Janta SMS Messages59 messages

ye Dil bohat udas hai
koi pegham hi likh do
tum apna naam na likho
gumnaam hi likh do
meri qismat main
gham-e-tanhaai hai lekin
tamam umer na likho
mager ik sham hi likh do
zarori tu nahi
k mil jai sakoon her kisi ko
sare-e-bazm na aao
sar-e-raah hi millo
ye Janta hon k umer bhar
tanha mujh ko rahna hai
mager pal do pal ghari do ghari
meray naam hi likh do
chalo hum mantay hain k
saza k mustahik hain hum
koi naam na likho
koi ilzaam hi likh do
phira hun sare zamane main dar badar kesa
main tere bad bhi zindah raha mager kesa
woh Janta tha k kuch roz wo nahi tha to main
pukarta raha usko edhar udhar kesa
Raat Ki Tanhayi Mein Un Aahaton Ki Kashmakash,
Kaisi Ajeeb Hoti Hai In Karwaton Ki Kashmakash,

Har Anjuman Adhura Hai, Har Mehfil Akeli Hai,
Deedar Ko Tarasti, In Chaukhaton Ki Kashmakash,

Na Thikana Hai Koi Bhi Zinda Lashon Ke Liye,
Yehi Hai Sisakte Sunkate Marghaton Ki Kashmakash,

Kayi Gehre Sawalon Ka Karwan Ho Jaise Koi,
Yun Meri Peshani Pe Salwaton Ki Kashmakash,

Haadse To Sabhi Ne Dekhe Honge Sadkon Par,
Janta Hai Koi Kya, Jam Ghaton Ki Kashmakash...
Chaha hai tuju ko chahat sy zayda..Samja hai tuj ko mohabbat sy zayda..Ye main Janta hoon ya Dil Janta hai.......
kya toota kya bikhar gaya ye mein Janta hoon
andhiyoon mein chiraag jalaney ki saza mein Janta hoon

janey wo kon log the jin ko mila sila mohabtoon ka
zakham_e_mohabat ki tarap ka maza mein Janta hoon

door se dekho iss ko pass jaogey toh pachtaogey
zindagi ke chehrey pe hai kya likha mein Janta hoon

un ke koochey se uthey jo mera janaza toh kya baat hai
un ki bahoon mein marney ka maza mein Janta hoon

kyun bewaja mujhe zindagi se milatey ho yaro
zindagi aur maut ke beech ka khala mein Janta hoon

wo khafa se hein ye be Janta hoon mein
un ki narazgi mein be hai ik ada mein Janta hoon !!
Lakeer Merey Haath Ki..

kuch udaas kuch khamosh
kuch bebas see lakeerien merey
haath ki?
Dhoondta Rehta hoon aksar in Lakeeron main
Aik lakeer tere naam ki
Kuch maloom bhi hey
Kuch dil bhi Janta hey
Ke in lakeeron main koi lakeer Nahi tere naam ki
Phir bhi naa jane kion dhondta Rehta hoon
Aksar ek lakeer tere naam ki
Aik lakeer.. !
Sirf Dekhke Kisi Ko Dil Ki Baat Nahi Hoti
Mulakat Ho Phir Bhi Kabhi Barsaat Nahi Hoti
Janta Hoon Main Kabhi Tumhara Na Ban Paunga
Phir Bhi Is Dil Mein Kabhi Raat Nahi Hoti
Teri yadoon ki mehak
Sath liye akser hum
Door khuwaboo k jazeeray main uter jatey hain
Kyun k main Janta hon
Hum aur tum
Sirf khuwaboo main he mil saktey hain
Mainay socha hai is baar tumharay humraah
Aik aisi jaga utroonga
Aur tumhain apnay paas bitha ker
Aankho main aakhain daal ker
Bari himmat ker k tum say keh donga
Tumsay keh donga k tum meri ho
Tum jo chahho to
Meri yakterfa muhabbat ko sahara dey do
Zindagi yun to bohut thori hai muhabbat k liye
Tum jitna bhi piyaar mujhay dey sako sara dey do
Kuch to bolo
Kuch to bolo
Kahin aisa na ho k sehar hotey he hum wapis us dunya mian lout jain
Bus yehi chund khiyalaat liye
Teri yadoon ki mehak sath liye
Akser hum door khuwaboo k jazeray main uter jatey hian
Kyun k hum aur tum sirf khuwaboo main he mil saktey hain
Ghum Nahi Bholta Bhulanay Say“
Num Hoe Ankhayen Muskurany Say

Aaj Woh Ajnabi Say Lagty Hain
Janta Hoon Jisay Zamany Say

Doston Ki Parakh Nahi Kerna
Maan Totay Gaa Azmany Say

Jab Say Apnoo Say Chaut Khaye Hai
Koi Shikwah Nahi Zamanay Say

Zindagi Ki Haqeqaton Ki Kasam
“Dil Ki Batein Hain Bas Fasanay Say “
Ek Lakeer. . .

Kch udas kch khamosh
Kch bebas si lakeerai''n mere haath ki
Dhoondta rhta hoon aksr in lakeero''n main
Ek lakeer tere naam ki
Kch malum b hy
Kch dil b Janta hy
K in lakeero''n me koi lakeer nhi tere naam ki
Phr b na jane kion dhundta rhta hon
Aksr ek lakeer tere naam ki
Ek lakeer
tere naam ki
"Kabhi dil jala kabhi jaan bhe
Kabhi kho gaye muskan bhe
Me apno ka kabil nahi raha
Ya Jantay ha anjan bhe
Meray sath aksar rahtay hay
Katil meray mehman bhe
Dharte per zulam dakh kar
Roota ha asman bhe
WO badal gaya Kuda sa jo
Farishta tha bana shaytan bhe
bas zara zara se ranjishay
na bhola saka insan bhe
Kuch Loog aesay Hotay Hain Jo Aap ko nahi Jantay,
Mager,
Jin se Aap Pyar Kartay Hain,
Jin pe Aap Maan Kartay Hain,
Jin pe Aap Itebaar Kartay Hain,
Lekin,
Wohi Loog Aap ko Dhooka de Jatay Hain,
Kyun K,
Aap unko nahu Jantay.......
y...........................?