Jano SMS Messages43 messages

Asman pe raat ko moon
hota hai!


Ishiqe jab had se guzar jay tu Janoon hota hai!


Jis awaz pe dil darke wo ap
ka fon hota hai!


Ap k sms se jan ko sakon hota hai.->?
Dost Ik Saahil Hai Toofano Ke Leye,
Dost Ik Aaaina Hai Armano Ke Leye,
Dost Ik Mehfil Hai AnJano Ke Leye
Dosti Ik Khawisht Hai Aaap Jaise Dost Ko Pane Ke Leye!
Woh Chahta Tha Phir Bhi Koi Guftago Na Ki
Main Nay Bhi Poochnay Ki Justajoo Na Ki

Tasveer Teri Dekh Kar Ankheein Chaalkh Parein
Hum Nay Teri Ibadaat Kabhi Bay-Wuzu Na Ki

Baithay Rahay Chup Chap Hum Pardah Nasheen K Paas
Musa Ki Tarahan Dekhnay Ki Arzoo Na Ki

Woh Hay Nasha-e-Ishq Ki Lazat Say Bay Khabar
Jis Nay Ye Zindagi Kabhi Nazar-e-Sobo Na Ki

Karta Raha Biyaan Woh Gheroon Kay Samanay
Us Nay Kabhi Shekayat Merey Roo-ba-Roo Na Ki

KyuN Dil Mein Chuppaey Rakhay Hain Hum Nay Raaz-e-Ishq
Ahel-e-Janoon Ki Baat Kabhi Koo-ba-Koo Na Ki

Milta Nahi Hay Us Ko Shahadat Ka Martaba
Rah-e-Kudha Mein Jis Nay Ye Gardan Lahoo Na Ki
Jab bhi qareeb aata hoon batanay k liye
Zindagi door rakhte hai satanay k liye


MehfilOn ki shaan na samajhna mujhay
Main to hansta hoOn gham chupanay k liye



In faaslOn ko na samjho meri be-Wafayi
Main door hoon tumse, paas aanay k liye



Mat Jano haqeeqat mere in AansuOn ko
Main to roota hoon tumhein rulanay k liye


Koi gila nahi hai mujhay apni barbadi ka
Main to khail tha ho aag se jal janay k liye



Ab duniya kuch bhi kahay, mujhay parwa nahi
Main to jeeta tha zindagi, mar janay k liye
Ek haseen khwaab tha ki hakeekat kaise jaanon main,
Apni saanson mein teri khushboo ab tak pehchanoon main.

Tum is tarah mujhme samaayi thi ki jaise koi faasla na raha,
Sone do thodi der aur ab khud ko kyun aaj ab jagaoon main.

Kuch lamhe kaise beet gaye ehsaas na hua,
Apne badan se alag tujhe kyun pehchanoon main.

Teri zulfen mujhse aaj bhi lipat ke yun sawaal karti hain,
Tumhare paas bhi jawaab na hoga ye ab jaanoon main.

Kyun is tarah tumne mujhe jaane diya ye gawaara nahin mujhe,
Chupa ke rakh leti mujhe agar, tab teri diwaanagi ka kaha maanoon main.

Koi khushnaseeb pal yun guzra tha mujhe choo kar aise,
Ek ehsaas apni dhadkan mein aaj tak behta Janoon main.
woh khaloos tha ke khumar tha
woh Janoon tha ke saraab tha
mujhey sochney mein zaman laga
mujhey munzilon ne bhoola diya
mujhey jis masiha pe maan tha
mujhey us ne sooli charha diya

kai humsafar kai rahguzr
mujhey rastey mein miley magar
meri tushnagi kuch aur hai
meri justajoo koi aur hai

woh jo roshni ki tarha barhey
magar ansuon mei sama sakey

jo subha ki pehli kiran bane
mere dil ka aangan nikhaar de
jo muhabbaton ki ravaytein
laho ki bali se sanwaar de
mujhey us wafa ki talaash hai
mujhey us wafaki talaash hai

magar is jahan-e-kharab mein
yahan khahishon ke saraab mei
mujhey kaun de aisy wafa
mein kahan se laoon woh wafa
inhi uljhanon mein ghira hua
yehi sochta mein chala gya........;->
TUM KIA Jano
Jab Dil Udas Hota Hai
Dard Kuch Khas Hota Hai
Her SOch
Her Yaad
Her Baat
Her Pal Bara Be-Aas Hota Hai
Bas Ek Awaz C Hoti Hai
Wo B Be-Saaz C Hoti Hai
na Koi APna Sa Lagta Hai
Sab Ek Sapna Sa Lagta Hai
Yeh Dil Kyun Udas Hota hai?
TUM KIA Jano
Kia MIla Usey Khoon-E-Tamana Ker K
Rakh Dia Hai Uss Ne Mujhe Shehar Mein Ruswa Ker K
Wo Samjh Sakta Nahi Ishq-O-Janoon Ki Batain
Mein Bata Sakta Nahi Un Ka Khulasa Ker K
Ain Mumkin Hai K Wo Iss Baat Pe Aamada Ho
Dekh Lete Hain Mohabbat Ka Taqaza Ker K
Ain Mumkin Hai Wo Nikal Aye Gahr Se Bahir
Dekh Lete Hain Naya Koi Tamasha Ker K
Wo Jo Aya To Aye Ga Lamha Bhar Ko
Lot jaye GA Koi Aur Bahana Ker K
Jissay Tum Zindagii Jano
Tumhain WO Rog Kahta Ho
Kay Jis Nay Khud Hi Chahat Say Tumhara Haath Thama Ho
Wo Apnay Dil Kay Darwaze
Tum Hi Per Band Kar Day To Mohabbat Mar Bhi Sakti Hai
Tumhain Sangsar Kar Nay KO Jo Sang Bantay Loogon Mein
Saba KO Roknay KO Qafal Dalay Dareechon Mein
Kar Kay Band Ghar Kay
Saans Per Pehray Lagay To…
Mohabbat Mar Bhi Sakti Hai
Ye Kis Nay Kah Diya Tum Say
Mohabbat Mar Nahi Sakti
Kay Jab Koi Tumhain Jaan Say Guzar Janay KO Kahta Ho
Aadhi Raah Mein Khud Hi Mur Janay KO Kahta Ho
Wo Apni Bewafai Ka Khud Hi Aitraf Kar Lay To…
Mohabbat Mar Bhi Sakti Hai
Mohabbat Mar Bhi Sakti Hai
tum kya Jano hafiz salman ki kadar faraz
Mehsoos Tu Hotay Hain Dikhai Nahi Deyti.
Tum rasm-e-muhabbat kya Jano
Tum hunar wafa ka kya Jano
Tum mosam khizan ka kya Jano
Tum bahar ka mosam kya Jano
Tum dil ka tarapna kya Jano
Tum aankhon ka tarasna kya Jano
Tum ishq mein jeena kya Jano
Tum ishq mein marna kya Jano
Yeh tumhari muhabbat jaan hai meri
Tum jaan ka matlab kya Jano
khushi Mali tu keye dard mujhe Se Ruth GE
dowa Karo main pher Se udaz ho Jano