I____u SMS Messages5024 messages

Sir Jhukao ge To Pathar bhi Devta ho Jaye Ga
Itna Mat Chaho Use Wo Bewafa Ho jaye Ga

Hum bhi Darya Hain humain bhi Apna hunar Maluum hai
Jis Taraf Bhi Chal Parain, Rasta Ho Jaye Ga

Kitni Sachai Se Zindagi Ne Keh Dia
Tu nahi Mera To Koi Aur Ho Jaye Ga

Rooth Jana To Mohabbat Ki Alaamat Hai Magar
Kia Khabar Thi Mujh se Wo Itna Khafa Ho Jaye Ga
Kabhi Yun Bhi Aa Meri Aagosh Main K Meri Nazar Ko Khabar Na Ho
Mujhe ek Raat Nawaz De K Us k baad Seher Na Ho

Wo Bara Raheem-O-Kareem Hai, Mujhe Sift Ye Ataa Kare
Tujhe Bhoolne Ki Dua Karoon Aur Meri Dua Main asar Na ho

Kabhi Din Ki Dhoop Main Jhoom K Kabhi Shab K Phool Choom K
Yunhi Saath Saath Chalain Sada, Kabhi Khatam Apna Safar Na ho

Mere Paas Mere Mehboob ZAra Aur Dil K Qareeb Aa
Tujhe Dharkano''n Main basa Loon k Bicherne Ka Kabhi Darr na Ho

Kabhi Yun Milain Koi Maslihat Koi Khauf Dil Main Zara Na ho
Mujhe Apni Khabbar Na Ho Tujhe Apna Koi Pata Na ho

Tere Ikhtiyaar Main Kia Nahi, Mujhe Is Terha Nawaaz De
Yun Duaain Meri qubool Hoon k Mere Lab Pe Koi Dua Na Ho
Muhabbat Zaat Hoti Hay
Muhabbat Zaat Ki Takmil Hoti Hay
Koi Jungel Mai Ja Tahre,
Kisi Basti Mai Bus Jaye
Muhabat Sath Hoti Hay
Muhbat Khowabon Ki Lah
Muhabat Musamon Ka Dhun
Mohabt Abbsharon K Nikartay Paniyon Ka Mun
Muhabat Junglon Mai Raqs Kerti Morni Ka Taan
Muhabat Barf Perti Sardion Mai Dhop Bunti Hay
Muhabbat Chilchilatay Garm Saherahon Men
Thandi Chahon Ki Manind
Muhabat Dil
Muhabat Ja''n
Muhabbat Roh Ka Darma''n
Muhabat Moorti Hay
Or kabhi Jo Dil k Mandir mai Kahin par Tot Jai tu
Mohbat kanch ki Gurya
Fizahon Men Kisi Ka Haath Sa Gir Choot Jaye Tu
Muhabat Abla Hay qarb Ka
Aur Phoot Jaye Tu
Muhabat Rog Hoti Hay
Muhabat Sog Hoti Hay
Muhabat Shaam Hoti Hay
Muhabat Raat Hoti Hay
Meray haath main jo Gulaab thay.....
Woh Gulaab saare bikher gaye.......
Meri aankh main woh jo khuwaab thay.....
Woh hi khuwaab mere ujarr gaye.....
Jisey main ne maanga tha baar-ha......
Woh hi shakhs mujh se bicharr gaya.....
Mera humsafar mujhe chorr ker.....
Kisi aur simt chala gaya....
Jisey saath dena tha umar bhar.....
Woh to do qadam bhi na chal saka......!!
dil ke daryaa mein utar ke dekho
tum mohabbat mujh se kar ke dekho

