Khat SMS Messages518 messages

Pyar ko chod kar tum koi aur baatkaro
Ab mujhe pyar ki har baat se dar lagta hai
Meri Khatir na woh badnam kahin ho jaye
Esliye unki har mulaqat se dar lagta hai
Dil behal jaey tu log chor dete hain,
koi or mil jaey tu log chor dete hain,
4 din ki chandani ka kya karna,
Chandani dhal jaey tu log chor dete hain,
Qasmeen Tu Khaty hain sada sath deney ki Zehan badal jay tu log chor dety hain,
Aj kl k Logon ka kya Bharosa...!
Mosam badal jay tu log chor dete hain,
Log "Dosti" karty hain matlab k liye,
Matlab nikal jaye tu log chor Dyte hain.......
zindagik kisi mor per khud ko tanha na samajhna,me tere sath hun apne se juda na samjhna,me tujhse jan se bad kar pyar karta hun,meri muhabbat ko bura na sajhna,tum phuloon ki tarah khubsurat ho,masoom ho,dekho meri is tareef ko bejaan na samjhna,umar bher tera sath dene ka wada kiya he,zindagi ne agar sath na diya to bewafa na samjhna,ab b tune mere pyar ko thukraya sanam,ise mera muqaddar jan na apni Khata na samjhna..
AAJ JO UTHE HAATH DUA KI KhatIR
BAND HOONTON NE APKA NAAM LIYE
JO DENA CHAHA KHUDA NE MUJHE KUCH
WOH SAB MEIN NE APP K LIYE MANG LIYA
Chahe wafa me thokre Khate raho,

fir bhi rasme wade nibhate raho.

Yahi to ishq ka dastoor hai yaaro,

ki jakhm Khate raho aur bas muskurate raho.
Jaanta hu ke bewafa hain who,
Fir bhi dil ke haatho fareb Khata hu.
Roz kehta hu ki bhool jaaunga usko,
Roz isi baat ko bhool jaata hu.
apni aghoosh main ik rooz chupa loo mujh ko ,
gham-e-duniya se meri jaan bacha loo mujh ko ,
in hi isharoon me de di ha ijazat maine ,
mangne se na milloo to chura loo mujh ko ,
apne saye se bhi ap to mujh ko dar lagta ha ,
ho jo mumkin to nigahoon me basa lo mujh ko ,
unhe likhna ha ik rooz Khat me ye jana ,
main to khud ka bhi nahi apna bna lo mujh ko.
main lafjo se kuch bhi izhaar nahi karta,iska matlab yeh nahi ki main usse pyar nahi karta,cahata hoon main usse aaj bhi par uski soch main apna waqt bekaar nahi karta,kahin tamasha na ban jaye mohabbat meri isliye ape dard ko izhar nahi karta, jo kuch mila hai usi mai khush hoon main, uske liye khuda se takrar nahi karta,par kuch to baat hai uski fitrat mai jalim warna usse cahane ki Khata baar-baar nahi karta.

Uss k honton ka tabassum rahay qayaim “YA RUB”
Uss k jeevan main khushiyon ka basaira ker day…

Tu meri “KARB” ki raaton ko bhalay Khatam na ker,
Uss ke her shaam k aakhir mai “SAWAIRA” ker day.

Uss k “DIL” k kisi konay main jaga day mujh ko…
Uss ki “AANKHON” ko meray sapnon say khaira ker day

Yeh meray dil ki dua hay “MERA MOLA SUN LAY”…
Saaaari duniya say chupa ker “USSAY MERA KER DAY”
Bina Jurm-o-Khata, Khood ko koi aisi Saza Dena
Boht Mushkil hai Meri Janaa!! Tumhein bilkul Bhula Dena
Mere Maula! agar Tuu ne dubara Zindagi Bakhsi
To bus itni Guzarish hai, Mujhe Patthar bana dena
Mai Zehni tor per Khood ko zara Tayyar kar loongi
Bichar jane se kuch pehley HAMDAM bata dena
Tumhari ye Shararat aaj tak naqsh hai Dharkan per
Dabe paoon chale ana, Mera Jhumka hila dena
Phir is k baad jis k paas b jao, ijazat hai
Mujhe ek baar apne Naam ki Mehndi laga dena
Faqat itna kaha tha na?.. Mujhe kuch Roshni dedo
Tumhein kis ne ye Bola tha, Meri Basti jala dena
Jise Barish k paani mai baha ker Muskhurate the
Mujhe Kagaz ki wo Kishti zara phir se bana dena
Umar bhar phir Tumhara Rasta takne se acha hai
kabhi chanda ki nagri say koi pegham aye to
kabhi taroon ka honton per kisi ka naam aye to
kabhi tareek shab main koi jugno jagmagata hai
MUJHE WO YAAD ATA HAI........
kabhi jab saans say uthta dhuan mehsoos hota ho
ajab si aanch pe haar karuan mehsoos hota ho
to uss ki pyar ki barish main tan man bheg jata hai
MUJHE WO YAAD ATA HAI........
kabhi raaton ko uth uth kar bohat bechain hoti hoon
agar jo letna chahon to bas takiye bhigoti hoon
koi ruthi hui shab neend ki pariyan bulata hai
MUJHE WO YAAD ATA HAI........
kabhi jab titliyon k pankh bhi be rang ho jayen
meri saari baharain bhi khizan k sang ho jayen
tabhi ek aas ka panchi dar e dil Khatkatata hai
MUJHE WO YAAD ATA HAI........
Kabhi kabhi meray dil mein khayal ata hai
K zindagi teri zulfon ki narm chhaon mein
Guzarnay pati tu shadab ho bhi sakti thi
Yeh teragi jo meri zeest ka muqadar hai
Teri nazar ki shuaon mein kho bhi sakti thi
Ajab na tha k mein begana alm ho kar
Teray jamal ki ranaeon mein kho rehta
Tera gudaz badan teri neem baz ankhein
Inheen haseen fasanoon mein mehav ho rehta
Pukarteen mujhe jab talkhiyan zamanay ki
Teray labon say halawat k ghoont pee leta
Hayat cheeKhati pherti barehna sir aur mein
Ghaneri zulfon k saya mein chhup k jee leta