Matam SMS Messages20 messages

Percham-e- Hazrt-e-Abbas Uthay Rukh Na
Shor-e-Matam Sy Zamany Ko Jagay Rukhna
Gham-e-Shabbir Ibadat Hy Koi Rasm Nahi
Apni Naslon ko Azadaar Banay Rukhna
Aye Jhoot Ke Fatwoon Ki Dukan Kholne Wale
Farman-e-Payumber Ko Na Is Tarah Bhula De
Hum Matam-e-Shabbir Se Ruk Jain Gay Aye Dost
Shabbir-o-Shareeyat Main Zara Farq Bata De
Daagh e Matam jo seenay se laga rakkha hai
Dil ko Mola ka aza khana bana rakkha hai
Mushkilo soch k aana mere ghar ki jaanib
Meine Ghazi(AS) ka alam ghar pe laga rakkha hai
Da Charsadday Zalmii

Che WATAN Matam Matam Vee,
Aow Pa Hr Koor Kii Gham Vee,
Che Barood Vee Da Asmana,
Aow Da Zmakey Lande Bom Vee,
Che Pa Shundo Bus Jara Vee,
Starge Hmm Dhakey Da Nam Vee,
Che Da Gullon Pa Mosam Kii,
Da Golo, Dazo Mosam Vee,
Che Bajaur, Waziristan Ke,
Hmm Pa Swat Ke Muharam Vee,
Nu Za Ba Dasey AKHTAR Sa Kram,
Che Bachi Me Qatal Kiigii,
Mour Aow Plar Me Zobal Kiigii,
Sarr Sajde La Che Tittegii, Pe Bomoona Rawarigii,
RABA Kala Ba Sahar She,
Che Da Gharibano AKHTAR Shey..!!
Sochta Huun k Usay bhi Neend Aati Ho gi
Ya Meri Terha Faqat Ashk Bahati Ho ti
Wo Meri Shakal Mera Naam bhoolne Waali
Apni Tasweer se ki aaankh milati ho gi
Is Zameen Per bhi hai Sailab Mere Ashko''n Se
Mere Matam Ki Sada Arsh Hilati Ho gi
Shaam Hote Hi Chaukhat pe Jala Ker Shamae''n
Apni Palkon Pe Kai Khuwab Sajati ho gi
Us ne Silwa Bhi Liye Honge Siyah Rung k Libaas
Ab Moharram Ki Terha Eid Manati ho gi
Hoti Hogi Mere Bosay Ki talab Main Pagal
Jab Zulfoon Main Koi Phool Sajati Ho gi
MEre Tareek Zamano Se Nikalne Waali
Roshni Tujh Ko Meri Yaad Dilati ho gi
Dil Ki Masoom Ragain Khud hi Sulagti Hongi
Junhi Tasweer Ka Kona wo Jalati Ho gi
Roop De Ker Mujhe Us main Kisi Sehzaade ka
Apne Bachon Ko Kahani Wo Sunaati Ho gi
Tumhare Gam Ka Mausam Hai Abhi Tak,
Lab-E-Tashnaa Pe Shabnam Hai Abhi Tak,

Safar Mein Aable Hi Aable The,
Magar Pairon Mein Dam-Kham Hai Abhi Tak,

Tumhare Band Dar Mujhse Khafa Hai,
Mere Jeene Ka Matam Hai Abhi Tak,

Teri Aab-O-Hawa Raas Aa Gayi Thi,
Bichhad Jaane Ka Kuch Gam Hai Abhi Tak,

Gayi Rutt Mein Hui Thi Fasal Achhi,
Idhar Paani Gira Kam Hai Abhi Tak,

Main Khud Ko Dhundta Phirta Hoon Sab Mein,
Junoon Ka Ek Aalam Hai Abhi Tak..
Gir Jaye Jo Dewar Tu Matam Nahi Kertay
Kartay Hain Boht Log Magar Hum Nahi Kertay
Hai Apni Tabiat Main Jo Khami Tu Yehi Hai
Hum Ishq Tu Kertay Hain Magar Kam Nahi Kertay
Nafrat Se Tu Behter Hai Ke Rastay Hi Juda Hoon
Bekar Guzar Gahon Ko Baham Nahi Kertay
Her Sans Mein Dozakh Ki Tapish See Hai Magar Hum
Soraj Ki Terhan Aag Ko Madham Nahi Kertay
Kia Ilm Ke Roatay Hon Tu Mar Jatay Hoon Ali
Wo Log Jo Kabhi Ankhon Ko Naam Nahi Kertay
Sochta hoon k usay neend bhi aati ho gee
Ya meri tarah ashq bahati ho gee
Woh meri shakal mera naam bholanay wali
Apni tasveer say kya aankh milati ho gee
Is zameen par bhi hai selaab meray ashqon say
Meray Matam ki sada arsh hilati ho gee