Kashti SMS Messages54 messages

Izzaton say barh ker to aur kuch nahi hota
Chahton ki durri bhi,
Torna hi parti hai
Manzilon ki Kashti bhi,
Morna hi parti hai
Bhoolna hi parta hai,
Khud say piyare lougon ko
Aur dil ke aangan mein,
Naqsh un ki tasweerain
Kuch haseen lafzon ki,
Kuch haseen tehreerain
Paaon jin mein jukrain hoon,
Kholna hi parti hain..
Khoobsurat aankhon mein basnay walay khawabon ko
Nochna hi parta hai
Dil se milta her rishta torna hi parta hai...
Kyun ke....
Izzaton se barh ker to aur kuch nahi hota....!
jaatay jaatay wo mujhe achi nishani day gaya
umr bhar dohraaoongi,aysi kahaani day gaya

us say may kuch paa saku?aysi kahan umeed thi
gham bhi wo shayad baraay-e-meherbaani day gaya

sab hawaayen lay gaya mere samandar ki koi
aur mujh ko aik Kashti baadbaani day gaya

khayr main piyaasi rahi par us nay itna to kia
meri palko ki qataaron ko wo paani day gaya...
larzish nazar maiN lahjay maiN luk''nat ajeeb thei
is awalee''N visaal ki wahshat ajeeb thei

roshaN huwei usi se usi se bikhar gaa''ee
shabnum ko aaftaab se nisbat ajeeb thei

aansoo dee''ay per aankh ko ronay ki khoo na de
aiey badhsa-e-gham ye anaa''yet ajeeb thei

khirki maiN aa k chaand ne jhapki nahi palak
kal shab meray makaa''N maiN suhbat ajeeb thei

sahil pe they tu rait ka jaa''doo tha har taraf
Kashti chali tu sajar ki dahshat ajeeb thei

dil maiN na rah sakay jo kahiN tu kahi na jaa''ey
amjad shikast-e-dil ki haalat ajeeb thei
kar raha tha tufaan mere azaam ka tawaaf



log samajte rahe Kashti banwar main hy
Kagaz ki Kashti thi,pani ka kinara tha.

Khelne ki masti thi, Dil ye aawaaraa tha.

Kahan aa gaye is jawaani ke daldal me,

wo bachpan kitna pyara tha.
Soch ko apni le jao shikhar tak,

k uske aage sare sitare jhuk jaye,

na bnao apne safar ko kisi Kashti ka mohtaz,

chalo is shaan se k tufan b jhuk jay
Muhbt rog hoti ha kaha b tha . .
Rula k khud b roti ha kaha b tha . .

Use tm dil ki dharti ka pta mt do . .
Ye us ma dard boti ha kaha b tha . .

Kinare k buht nazdeek le ja kr . .
Ye Kashti ko daboti ha kaha b tha . .

Azal se is ki aadat ha zamane ko . .
Jaga kr aap soti ha kaha b tha . .
Yon meri Aankhon mein SAwan ki Jhari rehti hai
Jeyse Kashti koi Darya mein Khari rehti hai
Hall ye hai k Teri Yaad mein eysa ghum hon
SAb ko meri aur mujey Teri pari rehti ha
=====ISHQ=====
Rone se gham-e-dil ka guzara nahi hota.……………..
Har ashq, gham-e-ishq ka sahara nahi hota.…………

Hai ishq ke dariya me toofan bhi bhanwar bhi.………
Par har Kashti ke naseeb me kinara nahi hota.………

Ishq ka to ab kya bataen, isme aksar.…………………..
Jiske hum ho jaate hai wohi humara nahi hota..…….
Kashti k musafir ne samander nhi dekha

Ankho me raha dil me utar kr nhi dekha

Pather samjhte the mere chahne wale

Par mom tha mai kisine chu kr nhi dekha
Kat ti naheen hay gham ki raat
A k thair gayi hay kiya
Nind to khair so gayi
Mout bhi mar gayi hay kiya

Jalte hain armaan
Mera dil rota hay
Kismat ka dastoor
Nirala hota hay

Koun mere tuute dil ki
Faryaad sune
Aaj meri taqdeer ka
Maalik sota hay

Ayi asi moj k
Sahil chuut gaya
Warna apni Kashti
Koun dubota hay
Kismat ka dastoor
Nirala hota hay
Zaroori to nahin jeene ke liye sahara ho
Zaroori to nahin hum jinke hain vo hamara ho
Kuch Kashtiyaan doob bhi jaati hain...
Zaroori to nahin ke har Kashti ka koi kinara ho....