phir tumhein meri talab ho shaayad
tum kabhi mujh se bichaR ke dekho

ishq ka saaghar bohat hai gehraa
Doob kar khud bhi ubhar ke dekho

dunya phir lagne lagegi dilkash
isko tum meri nazar se dekho

pyaar kehte hain kise,zaraa tum
meri baahon mein bikhar ke dekho

mera gham mehsoos karna ho to
meri raahon se guzar ke dekho

kya asar hota hai berukhii ka?
meri chaahat se mukar ke dekho

jo mohabbat ne hai dekha,tum bhii
uski aankhon meiN sanwar ke dekho
dariyaa kaa saahil ho
puure chaaNd kii raat ho
aur tum aao


kabhii yuuN bhii to ho
pariyon kii mahafil ho
koii tumhaarii baat ho
aur tum aao


kabhii yuuN bhii to ho
ye narm mulaayam ThanDii havaayen
jab ghar se tumhaare guzaren
tumhaarii Khushbuu churaayen
mere ghar le aayen


kabhii yuuN bhii to ho
suunii har manzil ho
koii na mere saath ho
aur tum aao


kabhii yuuN bhii to ho
ye baadal aisaa TuuT ke barase
mere dil kii tarah milane ko
tumhaaraa dil bhii tarase
tum nikalo ghar se


kabhii yuuN bhii to ho
tanahaaii ho, dil ho
buuNden ho, barasaat ho
aur tum aao


kabhii yuuN bhii to ho..........
Eik sawal zindagi se kiya karte hain

K hum iss duniya mein kyun jiya karte hain,

Jab kisi k liye kisi k paas waqt nahin to

loug kyu rishtay bana liya karte hain
Kuch main b thak gaya hun usy dhundty huwe

Kuch zindgi k paas bi mohlat nahi rahi

Us ki ik ik ada sy jhlakny laga khloos

Jab mujh ko aitbar ki adat nhi rahi.
Dil-o-nazar se kuch dair b juda rakhun,

ye mere bas mein nahi k tujhe khafa rakhun..

Nhi hay kuch b mere zahan mein siwai is k,

main teri yad bhula dun to yad kia rakhn..

kabhi jo mujh se koi pooch le meri marzi,

to apna naam muhabbat tera wafa rakhun...
Tum aksar..

Yaad aatay ho..

Or boht yaad aatay ho.

K yaadon k sabhi moti.

Meri umeed k aansoo.

Mere ye zabt k gohar.

In ankhon k samandar sai..

Meri palkon k saahil tak..

Chalay aatay hain chupkay sai..

na jaaney kion?

tum aksar yaad aatay ho..
terii khushii se agar Gam meN bhii khushii na huii
voh zindagii to muhabbat kii zindagii na huii

koii baDhe na baDhe ham to jaan dete haiN
phair asii chashm-e-tavajjoh kabhii huii na huii

tamaam harf-o-hikaayat tamaam diida-o-dil
is ehtemaam pe bhii sharaH-e-aashiqii na huii

sabaa yah un se hamaaraa payaam kah denaa
gaye ho jab se yahaaN subah-o-shaam hii na huii

idhar se bhii hai sivaa kuchh udhar kii majbuurii
ki hamne aah to kii unse aah bhii na huii

khayaal-e-yaar salaamat tujhe khudaa rakhe
tere baGair kabhii ghar meN roshnii na huii

gaye the ham bhii Jigar jalva-gaah-e-jaanaN meN
voh puuchhte hii rahe hamse baat hii na huii
muhabbat khud batatee hai kahan kis ka thikana hai
kisay ankhon mein rakhna hai kisay dil mein basana hai

riha karna hai kis ko aur kisay zanjeer karna hai
mitana hai kisay dil say kisay tehreer karna hai

ghironda kab girana hai kahan tameer karna hai
issay maloom hota hai safar dushwaar kitna hai

kisi ki chashm-e-giriya meain chupa iqrar kitna hai
shajar jo girnay wala hai woh saaya daar kitna hai

safar ki har saobat aur tamazat yaad rakhti hai
jissay saraay bhula dalain muhabbat yaad rakhti hai