Howa SMS Messages143 messages

hai dua yaad magar harf e dua yaad nahi
mere nagmaat ko andaz e nawa yaad nahi

hum ne jin k liye rahoun main bichaya tha lahoo
hum se kehte hain wohi eehd e wafa yaad nahi

zindagi jabar e musalsal ki tarhan kati hai
jane kis jurm ki pai hai saza yaad nahi

main ne palkoun se dar e yaar par dastak dii haii
main woh sahil hoon jisse koi sada yaaad nahi

kaise bhar aayein sar e shaam kisssi ki aankhein
kaise thari chiragoun ki zia yaad nahi

sirf dhundle sitaroun ki chamak deeekhi hai
kab Howa kon Howa mujh se khafa yaad nahi..

aaoo ek sajda karein alam e madhoshi main
loggg kehte hain SAGAR ko khuda yaad nahi......
Tere Naam ki thi jo Roshni usey khud tu ne bujha diya
Jissko jala saki thi na Dhoop usey chandni ne jala diya

Main ho gardishon ka maara Howa mujhey ab apni khabar nahi
Wo jo shakhs tha mera rehnuma usey Rastoo main ganwaa diya

Jiss ko samjha tha to ne raqeeb,woh tera naseeb tha
Tere haath ki lakeer tha,usey to ne haath se hi mita diya

Mujhey ishq hai ke junoon, yeh faisla kabhi na ho saka
Mera naam zeenat-e-dasht tha,isey aandhiyon ne mita diya

Yeh udasiyoon ka jamal hai ke tumhara ivj-e-kamal hai
Ke kabhi zaat se bi chupa liya to kabhi shehar bhar ko suna diya

Mere omar ka gulistan abhi khula Howa hai zaroor par
Wo jo phool thay tere chah ke unko mosamoo ne gira diya
Abhi is taraf na nigah ker main gazal ki palkain sanwar loon
Mera lafz lafz hai aeinah tujhey aeineu main utar-loon

Main tamam din ka thaka hoowa tu tamam shab ka jaga Howa
Zara theher ja isi moor per tere saath sham guzar loon

Ager aasman ki numa-e-shoon main mujhay bhi izan-e-kayam ho
To main motioun ki dukan say tayri baleeyan tere haar loon

Kahain or bant day shohratain kahain or bakhsh day izatain
Mere paas hai mera aaenah main kabhi na gard-do-ghubar loon

Kai ajnabi teri rah main mere pass say yun guzar gaey
jinhain daikh ker yeh tarap huee ter a naam ley ke pookar loon
AANKHON SAY DOOR DIL K QAREEB THA ...
MAIN US KA WO MERAA HABIB THA ...
WO JO CHALAA MUJH KO THUKRA KER
WO MERA MUQADER MERA NASEEB THA ...
NA KABHI MILA NA KABHI JUDA HowaA ...
HUM DONO KA RISHTA AJEEB THA ...
KABHI KABHI YOOHI SOCHTA HOUN MAIN ...
KASOOR US KA NAHIN ...MAIN HEE BADNASEEB THA.
Al-Wida..
Hamain jab Al-wida kehnay lago tow muskra daina..
Sitara sath ker daina..
K rastay mein andhairay bhi tow aein gay..
Kisi harf-e-Dua ka istaara sath ker daina..
Hamain zaad-e-safar ko tumhari yaad ki sogaat kafi hai..
Tumharay sath mein guzra Howa pal bhi ghaanimat hai..
kabhi tehray jo rastay mein..
Sunehari yaad ki surat tumhain ham-rah paein gay..
Tow ham tanha kahan hoon gay..
Magar phir bhi..
Hamain jab al-wida kehnay lago tow muskura daina..
Sitara sath ker daina..
Kisi harf-e-Dua ka istaara sath ker daina.. !!
Yahan Sabko Miley Pyar Ye Zaroori To Nahi Hai
Ho Qismat Par Ikhtiyar Ye Zaroori To Nahi Hai

Dard Dil Mein Agar Hoo Tho Rooh Roti Hai
Aankhein Roye Zaar Zaar Ye Zaroori To Nahi Hai

Phoolon Ki Chubhan See Joo Daman Howa Chalni
Ho Usmey Koi Khar Ye Zaroori To Nahi Hai

Jo Harghari Khatey Hain Sang Marney Ki Kasmein
Ho Sang Jeeney Ko Taiyaar Ye Zaroori To Nahi Hai

Umeed Mee Jiski Teri Palkein Howi Pathhar
Usey Hoo Tera Intezar Ye Zaroori To Nahi Hai

Yaqeen Karke Jis Ko Apni Zindagi Banown
Usey Tujhpar Hoo Aitbar Ye Zaroori To Nahi Hai

Band Ker Rona Khwab Badnaseebi Par Apney
Ziist See Hoo Sab Bezar Ye Zaroori To Nahi Hai
Ik Khwab Hay Or Isko Khona Bhi Nahi Hay
Tabeer K Dhagay Main Pirona Bhi Nahi Hay

Lipta Howa Hay Dil Se Kisi Raz Ki Soorat
Who Shaks K Jisko Mera Hona Bhi Nahi Hay

Ye Ishq-E- Mohabbat Ki Rivayat Bhi Ajeeb Hay
Paya Nahi Hay Jisko Usay Khona Bhi Nahi Hay

Jis Shaks Ki Khatir Mera Ye Hal Howa Hay
Usko Meray Marnay Pey Rona Bhi Nahi Hay
In Jeheel See Ghyari Aankhon Ki Purudas Khamushi Ka Sabab Pucha
To Mehloom Ye Howa Inhein Dukh Mera Nain Gham Apna Hai
Ajeeb thi wo ajab tarah se chahta tha mein,
wo baat krti the aur khawab dekhta tha mein

charha Howa tha wo nasha k kam na hota tha,
hazar bar ubharta tha dobta tha mein

phir is tarah kabhe soya na is tarah jaga,
k rooh neend mein the, aur jagta tha mein . . .
Bohat Mudat K Baad Kal Jab
Kitaab-E-Maazi Ko Main Ne Khoola
Bohat Say Chahrey Nazar Main Utrey
Bohat Say Naamoon Pai Dil Paseeja
Aik Aisa Safha Bhi Us Main Aaya
Likha Howa Tha Jo Aansooun Say
Jis Ka Unwan “Hamsafar” Tha
Wo Safha Sab Say Hi Moutabar Tha
Aik Aur Aansoo Phir Us Pai Tapka
Phir Us Se Aagey Main Parh Na Paya
Kitab-E-Mazi Ko Band Kar Ke
Usi Ki Yadon Mein Kho Gaya Main
Inhe Khyaalon Mein So Gaya Main
Agar Wo Milti To Kaisa Hota
Agar Wo Milti To Achha Hota
Andar Lagi thi Aag Magar Be khAbar thAy LOG.



jalay Howay makaan k Bahir dowAAn tak nA tha.
Main Ikswin sadi main jana chaun ya na jana chahun,is say kya farq parta hai?waqt ka seel rawan,chahton ko bahata Howa,sapnon ko dabota Howa,ankhon ko bhigota Howa,in masafton tak lay hi jaega jinhain abhi daikha nhi,main chalun ya na chalun,main rukun ya na rukun,main rahun ya na rahun,mere hone ya na hone say kya farq parta hai?waqt ka karwan to rukta hi nhi.ye chalta hai aur chalta hi rehta hai...dam tori biswin sadi bohat saray dukhon ko meri sanson ki mala main paro ker guzarti chali gai aur main mahi bay aab ki tarhan,dard k kinaray par khara,kisi maseeha ka muntazir tha.