajte ho baras jaao kisii din

Raazon ki tarha utro mere dil mein kisi shab
Dastak pe mere haath ki khul jaao kisi din

Pedon ki tarah husn ki baarish mein nahaa loon
Baadal ki tarha jhoom ke ghirr aao kisi din

Khushboo ki tarha guzro mere dil ki gali se
Phoolon ki tarha mujh pe bikhar jaao kisi din

Phir haath ko Khairaat mile band-e-qabaa ki
Phir lutf-e-shab- a-vasl ko dohraao kisi din

Guzrein jo mere ghar se to ruk jaayein sitaare
Iss tarha meri raat ko chamkaao kisi din

Main apni har ik saans usi raat ko de doon
Sarr rakh ke mere seene pe so jaao kisi din
Jo mausam beet jata hai dobara kyon nahin ata
kahin se laut ker bachpan hamara kyon nahin ata

yahan anay ko to har din kissi ke saath ata hai
jesay is dil ne reh reh kar pukara kyon nahin ata

who jis ki lo mohabbat ki jabeen ka istara thi
to Phir rstay hamary mein wo roshan sitara kyon nahin ata

bohat hairat hai ab baaghon mein jab kaliyan chatakti hain
hamary dehyan mein lehja tumhara kyon nahin ata

kabhi phelay hoay pairon se jab kirnein jhalakti hain
tasawur main un ankhoon ka ishara kyon nahin ata

bhatakta Phir raha hoon din ke is weraan jangal mein
mehakti sham ka rangeen kinara kyon nahin ata
Mein sochta hoon kuch uss se kahon
koi baat mohabat, ulfat ki
koi baat sunehrey khwaboun ki
koi baat ke jis k harf harf se
be-naam si khushbu poothi ho
Phir sochta hon kya hasil hai
gar uss ko sab kuch keh bhi diya
ye lafz be-kaar jayengey
mai sochta hoon aik geet likoon
unn komal pyare hathon par
uss phoolon waley aanchal par
jisey audh ke wo ek pari lage
kabhi sochta hoon koi nazam kahoon
bas jis main uss ki baatain hon
un gehri gehri aankhon par
jin aankhuon main kai sadiyon k
kai qissay hain, afsanay hain
Phir aksar yun bhi sochta hoon
main kuch na kahoon ye behtar hai
har zakhm chupa kar seenay main
bas dukh hii sahoon ye behtar hai
jab unko aitbaar nahi hai
jahan lafz yaqeen se khali hon
wahan chup hii rahon ye behter hai.
Din Raat Sulagne Lagte Hain Jab Yaad Tumhari Aati Hai

Hum Aap Bikherne Lagte Hain Jab Yaad Tumhari Aati Hai

Kuch Apni Tum Ko Batlayen Kia Haal Humara Hota Hai

Hum Tanha Rone Lagte Hain Jab Yaad Tumhaari Aati Hai

Ye Saansain Bhi Tham Jati Hain Ye Dhadkan Bhi Ruk Jati Hai

Hum Jeene Marne Lagte Hai Jab Yaad Tumhari Aati Hai

Jab Bhool Tumhain Hum Jate Hain Tou Khud Ko Murda Paate Hain

Hum Phir Se Jeene Lagte Hain Jab Yaad Tumhari Aati Hai