Khusbo SMS Messages19 messages

Tumharay naam likhta hoon....!!

Tumharay naam likhta hoon...!!
Tumhare naam likhta hun,
Muhabbat aur Khusboo ke,
Wafaon ke massarat ke,
Dhadakte dil ke wo nagme,
Jo insano ki dharti par,
Har eek mausam me gaye hain !

Tumhare naam likhta hun,
Akhuwat aur ulfat ke,
Sadakat aur azmat ke,
Wo phoolon jaise afsane,
Jo iss duniyan me logon ne,
Sune hain aur sunaye hain !
Hussain teray lahoo ki Khusbo falak k daaman say arhi hay

ye khoon-e-nahaq hay khun chupay ga?

jissay ye dunia chupa rahi hay
Samandar nay kaha
Mohabbat samandar key gehraiyo may chepie hoe eik seepe hai

Jiss may chahat jessa anmol moti mojood hai

Baadal nay kaha
Mohabbat eik ~dhanak hai
Jiss may har Rang Nomaya hota hai...

Shairr nay kaha
Mohabbat eik esse ghazal hai
Jo har eik sunay walay kay dil may
uttar te chali jate hai

Saaz nay kaha
Mohabbat eik essa geet hai
Jo Dil may uttar jata hai

Malee nay kaha
Mohabbat gulshan kay phool key woh dilkash Khusboo hai
Jiss may sara
gulshan mehak uttah h
Rangat teri zulfo ki ghatao ne churai
Khusboo tere anchal se hawao ne udai
Paimane ka dil na tut jaye to kahu main
Hai cheez gazab ki jo nigaho ne pilai
Barish Ki Rim Jhim bhi Kuch Ga Rahi...
Betabi Dil Pe Mere Chaah Rahi Hai...
Khusboo Hawa Beete Din La Rahi Hai...
Armano Pe Sitam Ye Dhaa Rahi...
Meri Nazar Me Koee Aa Rahi Hai...
Shamma Ki Roshini Bhi Ja Rahi Hai...
Teri Yaad Aa Rahi Hai...
Aa Rahi Hai...Aa Rahi Hai...
Ae chand apni chandni un per nichawar krna

unhain apni aagosh mein lena

unhain pyar se thapki dena

or kehna

"UNHAIN KOI YAD KRTA HA"

Ae barish apne nanhe qatron se

un k chehre ko bigho dena un k

galon ko chom lena un k

hathon pe bosa dena or kehna

"UNHAIN KOI YAD KRTA HAI"

Ae pholo apni Khusbo se un k

angan ko mehka dena un k

ghar ko moatar rakhna apni

pattian un pe bikhra dena unhain

halka sa jagana or kehna

"UNHAIN KOI YAD KRTA HA.
jahan phoolo ko khilna tha wahin khilte to acha tha
tumhi ko humne chaha tha tumhi milte to acha tha
koi aakar humein pooche tumhein kaise bhulaya hai
tumhare khat ko ashkoN se shab-e-ghum mein jalaya hai
hazaron zakhm aise hain agar silte to acha tha
tumhi ko hum ne chaha tha tumhi milte to acha tha
tumhein jitna bhulaya hai tumhari yaad aai hai
bahar-e-noh jo ai hai wohi Khusboo hi lai hai
tumhare lab meri khaatir agar hilte to acha tha
tumhi ko humne chaha tha tumhi milte to acha tha
jahan phoolo ko khilna tha wahin khilte to acha tha
tumhi ko humne chaha tha tumhi milte to acha tha
Rangat teri zulfo ki ghatao ne churai,
Khusboo tere anchal se hawao ne udai.
Paimane ka dil na tut jaye to kahu main,
Hai cheez gazab ki jo nigaho ne pilai.
Jinn ko dunya ki nigahoon sey chupaye rakha

jinn ko ik umar kalaijey sey lagaye rakha

Dil mai jinn ko aik eimaan banaye rakha

Tu ney dunay ki nigahoon sey jo bach ker likhey

Saal ha saal mere naam barabar likhey

Kabhi din ko kabhi raat ko uth ker likhey

Unn Khusboo mai basey khat ko jalata kaisey

Pyarr mai doobey hoye khat mai jalata kaisey

Tere hathon sey likhey khat mai jalata kaisey

Tere khat ajj mai ghum mai baaha aya hon

Aag pani mei mai ajj laga aya hon
rukhsat huwa to ankh mila kar be nahi gaya
wo kyun gaya ye bata kar be nahi gaya

wo yon gaya kay bada-e-saba yaad aagai
ahsas tak be hum ko dila kar nahi gaya

ghar main hay aj tak wohi Khusbo basi hoi
lagta hay kay jasay wo aa kar hi nahi gaya

rehnay diya na us nay kisi kam ka mujy
our khak mian be muj ko mila kar nahigaya
Tumhain Maloom Hai Ham Ne
Kisi K Hijar Main Ye Zindagi Kaise Guzari Hai

Har Ik Khusboo Ki Aahat Per
Guman Us Ka Guzarta Hai
Har Ek Saat Pe Dil Aankhon Main Aaker Beth Jata Hai
Kai Pehlo Badalti Khuwahishain Hathon Ko Phelaie
Duain Mangti Aur Hanpti
Dil Se Guzarti Hain

Magar Jo Hijar Lahaq Hai
Wo Jism-O-Jan Ki Deewarain Girata Hai
Umeedo Beem Ki Aankhon Se
Beenai K Sab Manzaroon Ko Khak Karta Aur Mitata Hai

So Ham Bhi Khak Hain
Aur Khak Ki Qismat Main Likha Gia Hai
Phool se pehle Khusboo ko to dekho,

karne se pehle kaam ko to dekho.

kisike roop mein diwana naa bano,

surat se pehle uske dil ko to dekho.