Parta hai SMS Messages23 messages

1 Pathan Peshawar me 10 hazar ka 1 par se urny wala Kaboter bech raha tha.
Angraez karid k apny mulk ly geya jab usny wahan uraya to wo 2no paron sy urny laga.
Angreaz ne pucha bahi tu to wahan 1 par sy ur raha tha to kaboter bola.
.
.
.
.
.
.
Bahi wo Peshawar hai wahan 1 hath pechy rakh k urna Parta hai.
Muskurana hi Khushi nahin hoti....

Umar bitana hi Zindagi nahin hoti....

Khud ko Mitana Parta hai DOSTI main....

kyun ke DOST kehna hi DOSTI nahin hoti
Muskurana hi to Khushi nahi hoti,
Umer Bitana hi to zindagi nahi hoti,
Khud ko mitana Parta hai Dosti mein,
Kyun k Sirf Dost Kehene se Hi Dosti Nahi Hoti..
Pehlay Pakistan Ki Abadi Khatarnaak Hud Se Tajawaz Kar Chuki Thi Lekin Aab KHUDKASH DHAMAKOON ki Wajha Se Kaffi Control Mai Hai ..

Farq To Parta hai

" GEO MUSHARAF "
Kuch din pehley tak mein apney mobile par alaram laga kar sota tha ta k subha prayer k liye uth jayoon laikin jab sey zardari nein sadarat k liye ummeedwari ka elan kiya hai light na honey kee waja sey mein Azan sey pehley hee uth jata hoon,

Farq to Parta hai,

"Geo Zardari" tu ein nirri bemari
Circus ka maalik Sardar ko dante hwe
Be parwai ki b hadd h0ti hai
tune SHAIR ko khula ch0r dia

Sardar: Is se kia farq Parta hai
SHAIR ko kon chori kare ga.;-)
Aj kal Bikes ki Head light py ALLAH k name k stiker lagy hoey hoty hain.

jb light jalti hai to os ka aks zamin py Parta hai jo k be''adbi hai...

Subha Bakhair
Uuffoohh!!
Dosti ka sara kaam mujhe he karna Parta hai

Love bhi

Miss bhi

Care bhi

Sms bhi

Chalo ab eik kaam aap bhi kar do. . .

Eik sweet see smile pas kar do. . .
Ta''kay hamari

Morning
Very Very Good Ho jae . ;->
Hum sirf tujh hi ko chahte hain,

Ye baat b aaj batatain hain,

To marte marte jeta hai,

Hum jete ji mar jate hain,

Ro Parta hai sun kar wo,

Jise Dil ka haal sunate hain,

Jab lagti hai Dil ko choot,

Tab ja kar Gazal banate hain..
Aalam-E-Mohabbat Main
Ik Kamal-E-Wehshat Main
Besabab Rafaqat Main
Dukh Uthana Partaa Hai
Titlian Pakarne Ko
Door Jana Parta hai
Main Ikswin sadi main jana chaun ya na jana chahun,is say kya farq Parta hai?waqt ka seel rawan,chahton ko bahata howa,sapnon ko dabota howa,ankhon ko bhigota howa,in masafton tak lay hi jaega jinhain abhi daikha nhi,main chalun ya na chalun,main rukun ya na rukun,main rahun ya na rahun,mere hone ya na hone say kya farq Parta hai?waqt ka karwan to rukta hi nhi.ye chalta hai aur chalta hi rehta hai...dam tori biswin sadi bohat saray dukhon ko meri sanson ki mala main paro ker guzarti chali gai aur main mahi bay aab ki tarhan,dard k kinaray par khara,kisi maseeha ka muntazir tha.
Izzaton say barh ker to aur kuch nahi hota
Chahton ki durri bhi,
Torna hi parti hai
Manzilon ki kashti bhi,
Morna hi parti hai
Bhoolna hi Parta hai,
Khud say piyare lougon ko
Aur dil ke aangan mein,
Naqsh un ki tasweerain
Kuch haseen lafzon ki,
Kuch haseen tehreerain
Paaon jin mein jukrain hoon,
Kholna hi parti hain..
Khoobsurat aankhon mein basnay walay khawabon ko
Nochna hi Parta hai
Dil se milta her rishta torna hi Parta hai...
Kyun ke....
Izzaton se barh ker to aur kuch nahi hota....!