Humse Kehte Hein K Biddat He Maatam Daari
Khud Tere Jism Se Aawaz E Bbuka Aati He
Dil Dharhakne K Tawaazun Pe Zara Ghor Kar
Tere Seene Se Bhi Maatam Ki Sada Aati He.
Basher Key Roop Main Ek Dilruba Talasm Baney
Shafaq Main Dhoop Milayen Tu Us Ka Jism Baney
Woh Mojzaat Ki Had Tak Pohunch Gaya Hey Qateel
Hurf Koi Bhi Likhoon Usi Ka Ism Baney
"Pyar kya hai"
Pyar- wo ehsas hai jis k saharey zindagi guzara assan aur bamani ho jata hai.
Pyar- wo dard hai jo bardi sey bardi taleef ka b pata naheen lagne deta, chahey Jism jal b jaye.
Pyar- wo ummeed hai jo saan tootney k baad b qayam rehti hai
Abhi who dard baqi hai
Agarchay waqt marham hai
Magaar kuch waqt lagta hai
Kisi ko bhool janay mein
Dobara dil basanay mein
Abhi kuch waqt lagna hai
Abhi who dard baqi hai
Main kis tarha nai ulfat mein
Apni zaat gum kar doon
K meray Jism-o-wajdan mein
Abhi who fard baqi hai
Abhi uss shakhs ki mujh par
Nigaah-e-sard baqi hai
Abhi who ishq k raston ki
Mujh par gard baqi hai
Abhi who dard baqi hai